Wednesday 20 February 2013

Khajoor Benefits || Khajoor Benefits In Urdu || Khajoor Ka Faida || Ajwa Khajoor History In Urdu || Dates Benefits || Dates Benefits In Urdu || Khajoor History

Khajoor Benefits || Khajoor Benefits In Urdu || Khajoor Ka Faida || Ajwa Khajoor History In Urdu || Dates Benefits || Dates Benefits In Urdu || Khajoor History || Khajoor Benefits In English
 

 


 


                                       Khajoor Benefits In Roman Urdu

Dates (Khajoor)

Dates are the fruit of Heaven. It is a dry form of fruit. Dates are called a Jamar in Arabian, Dil Khurma, Maghaz Khurma and Paneer Khurma in Persian. The tree of date is 150 years old. The taste of dates is like almond and milk. Dates are very healthy for chest pain and soiling, intestine problem, cough, voice. Date is a best medicine and breakfast for old constipation. The tree of date is the King of Nakhlistan. It cultivated in America and Asian Countries. The dates are one of the oldest cultivated fruit. In Pakistan, the dates are famous in Multan, Dera Ghazi Khan and Khairpur. Date has 2.0 % Protein, 2.0 % Fats, 24 % Carbohydrates, 270 % calories, 4.7 % sodium, 754 % potassium, 67.9 % calcium, 59.9 % magnesium, 0.21 % copper, 1.61 % iron, 638 % phosphorus, 51.6 % sulphur, 290 % chlorine. In this page, you can read about Dates Benefits In Urdu (Khajoor Ke Faide, Fawaid) In Urdu and Hindi.

Dates Fruit In Urdu (Khajoor In Urdu

Khajoor (Dates) aisa fruit hai ko America, Mashriqui wastee aur Asian Countries mein kasrat se paya jata hai. Is ka ghar shumali Africa ko bhi kaha jata hai. Pakistan mein khajoor ki paidawar ke liye Multan, Dera Ghazi Khan aur Khairpur ke areas ziyada famous hain. Khajoor ka darakht jins ke lihaz se muzakkar bhi hai aur maunnas bhi. Muzakkar ko fruit nahi lagta, jsb ke is ke daney maonnas plants ko barori karne ke liye bhaghbano ki koshish se pohnchae jate hain.

Dates Tree (Khajoor Ka Darakht)


Khajoor ka darakht (Dates Tree) ki ausat umer 150 saal hoti hai aur is ka koi bhi hissa waste nahi jata hai. Stem buildings mein use hone wali wood ke taur par use kiya jata hai. Branches chairs banne aur jalane ke kaam aati hain. Is ke ilawa leaves se tokriyan banti hain. Aksar mazahib mein khajoor aik muqaddas aur yahodiyon ke tehwaron mein khajoor ko barhi aqeedat se shamil kiya jata hai. Khajoor Ka Darakht (Dates tree) ki aehmiyat ki inteha yeh hai ke Nabi Kareem S.A.W.W ne is tree ko is liye Musalman kaha hai key eh sabir o shakir aur ALLAH PAK ki taraf se barkat wala hai.

Paidawari mulkon mein maqami khapat ke masiwa 5 se 8 lakh ton khajoor duniya ke bazaron mein bheji jati hai. Jis ka barha hissa Europe jata hai. Jahan Christmas ke dauran is ki maang mein bohat ziyada izafa ho jata hai. Aap isi baat se is ki aalmi maqboliyat ka andaza kar sakte hain. Khajoor ka darakht (Dates Tree) Nakhlistan ka King kehlata hai. Arabian mein aik purani kahawat khajoor ke barey mein kuch is tarha se hai ke “ Saal mein kitne din hote hain utne he khajoor ke fawaiyd aur istemal hain …” Arabian mein purani riwayat hai ke khushi aur fatah ke mauqey par log khajoor ki pattiyon ko le kar lehrate hue juloos ki shakal mein chalet the. Rasool S.A.W.W jab Mecca se hijrat farma kar Medina Munawwara tashrif le gae to wahan Aap S.A.W.W ka nihayat garam joshi se istaqbal hua aur Medina Munawwara ke log hath mein khajoor ki tehniyan liye hue apni khushi ka izhaar kar rahe the.

