Libra Horoscope In Urdu || Burj Meezan In Urdu || Libra Star In Urdu || Libra In Urdu || Libra Personality
Libra
Libra starts from 24 September and end of
23 October.
Libra is known as the Scale of Justice. Librans are
easygoing by nature. They are even tempered and do not lose their cool.
They have a pleasant personality and charm people with their kindness.
They are true Romantic at Heart. They are quite loyal and committed with
their loved ones. Librans are very neutral and optimistic in their
approach towards life. They like being natural. They are honest,
truthful and hate lies.
They are quite flexible by
Nature.Librarian is a very romantic and passionate personality. They
believe on positivityLibra has a true heart and they are very kind
people. Librarian is a very sincere about their work. They are very
possessive, sensitive and emotional personality. They hate lies and
believe in truth and honesty. Librarian is a charming and attractive
personality. They like love and respect. Librarians are loves and caring
with children. In this page you will find the information about Libra.
In this page you will read Libra (Burj Meezan) in Urdu and Roman Urdu.
Libra In Urdu
24 September to 23 October
Nishan -Tarazu
Ansar - Hawa
Hakim Sayara - Zohra
Khusbakhti ka Adad - 6
Mawafiq Rang - Safaid Zard, Sabz , Saad pathar - Almas, Sang Dudha
Libra 2012 In Urdu Burj Meezan
Libra afrad jab kisi maslay ke baray
mein mabahsay main ulajh jatay hain to unko moukhalif ke daleel ka samna
karna parta hai aur jab woh yeh mahsus kartay hain ke mokhalif ke
daleel galt hain to un mein junjhlahat paida hojati hai khun ke un ke
khayal mein yeh baat na insafi ki hai. Lehaza woh mazloom ki hamaiat
mein mokhalifon se nibro azma hojatay hain.
Burj Libra se taluq rakhnay walay logon
ko rujat pasand ya rawati tor tareqon se ghari dil chuspi rakhnay walay
nahin kaha jasakta khun ke kisi khas rahan sahan ya tarz budbash ke
qail nahin hotay. Taham unki quwat aradi nahayat mazbot hoti hai aur yeh
jo tareqay ekhtiar karna chahain woh ba asani ekhtayar kar saktay hain.
Baher kaif yeh log bhi dosron ki khatir esar se kam latay hain. Ye log
kam amez aur sharmelay waqa hotay hain. Ajnabi logon ya kabhi kubhar ke
mulaqatiyon se milnay mein pash-o-pash se kam latay hain. Apnay nigi
mamlat aur zati ehsasat ke bare mein baat cheat se guraiz kartay hain
aur apne chand entahai qarebi aur gheray doston ke elawah kisi se bhi
dil ki baat kar na pasand nahein kartay.
Libra Ki Lashauri Jiblat
Libra afraid kay beshter maqasid aur
kamon ka taluq lashauri jiblaton say hota hai woh aztarari andaz mein
faislah nahein kar saktay tawazan aur rishtah-o-taluq say Libra afraid
ka bara gahra rabt hai. In khususiyat ki gunj iss alamat meinn mehsus ki
jasakti hai jo iss burj kay sath makhsus hai yani tarazu aur issi ki
wajah say burj ka nam meezan ( Libra ) rakha gaya hai. Jis kay mani
tarazu hain. Issi tarah rishtah-o- taluq ki akasi zohra kar raha hai. Jo
burj Libra (meezan) ka hakim saiyara hai. ye saiyara bahmi taluqat kay
leye mahmez ka kam kerta hai aur iss mamlay mein iss ka koi jawab nahein
lahza meezan afraid (Libra ) kay ba kasrat maqasid aur lashauri
jiblatain unkay leye aksar cahsmay ki haisiyat rakhti hain. Ye jiblat
har kam kay moqay par “keun” ka sawal paida karti hai chunancahy jab
Libra (meezan afrad)kay samnay do mukhtalif kam atay hain aur unhain un
mein say kisi aik kay haq mein faisla karna ho to woh eztarari andaz
mein foran koi faisla nahin kar saktay.
Jab aisa mamlah unkay samnay aye ga to
woh eskay tamam pahluon per nazar dalain gain achay aur buray pahluon ka
jaizah lain gain (Nishan Mezan ki monasbat se) aur yeh dekhain gain kay
kia koi mutbadil shakal nikal sakti hai ho sakta hai kay aisay mawaqa
per woh log unper dabao dalain jin main jald bazi hoti hai aur Libra
afrad per zor dain kay who jald koi na koi faisala karain.Yeh sahi hai
kay mezan afrad kisi faisalay kay moqa per lait o lal se kam latay hain
aur yeh aisi bat hai jis kay manfi asrat bhi hosaktay hain e aisa shaks
jo qati rai ka izhar na ker sakay aur koi dotok faisala kernay kay bjai
bech main inkar hai woh nuqsan utha sakta hai aisay log yeh bhi ker
saktay hain kay pehlay ekfaisala ker lain aur pher esko badal dain
esqisim kay tarz amal se dusron ko khush kerna todur kibat hai woh apnay
sathion kobhi badil aur naraz ker saktay hain bahar hal yeh misalain
Libra afraid ki khasusiat ka sirf manfi pahlu zahir kerti hain inper
nazar rakhna zaruri hai. Libra afrad ko unse bachnay kay leyeh zaruri
hai kay woh enlogon kay dabao main aker koi faisala na karain jo ense
fori qadam uthanay kay leyeh dabao daltay hain.
