Kamar Ke Dard ka Desi Ilaj || Back Pain Treatment In Urdu
Backache is a common problem now a day. If you fell backache suddenly then it has many reasons as you did a work that you are not able to do or that work is little difficult for you or you did that work with a wrong method. If you suddenly fell backache then do not just lay down do some exercise or have a massage of ice cubes. Many exercises are explained in this article. If you have backache then first try these exercises at home if you do not fell better then go to your doctor, may be it is not the regular pain. In this page, you will read Kamar ka dard, back pain treatment In Urdu, Kamar ke dard ka desi ilaj, kamar dard ka totka in Urdu and Roman Hindi.
Backache is a common problem now a day. If you fell backache suddenly then it has many reasons as you did a work that you are not able to do or that work is little difficult for you or you did that work with a wrong method. If you suddenly fell backache then do not just lay down do some exercise or have a massage of ice cubes. Many exercises are explained in this article. If you have backache then first try these exercises at home if you do not fell better then go to your doctor, may be it is not the regular pain. In this page, you will read Kamar ka dard, back pain treatment In Urdu, Kamar ke dard ka desi ilaj, kamar dard ka totka in Urdu and Roman Hindi.
Kamar Ka Dard (Back Pain In Urdu)
Kamar ka dard (backache) aik aam bemari
hai. Mazman dard (chronic pain) kamar to taweel mudat tak rehta hai aur
aik pechida mamla hai. Lekin sadeed dard mein chand gharelo totke azma
kar afaqay ki surat paida ki jasakti hai. Haad dard e kamar achanak aur
sadeed hota hai. Kamar ka dard (waist Pain) amoman kisi aise kaam ke
bayis hota hai jise karne ki sakat hum mein nahi hoti aur humme isse
nahi karna chahiye. Ya phir iss kaam ko ghalat tareeke se karne ke bayis
ye ho sakta hai iss tarah kabhi mouch aajati hai, kabhi pathey (muscle)
khich jate hain aur kabhi dabao parta hai aur sadeed dard shuro ho jata
hai jo kaye din tak jari rehtaha. Kamar ke dard se chutkara pane ke
liye mukhtalif tareeke aazmaye jasakte hain.
Aik kheyal ye hai ke iss purane mashware
per amal na kiya jaye jiss mein kamar ke dard ki surat mein pehle khoob
aur mukammal aaram ke liye khaha jata tha. America mein jadeed tehqeeq
se ye baat samne aaye hai ke kamar ke dard ke mareez warzish (Exercise)
se jald behtar mehsoos karte hainBack Pain Treatment In Urdu
Kamar Ke Dard ka Desi Ilaj
1- Shedeed dard ki shurat
mein baraf (Ice) se takoor ki jaye to kamar ke pathon (muscles)
par acha asar parta hai. Agar ho sake to kisi se madad
layligiye aur baraf (ice ) ki theli se dard ki jagha malis karayie. Ye
amal 7 se 8 minutes jari rahe aur har chad ghante baad aik do rooz tak
jari rahe.
2- Aik do roze baraf se
takoor ke baad dard ki jaga ko garmi pohchana shuru kar de jeye. Aasa
karein ke aik toleya (towel) lay kar isse khoob garam pani mein
bhiguyein. Phir isse nichur lein. Pait ke bal lat jayein aur takhnon aur
kolhou (hips) ke neeche takye (Pillow) rakh lein. Toliyon (towel) ko
phela kar dard wali jaga par rakhein. Towel ke ird gird bareek plastic
ki sheet lapat dein aur iss par garam pani ki botal rakh dein. Uper
halka sa wazan bhi rakhein take kuch dabao bhi pare. Neem garmi se
pathon (muscles) ka ainthan kam ho gi.
3- Agar app ko ye andaza
na ho ke dard ke liye baraf behtar hai ya garmi to phir dono tareeke
ikhtayar karein. Aadha ghanta baraf ki takoor aur phir atni hi dair
garmi. Ye amal dohrate rahein.
