Wednesday 11 December 2013

History Of Nawaz Sharif In Urdu

History Of Nawaz Sharif In Urdu || Nawaz Sharif  Politician History || Nawaz Sharif  PML (N) Chairman Biography And History || Biography Of Nawaz Sharif  In Urdu || Nawaz Sharif Pakistan Personal History || Information About Nawaz Sharif In Urdu || Nawaz Sharif  Politician Biography || Nawaz Sharif  Politician History || Nawaz Sharif Personal History || Nawaz Sharif  Wiki || Nawaz Sharif  History In English

 
 

 Nawaz Sharif History In Urdu 2

Nawaz Sharif

Mian Muhammad Nawaz Sharif was born on 25th December 1949 in Lahore. He is 63 years old. Nawaz Sharif is a Pakistani Politician. He is the President of Pakistan Muslim League N. He is the brother of Mian Muhammad Shahbaz Sharif. Nawaz sharif has one daughter Maryam Nawaz Sharif and two Sons Hussain Nawaz Sharif and Hassan Nawaz Sharif. He received the degree of B.A. from Government College of Lahore and LLb from Punjab University. Nawaz Sharif twice elected the Prime Minister of Pakistan in 1990 and 1997. In this page you will see Mian Muhammad Nawaz Sharif history in Urdu. 

                 Nawaz Sharif History In Roman Urdu

Nawaz Sharif Photo
Nawaz Sharif 25, December 1949 ko Lahore mein peyda hue. Government College se B.A. aur Punjab University se LLB kiya. Ittefaq Islamic Academy and ittefaq Hospital qaiym kiya. 1985 mein Lahore se qaumi assembly ke rukun bane. 9 April 1985 se 1 December 1988 tak Punjab ke nigran Chief Minister rahe. 29 May 1988 ko Pakistan ke president General Zia Ul Haq ne assemblies torh deen, lekin wo badastor caretaker Chief Minister rahe. 2 December 1988 se 16 August 1990 ba ikhteyar aur baqaiyda wazeer e aala Punjab ke auhdey par faiyz rahe. Opposition leader hote hue wazeer e aazam Pakistan Benazir Bhutto Hukoomat ke khilaf tehreek e adam pesh ki, jo ke kamiyab na ho saki. 16 August 1990 kko Pakiatan ke President Ghulam Ishaaq Khan ne Benazir Bhutto hukoomat ko bartaraf kar diya aur kabeena torh di. 11 September 1990 ko Islami Jamhori Ittehad, Jamiyat ul Ulmaae Islam, Awami National Party aur sabiq C.O.P. mein intekhabi muaaehda tey pa gaya. Is ke natijey ke taur par I.J.I. manzar e aam par aai.


