Saturday 7 December 2013

Virgo Horoscope In Urdu || Sumbla Star In Urdu ||Virgo Star In Urdu || Virgo In Urdu || Virgo Personality

Virgo Horoscope In Urdu || Sumbla Star In Urdu ||Virgo Star In Urdu || Virgo In Urdu || Virgo Personality
                                                VIRGO

Virgo starts from 22 August until the end of 22 September. Virgo are strongly intelligent and be practical. They live successful in life. The positive Virgo has observant nature with strong power of organization. The negative Virgo examines others for their faults. It is base on reality. They are too smart and false promise in love. As a friend, Virgo is loyal and kind. Virgo takes his responsibilities to his family very seriously. Virgo is reserved in nature and it may take some time to build up confidence in your romantic affairs, but if Virgo were ever disappointed in love, you would not find it easy to get over it. In this page, you will find information about Virgo in Roman Urdu.

Burj Sumbla In Urdu

Virgo
22 August - 22 September

Nishan Kunwari Dosheeza
Ansar Mitti
Hakim Saiyarah Atarod
Khush Bakhti ka adad 5
Mawafiq rang Banafshi, Dhani, Sabz, Asmani

Saad Patthar Pukhraj



Sumbla Afrad Aur Gharelo Zindagi


Agar hum logon kay khandani halat per nazar dalain to hamain baz aisay joray nazar aingay jo khud to khushi aur musarat ki zindagi guzar rahay hain lakin un kay taluqat apnay hi khandan kay dusray afrad sey kashida hain. Burj sumbla sey taluq rakhnay walay afrad jin mein mard aur khawatin dono shamil hain, amuman iss khususiat kay hamil hotay hain. Sunbla mian biwi apnay rishtadaron sey door rah ker zindagi guzartay hain aur inko iss tarah ziada itmenan hasil hota hai. Ristadaron sey woh bohot ghabratay hain, inkay sath unkay taluqat bilamoom kashida rahtay hain, isi leye woh apnay rishtadaron sey dur rehnay mein hi afiat samajhtay hain. Sumbla Burj sey taluq rakhnay walay mard aur khawateen baz auqat apnay door kay kisi rishtadar sey shadi kerlatay hain lakin ye rishata inhain ras nahi ata aur iss qisim kay bohot kam Sumbla mian biwi kamyab zindagi guzartay hain.

Virgo Afrad


Khandani zindagi sey motaliq aik Sumbla fard ka taso`uar bohot buland hota hai. Woh iss baat per yaqen rakhtay hain zindagi ka bojh mian biwi mil kar uthana chahiye. Ye aik aisi zimmeydari hai jisay sirf aik fard pura kar sakta hai na aysa karna durust hai. khandani zindagi sey mutaliq inka ye tasauar iss leye hai kay woh har mamlay ki tarah khandani mamlat ko bhi ghair jazbati andaz mein dakhtay hain aur har kam kay leye aqli jawaz zaruri samajh tay hain aqal ki yahi rahnumai in kay leye aetamad aur quwat ka sar chashma hoti hai. Isi ki wajah sey who na sazgar halat mein bhi zindagi guzarnay ka dhang sekh latay hain. Agar paisay ki kami hui to kifayat shuari say kam latay hain aur agar unki mushkil mehnat aur jadoo jahad sey dur hosaktay to woh aurjadoo jahad ko ba raza aur ragibat apna latay hain Sunblah mian biwi ye sari moshaqat aur taklef kisi shikway aur shikaiat kay bagai bardasht ker saktay hain ye sahi hai kay aidilast yani tasaur parast honay ki wajah sey inn logon ko kuch mushkilat paish ati hain lakin woh haqaiqat ko taslem karnay sey guraiz nahi kertay jab zarurat parti hai to iss kay motabiq khud ko dhal latay hain.