4- Dukhti huye kamar
phelane se bhi afaqa hota hai. Khun ke phathon ko sakoon milta hai.
Kamar ke nichle hise mein dard mein afaqay ke liye lait jayein aur aaram
se apne ghutne (Knee) upper sene (chest) ki taraf layein. Jab ghutne
(knee) wahan pahuch jayein to un par thora sa dabao dalein phir inhain
pehlayein aur dhila chor dein ye amal dohrayein.
5- Suba (morning) bistar
se uthte waqt kaas ahtiyat karein aahista aahista uthein aur dhere dhere
phichal ka bed ke sire tak phochein. Phir kamar ko zara sakt kar ke
pehle pair bhistar( bed) se niche utarein
6- Kamar (waist) mein dard
ho to warzish (Exercise) ka kheyal bhi nahi aata. Hanlake ye
fayedamand ho sakti hai. Aksar Doctors kehte hain ke baraf aur garmi se
ilaj ke sath sath agar halki phulki warzish (Exercise) kar li jaye to
dard mein afaqa ho sakta hai. Iss silsile mein kaye warzishein tajweez
ki jati hain. Lakin app kisi Doctor ke zair e ilaj hain to warzish shuru
karne se pehle us se mashwara karna chahiye.
7- Zameen par chit latiye.
Ghutno ko kham dejiye. Dono hathon ko cross kar ke kandhon (Shoulder)
par rakh lein phir sar aur kandhon (Shoulder) ko zameen se upar uthayein
jiss kadar utha sakein lakin kamar ka nichla hisa zameen par hi tika
rahe. Iss position mein lamha bhar rahein aur ye amal phir dhohrayein.
8- Aundhe laitiye apna
bayan haat (left hand) aur dahini tang (right leg) upper uthayein. Lamha
bhar ye position rakhein. Ab dahina haat ( Right hand) aur bayein tang (
left leg) upper uthayein. Gaise app swimming kar rahe hain. Iss
warzis se kamar ka nichla hissa mazboot hoga.
9- Garam pani ke talab
mein tairna behtareen warzish ( Exercise) hai. Agar nichli kamar ka dard
haad ya shadeed ho to bhi ye warzish achi hai.
10- Wo cycle jo apni jaga
khari rehti hai aur warzish (Exercise cycle) banayi jati hai, iss par
sawari bhi achi warzish hai. Lakin sheet par sedha baitha jaye aur aage
ki taraf na ghuka jaye. Agar zarorat ho to sheet aur handle bar ko iss
tarah uoncha niche kar lein ke aage na ghukna pare.
Kamar Dard Ka Gharelu Ilaj, Kamar Dard Ka Totka,
Zarori nahi hai ke kamar mein dard hote hi
app Doctors se ruju karein. Khuch tawaquf karein aur inn gharilu totko
ko azmayein jin ke bare mein upper bataya gaya hai. Lakin agar darja
zail kafiyat ho to Doctors se zaror mashwara karein.
1- Agar dard musalsal ho aur bardta jaye. Ya 6 hafte afaqa na ho to.
2- Aage ghukne mein bahot ziada dikat ho.
3- Kamar ka dard (waist pain) pehli bar 20 saal ki umar se pehle ya bachpan ki umar ke baad ho.
4- Kamar ka dard (waist pain) kisi shadeed chot maslan road accident ke baad ho.
5- Dard rerdh (back pain) ke satoon ke upper hi hise mein ho.
6- Agar aise admi ko ye dard ho jo sartan ka mareez ( cancer patients) ho ya reh chuka ho,
7- Agar koye aadmi
8- Agar tabiyat aksar kharab rehti ho ya haal hi mein wazan kam huwa ho.
asabi nizam mein koye masla ho ya reerd ke satoon mein nukhs ho.
asabi nizam mein koye masla ho ya reerd ke satoon mein nukhs ho.
No comments:
Post a Comment