QURAN PAK ki bohat si ayaat mein khajoor ka zikar paya jata hai aur isi se is ki aehmiyat ka bhi pata chalta hai.
“ In mein Meywe, khajoor aur Anaar hain to tum apne Parwardigar ki kon kon si neymaton ko jhutlaoge …” ( Surah Rehman )

“ Aur usi ne khalqat ke liye zameen bichai, is mein meywe aur khajoor ke darakht hain, jin ke khoshon par ghilaaf hote hain…” ( Surah Rehman )

“ Phir hum ne us se tumhare liye khajoron aur khajoron ke bagh banae, in mein tumhare liye bohat se meywe peyda hote hain aur in mein se tum khate ho…” ( Surah Almominon )

Dates Benefits In Urdu ( Khajoor Ke Faide)


Khajoor ki Tibbi Fawaid


Hazarat Ayesha Siddiqa R.A. beyan farmati hain. Rasool Allah S.A.W.W ne farmaya ke “ Is azeem Ajwa khajoor mein har bemari se shifaa hai aur agar ise naharmou khaya jae to yeh zehro se turyaq hai…”

Nabi Kareem S.A.W.W ne roza kholne ke liye hamesha khajoor istemal farmai. Roza iftar karte waqt kisi aesi khurak ki zarorat hoti hai jo ke jald hazam ho jane wali ho. Khajoor(Dates) he aesi khuraak hai jo ke jald hazam ho kar Jiger ke liye taqwiyat o taqat ka baiys banti hai.

Nabi Kareem S.A.W.W ne sab se ziyada ajwaa khajoor ko pasand kiya hai. Unho ne ise jannat ka meywa kaha hai. Ise naharmou khane ki talqeen ki gai hai. Khajoor se pait ke keerhon ka bhi ilaj bataya gaya hai. Fresh paki hui khajoor ka pani peene se isha’al ruk jate hain. Khajoor khane ke baad khaya jae to meyde mein bojh ki kefiyat nahi hoti. Safra aur tezabiyat ko khatam karti hai : QURAN MAJEED ne jannat ke fruits ki tareef mein khajoor ke sath anaar ka zikar kiya hai.

Khajoor ke sath anaar ka pani meyde ki sozish aur ish’al (Loose Motions) mein mufeed hai. Khajoor khana quwwat ka baiys hai, liver ko taqat deti hai. Wedak tib mein yeh mou ki khushki door karne mein akseer hai. Khajoor ka gooda aur churhchute ki root pees kar pani mein rakh kar khane se sardi lag kar aane wala bukhar toot jata hai. Khajoor ki root patton ki raakh se manjan karna danton ke dard ke liye mufeed hai.

Khajoor Date he mein to asal ghizaeyat hai. Yeh mehaz aik khayal ya baat barae baat nahi. Yeh qudrat ka shereen tareen phal hai aur wahid aisa fruit hai jis ka Torait, Bible jaise sehfiyon ke bad QURAN PAK mein bhi zikar hai aur is ki shifaai aehmiyat RAB E KAREEM ne wazeh kar di hai. Khajoor (Date) ke tree ko English mein Palm tree aur tibbi zuban mein Phoenix Dact kaha jata hai aur aap ko heyrat ho gi ke sirf Muttehda Arab Emirates mein ye 33.4 million tak kasht ki jati hai. Maqami department, mahauliyat aur pani ke aik muhtaat andazey ke mutabiq 1978 mein yeh tadad 2.3 million thi. Phir 1990 mein 13.1 million hui, is ke bad 2003 mein 40.7 million ho gai. Abu Zehbi Khajoor (Date) ke trees ka markazi shehar hai. Jo 82 % khajoor kasht kar raha hai.