Virgo Personality In Urdu


                                   Virgo Ki Khususiyat

Sumbla (Virgo) afrad mein apnay ghar chalanay ki fitri salahiyat hoti hai. Virgo ki Personality inn logon mein nahin hotay jin ko phohar aur bad saliqa kaha jata hai Virgo kay ghar mein har chez saf suthri aur saleqay ki milay gi. Har chez tarteb sey apni jaga per rakhi hogi. Virgo apnay ghar per fakhar aur naz kertay hain aur chahtay hain kay agar koi mehman unkay ghar mein aiye to usay kio shikayat har giz nah ho. Maiz kursi sofay qaleen takhat gadday saf suthray hon. Palango per palang posh paray hon aur chadron mein kahein silwat nazar na aye. Agar cha phohar pun, bay tartebi aur gandagi Burj Sumblah say taluq rakhtay walon kay mezaj sey mail nahi khatein lakin woh ghar ko saf sutra aur dhang sey rakhnay kay leye jo taklif uthatay hain iss ki waja sey unkay asab mitasir honay lagtay hain. Har kaam ko bay nuqs aur bay aib bana nay ka khabt unko januni kafiyat mein mubtala ker data hai aur ye kafiyat khas tour per in khawatin per tari rahti hai. Jo biwi ya maan ki hasiyat sey ghar ki zimmadar hoti hain aur jin ko apnay shauharon aur bachchon ka tawun hasil nahi hota hai.

Ye kay woh iss mamlay mein un per atammad nahi kar saktein. Aisi khawatin jab dakhti hain kay woh iss maiyar ko jo unhain matlob hai barqarar nahin rakh saktin to phir unka radday amal ye hota hai kay woh ghar ki taraf sey bay parwa ho jati hain aur “bhar mein jaye ye safai suthrai” kah kar har chez sey ghafil ho jati hain, jis ka natija ye nikalta hai kay aik misali ghar phohar khana ban jata hai jahan safai hoti hai nah saliqah nah qarena unka ye raddye amal fitri hota hai aur unko sahat kay leye zaruri bhi hai kiyoon kay agar woh iss radday amal ka izhar na karain to un kay aasab jawab day saktay hain. Burj Sumbla sey taluq rakhnay walay afrad yaksaniyat sey bohot jald ghabra jatay hain, agar che woh apni rahaish gah ko badalnay ka khail pasand nahi kartay kiyoon kay usay dilkash bananay aur sajanay mein pehlay hi bohot waqt sarf kar chukay hotay hain lakin jab woh aik makan chor kar dosray makan mein muntaqil honay per majbur hatya hain to ye muntaqli un kay leye bari dilchusp sabit hoti hai. Woh bari khushi say apna boria bister samait nay mein masrof ho jatay hain. Har chez ko qaiday sey jama kar aur tah kar kay pack kartay hain aur jab dusray ghar pahoch jatay hain to hasb sabiq apnay naie ghar ko arastah kernay aur sajanay mein masruf ho jatay hain. who ye kam aisi dilchaspi sey kertay hain kay goia ye un kay leye bari tafreh hai.
Sunbla afrad ko agar che apnay ghar sey gahri dilchspi hoti hai lakin unkay leye zaruri hai kay woh kuch waqt ghar sey bahar sair o tafreh mein bhi guzarain. Aisi Sumbla aurat ko jo khaton e khana ho aur ghar hi mein iss ki sab say bari zimmay dari ho khas taour per iss baat ka khayal rakhna chahiye kay agar kabhi who khud ko udas aur bay kaif mahsos karay aur iss ki tabyat mein chir chira pen paida ho jaye to isay samajh layna chahye kay woh ghar kay kamon sey thak gai hai aur usay tafreh ki zarurat hai. Aisi khawatin kay leye behter hai kay woh har haftah kahein bahar chali jaya karain. Hamari khawatin kay leye rishtadaron aur saheliyon sey mulaqat bhi aik bari tafreh hai iss tarah unko apnay dil ki bharas nikalnay ka moqa bhi mil jata hai. Sumbla afrad ko jo fitri tour per hasas tabiyat kay malik hotay hain ye baat achchi tarah zahan nashein ker lani chahiye kay agar unhon nay khud ko band jagahon mein ziada arsa mahsor rakha jaye to jald hi bad mezaj aur chir chiray ban jayein gay aur dosron per baat baat ataraz aur tanqeed kernay lagain gain












No comments:

Post a Comment