Agar woh mamlay kay tamam pahluon per
nazar dalnay kay bad koi faisala karain gain towoh yaqenan jald bazi
main keyeh huai faisalay se behter hoga han unko bahar hal apna faisala
danay main ziadah takhir nahin kerni chaiay aur jokuch kerna hai maqul
waqt kay ander ker leana chaiay.Libra afraid main rawabit qaem kernay ki
jo lashauri khahish pai jati hai uski laueat zati aur qair zati donon
tarah ki hai jaisa kay bataia ja chka hai kay Burj mezan rawabit o
taluqat ki alamat hai enrawabit main shadi biaha sharakat aur bahmi
tawun shamil hain zati tour per mezanafrad agar kisi kam ko apni zat tak
mahdud rakhna chain to woh aisa ker saktay hain unko kisi dusray ka
tawun hasil kernay ki zarurat nahin hogi.
Lakin mezan afrad ka fitri melan tawun
ki taraf hai aur woh zati aur pasha waranah noueat kay kamon main dusron
kay sath milker kam kernay main musart mahsus kertay hain wasi tar
manon main esbat ko youn samaziay ga kay agarchay rawabit se motaliq
mezan afrad ka fitri taqaza susray logon ko ekja kernay ki shakal main
zahir hota hai lakin woh aisa es waqt kerna chatay hain jab logon kay
darmian akhtlaf rai paia jai. Aisay moqa per unki koshis hoti hai kay
iekhtlaf rai rakhnay walon ko woh kisi ek noktay per lakar un kay
darmian mofahmat paida kardain.
Mohmat aur itafaq paida kernay ka yeh
kam mezan afrad bari khubi se anjam dai saktay hain woh zati sitah per
yeh kam apnay doston kay ikhtlafat dur kara kay aur unko milaker bhi
anjam dai saktay hain aur gair zati stah per woh yeh kam baray baray
gorohon kay darmian ikhtlafat ko rafa kara kay bhi anjam daisak tay hain
maslan mezan afrad agar kisi karkhanay ya adaray main ala afsar ya
malik ya union leader ki hasiat se kam kar rahay hon to woh intazamiah
aur mazduron kay darmian salsi sabit hosaktay hain woh har jaiz shikait
ko sunnay kay leyeh taiar rahtay hainaur esper zaruri tawajah datay hain
apni en salahiaton ki wajah se mezan afrad safarat kay faraiz bhi bahut
achchi tarh anjam daisaktay hain keonkay eskam main woh log ziadah
kamiab hotay hain jo hikmat amli main mahir hon dostanah taluqat ko
farog dai sakain aur ekdusray kay mokhalif anasir ko ek maiz kay gird
btha ker unmain mofahmat paida kersakaimn.
Libra Khawateen Ke Khasusi Ausaf
Elm najum main Libra
aurat kay 30 se zaid achay buray khawas bian keyeh gai hain jo uthtay
bathay apnui kitab main 35 khawas ki nishandahi ki hai yeh woh khawash
hain jo agar kisi aurat main pai jain to esko mukamal mezan aurat kaha
jai ga lakin agar kisi aurat main hasb zail 5 imtiazi ausaf nazar aian
to ham esko aisi aurat kah saktay hain jo mezan banay kay dour se guzar
rahi hai.
1-Rishton aur taluqat kay maidan mein aur khasusan zahni mashagal mein shidat pai jati ho.
2-Art, adab mosiqi, sajawat aur banao singahr se dilchaspi pai jati ho.
3-Apnay tamam taluqat main nazm o zabt,
tarteb aur ham ahangi paida karnay ki motbadil shakal yeh bhi hosakti
hai kay unsay har mahaz per jhagra aur hangamah barpa ker rakha ho.
4-Umar, jografiai aur nasli imtiaz kay bagair logon se khshgawar taluqat qaim ker rakhain hon, chahai unmain gahrai na ho.
5-Andaruni aman aur ham ahangi kay narm o nazuk ahsasat pai jatay hon.
Mezan aurat jab tak jazbati tour per
pukhtagi kay marhalay main nahin pahunh jati esmain tawazan ki kami
rahti hai esmain lksar mutzad noueat kay kahwas bhi pai jatay haiun.