24 October 1990 ko hone wale intekhabat mein I.J.I. ne qaumi assembly ko 105 nashisten jeeti. 1 November 1990 ko Parliamentary Quaid muntakhib hue. 4 November 1990 ko qaumi assembly ke speaker Gohar Ayyub aur Deputy speaker Nawaz Khokhar muntakhib hue. 6 November 1990 ko prime minister Pakistan ke auhdey par faiyz hue.
9 February 1991 ko masla e khaleej par muzakrat karne Libya gae. 10 February 1991 ko aghwa barae tawaan karne walon ko sazae maut dene ka qanoon banaya. 12 February 1991 ko masla e khalieej ke liye Marrakesh ka daura kiya. 14 March 1991 ko Senate ke intekhabat mein 19 mein se 31 nashisten jeetin. 15 march 1991 ko Pakistam Atom reactor tayyar karne ki salahiyat hasil ki. 11 April 1991 ko Pak Bharat ke maben fizaai khilaf warziyan na karne ka muaaheda hua. 19 April 1991 ko qaumi assembly mein shariyat bill pesh kiya.
22 April 1991 ko nae sanati policy ka aelaan kiya. 25 April 1991 ko Shaukat Khanum Cancer trust Lahore ka sang e bunyad rakha. 4 may 1991 ko Pakistan aur urkey ke maben Postal Money order service shuru karne ka muaaheda kiya. 5 May 1991 ko Bangladesh ke seylab zadgan ki imdaad ki khatir Dhaka gaey. 30 May 1991 ko Bet ul Maal aur Education Foundation ke qiyam ka aelan kiya.
28 June 1991 ko Votes se shariyat bill manzoor kar liya gay. 19 June 1991 ko tahaffuz nazarya Pakistan ordinance jari kiya.22 June 1991 ko aman o amaan qaiym karne wale idaron ko gharon mein ghus kar talashi lene ke ikhteyarat diye gaey. 5 July 1991 ko prime minister of Kashmir Mumtaz Rathore ko Muattil kar diya. 18 July 1991 ko aaiyn mein 12 tarmeem ki manzori di gai. 13 August 1991 ko Allied Bank ko karkunon aur intezamiya ke supurd kar diya gaya. 14 August 1991 ko 1947 ke shuhda ki yaad mein Walton ke maqam par “ Bab e Pakistan ” ka sang e bunyad rakha. In ke barsar iqtedar aane ke 9, 10 maah bad I.J.I. mein phot parh gai, ikhtelafat barh gaey. 28 July 1991 ko Jamat e Islami ke maiyb ameer professor Ghafor Ahmed Secretary Journal ke auhdey se mustafi ho gaey. 21 August 1991 ko Mian Sarfaraz ko Muslim league se nikal bahar kiya gaya. Sabiq nigran prime minister Ghulam Mustafa Jatooi ko I.J.I. se aur un ke sahabzade ko markazi kabena se nikal diya gaya. 19 June 1992 ko Karachi ki bigharti hui sorat e haal ke pesh e nazar Army ne Sindh operation shuru kiya. Jis ke natejey mein MQM ke qaumi aur sobai Sindh assembly ke arakeen ne istefey de diye.
18 November 1992 ko hasb e ikhtelaf Benazir Bhutto ne in ke khilaf Long march ki tehreek chalai. February 1993 mein sindh ke hariyon mein zarai zameen taqseem ki gai. 19 March 1993 ko sabiq prime minister aur Muslim League ke president Muhammad Khan Junejo inteqal kar gaey. Ab Muslim league ki qiyadat ka masla peyda ho gaya.s in ki party mein phoot parh gai. 17 April 1993 ko Pakistan Television par awaaam se khitab kiya aur qaum ko bataya ke is waqt mulk kin mushkilat se do char ho raha hai. 18 April 1993 ko President ne qaumi assembly torh di. Muhammad Nawaz Sharif hukomat ikhtetam ko pohnchi. 14 July 1993 ko nae intekhabat karwane ka aelaan hua.
27 May 1993 ko Muhammad Nawaz Sharif ne aitemad ka vote liya. 29 May 1993 ko wazeer e aala Punjab Mian Manzoor Wato ke mahsware par Governer Punjab Chaudhry Altaf Hussain ne Punjab assembly torh di. Wazeer e aala ka auhda barqara rakha. 2 June 1993 ko qaumi assembly mein Mehran bank scandal mein president of Pakistan ke mulawwis hone ka sabot faraham kiye. 10 June 1993 ko adalat e aaliya ne Governer Punjab ke is iqdam ko gher qanooni qara dete hue Punjab assembly bahal kar di. Wazeer e aala Punjab Mian Manzor Wato ki hukomat bhi bahal kar di. 18 July 1993 ko Muhammad Nawaz Shrif ne president of Pakistan Ghulam Ishaaz Khan ko assembly torhne ka mashwara diya aur sadder ne fori taur par assembly torh di. 20 July 1993 ko aik barhe jalsey se khitab karte hue kaha ke aaj Mulk ko torhne walon ki aulad iqtedar mein hai. Mujhe iqtedar mile na mile inhe jana hoga.
13 November 1994 ko in ke walid Mian Muhammad Sharif ko giraftar kar kiya gaya. 14 November 1994 ko parliament ke mushtarka ijlaas mein opposition ki taraf se zabardast aehtejaaj kiya gaya aur sadder ke khitab ka mukammal taur per boycott kiya. 17 November ko Mian Muhammad Sharif zamanat par riha ho gaey. 17 November ko Nawaz Sharif ne kaha ke wazarat e azmaa ke liye 3rd person par ittefaq kiya ja sakta hai aur is zaman mein dosri jamaton se gher mashrot taawun ka aelan kar diya gaya.
19 February ko dosri bar prime minister muntakhib hue. Madde maqabil Aftaab Meerani ko 161 Votes se shikast di. 10 February 1997 ko in ke Bhai Mian Muhammad Shahbaz Sharif wazeer e aala Punjab bane. 23 February 1997 ko quam se khitab karte hue kaha ke is waqt mulk jin halaat se guzar raha hai, is baat se bacha bacha waqif hai. Nawaz Sharif ne kaha ke awam ghurbat aur mehngai ki chakki mein pis rahi hai. Kappas aur gandum ki faslein tawaqqa se kam ho rahi hain. Mujhe tamam riwayat torh kar aage nikalna hoga. Main riwayati Prime Minister nahi banonga.

Nawaz Sharif History In English
Mian Muhammed Nawaz Sharif  was born in 1949. He started his political career in 1980′s. In 1990′s, he was elected as Prime Minister of Pakistan twice. Now a days, he is the president of Pakistan Muslim League (N) which is the second largest political organization of Pakistan. He was ousted by General Pervaiz Musharraf after his military coup in 1999. After that Mian Nawaz Sharif was deported for almost 8 years.

No comments:

Post a Comment