Libra Woman In Urdu
Mezan khawateen apnay husn aur kashis
ki wajah se mashur hain missal kay tour per mashur adakarah burshi
barwadat ka taluq mezan se tha rita hai warth bhi jin ki shadi agha khan
se hui, burj mezan sse hi taluq rakhti thin mezan khatun apnay es
akhtaiar sse jo eska husn aur eski imtiazi hasiat usay bakhsti hai puri
tarah kam leana chati hai woh apnay ap ko bahtaren sluk ki mustahiq
samajhti hai woh samajhti hai kay sari dunia usi ki marhun minat hai
mezan khawateen dusron ko wargalanay kay fen main mahir hoti hain.
Mezan aurat main ghulu aur intha
pasandi pai jati hai esi wajah se uskay akhrajat baz auqat fazul kharchi
main dakhil ho jatay hain keonkay woh hamaqt ki had tak daulat zai
kerti hai woh jab singhar ka saman , sabun, shampoo, bath oil kharednay
jai gi to darjnon aur gailanon kay hisab se khareday gi pher woh en
chezon se mutmain bhi nahin hoti eska zoq aur maiar etna buland hota
haikay esko koi chez pasand nahin ati esi tarah eska khana bara purtaish
hota hai jis ki wajah se uskay jism per charbi charnay lagti hai aur
badan main farbahi bhi ajati hai labas bhi aksar nahait umdah aur
nazakat keyeh huai hota hai aur khushbuiat main es buri tarah basa hua
hota hai kay dusron ko woh nagwar guzar sakta hai mezan aurat nai nai
chezon ki dildadah hoti hain aur her nai faishan ki kharedair. Hadir aur
nayab motiyon say usay khas dilchuspi hoti hai aur yeh moti iss ko jis
qemat per mil jain woh khared nay ki koshis karay gi.
Libra aurat saman
taesh ki farawani kay sath zindagi guzarna chati hai aur woh shadi kay
leyeh aisay afrad ki talash main rahti hai jo esko arzuon, shouq aur
umangon ko bher pur andaz main pura ker sakain mezan aurat khushamad
pasand bhi hoti hai enlogon se bahut khush rahti hai jo chaplosi karain
eski tarifain kertay rahain aur esko tohfay tahaif pash karain woh
hameasah khush umed rahti hai mausi uskay pas phatak bhi nahi sakti aur
woh apni zaruiat aur kahisat ki takmel kay leyeh qismat per bharosa
karti hai. Mezan aurat ek mamuli jhonpray ko bhi mohabat ka gahwarah
bana sak ti hai woh apni shamon ko dawaton zaifaton aur partiyon kay
zarya yadgar bana dayna chati
Woh partiyon main achi gaza aur umdah
mashrubat kay sath mosiqi ka ahtamam zaruri samajhti hai agar mezan
aurat kisi ziafat ka intazam gi kamiab dilkash aur yadgar banay kay
leyeh har jatan karay gi roshni khushbu araish mosiqi nafees dasterkhan
aur qalen garz kay her chez wahan moujud hogi woh choti se choti chez
per nazar rakahy gi aur koshiah kary gi kay koi aisi bat nah okay dusron
ko angusht numai ka moqa milay ek khas bat yeh hai kay mezan aurat main
husn o jamal ka ihsas hi qawi nahin hota balkay woh es maidan main
jaded taren rohjanat aur milanat se bhi bakhabar rahti hai.
Woh en mouzuat per jin se isko
dilchaspi hai mosal sal guftagu ker sakti hai yeh mozu awamun nas, art,
samajyat ,qanun husno jamal , tarikh, akhlaqyat, wagairah se motaliq
hoto pher eski garmi guftar dekhnay se taluq rakhti hai woh madranah
jazbat se ziadah shirakat daranah jazbat ki malik hai aur tanhai per
logon ki rafaqat ko tarjeh datyi hay taham woh taraqi khushali aur bay
fikri ki zindagi hasil karnay ki arzu main kurhti nahin rahti woh sirf
ek aysay rafiq hiat ki talash main rahti hai jo iss kay qadmon main
daulat kay dhair laga day aur iss ki arzuon aur tamanaon ko pura kar
day.
Libra Khawateen Ke Mouzu Pashay
Libra (Meezan khawateen) ko jin
paishuon say khas tour par dil chaspi ho sakti hai woh hisab zail hain.
Art, faishan, khawateen kay malbusat, afzaish husn kay
mashagil, taluqat ama, faroshi, gul faroshi, zawarat sazi aur unki
farokht, qanun, araish khana, farnicher aur us ki designing, farokht aur
ishtaharat, mosiqi, share-o-shayari, aur us say motaliq kitabon ki
ashat, safart kari, saisat, aman qaiam kernay ki koshishain , tabi
faraiz aur tailring wagaira.
No comments:
Post a Comment