                       Khajoor ki Ghizaai Khusosiyat :


Is phal ki bharpor ghizaeyat aur hiyateen ki majodgi ki wajah se rozadaron ko is se iftar karne ki hidayat ki jati hai aur Sunnat E NABWI S.A.W.W bhi hai. Aap aik khajoor (Date) kha ke roza iftar kijiye. Yeh bamushkil 15 minute mein khoon mein sugar ki miqdar barha kar aap ko tawanai bakhsh deti hai aur aap khud ko tawana mehsoos karne lagte hain. Isi tarha agar aap halki phulki ghiza ke bad khaeyn to seyr chashmi hoti hai aur agar saqeel ghiza khane ke kuch lamhon bad bojhal pan mehsoos ho to is mein ghiza ko digest karne ki behtareen salahiyat bhi paai jati hai. Agar diabetes patient ko sugar level mutawazin rakhna ho to unhe din ke mukhtalif auqat mein 3 adad khajooren khane ki advice di jati hai. Tibbi mahireen tajveez karte hain ke gira hua sugar level control karne ke liye khajoron ki itni he miqdar kafi hoti hai.

Khajoor (Date) ko khane ke dauraniye ke taweel waqfey ke dauran khaeyn ya khana shuru karne ya darmiyan mein yani kisi bhi waqt khaeyn. Yeh meyde ko taqwiyat deti hai, qabz kusha hai aur tawanai ka mazhar to hai he kyun ke carbohydrates tawanai beham pohnchane ka behtar awwaleen zariya hote hain. Agar 17 yani 100 gram khajoron ko din bhar istemal kiya jata rahe to glucose, Fructose ( Fruits ki natural sugar ) aur sucrose ( Table sugar ya aam white sugar ) ki wasee miqdar dastiyab ho jati hai.

Minerals :


Potassium aur sodium ki miqdar ke sath khajoor (Date) mein maujood mineral ajzaa buland fashar blood ( High Blood pressure ) ke patients ke liye mufeed hain. Khajoor (Date) mein calcium ki miqdar ziyada nahi lekin 59 mg calcium deegaar ajzaa ke sath mil kar tawanai farahum karne ka zariya banta hai. Arabian Countries mein daily 700 mg khajoor (Date) ausatan har baligh khata hai, lekin koi jismani hararat ya hiddat ki shikayat nahi karta. Yeh fruit kae peycheeda amraaz ki madafati tehreek sabit hota hai.

Fiber :


pecstin aur cellulose ke ajzaa par mushtamil yeh fober apni noiyat ka khas dietary fiber hai jo sirf khajoor (Date) mein paya jata hai. Pecstin se kharab cholesterol zaiyl hota hai aur meyde ke afa’al ko durust rakhta hai.

Khajoor Khane Ke Fayde:


Aik garam khajoor (Date) khane ka matlab hai ke aap ne kam az kam 3 kg calories jitni tawanai hasil kar li aur 100 gram khajoor ka matlab hai ke 15 se 20 khajorein, is tarha aap ko 280 hararey mil sakenge. Sehatmand rehne ke liye baligh afraad 38 gram kahjoren kha sakte hain. Jaisa ke Arabian ki aam khuraak hai. Naujawano ki barhi tadad is phal ko riwayati andaaz mein khane mein dilchaspi nahi leti tahum jo afraad weight mein kam hon, naqahat mehsoos karen. Doctor hazraat se aise tamam afraad ko khajoor khane ki advice karne walon aur patients ko khajoor khane ki hidayat ki jati hai.

Mukhtalif rangon aur iqsam ki khajoren ki alehda shifaai khusosiyat tasleem ki jati hai. Yeh garam aur martoob ilaqon mein saal bhar mukhtalif shaklon aur iqsaam mein dastiyab hoti hai. Surkh khajoor (Date) ko khanaiyzi, khasab, north aur anwaan kehte hain. Peeli khajoor (Date) ki qismon ko lolo, barhi, mirzeyban, hilali, boma aan, jabri, habsh, jaffer, khallas, maskari, misti aur sultana pukara jata hai. Orange khajoren jaish habbash, rezeeze, Bengal aur basri ke naamon se dastiyab hoti hain. Waste mashraqi aur Asian mumalik khajoor peyda karne wale khas maqam hain. Misar, Iran aur Saudi Arabia ke bad Arab Emirates ke ilawa Iraq, Pakistan, Oman, Libya aur Algeria Duniya bhar ke 10 behtreen peydawari Mulk hain.

Khajoor Ka Ghabaa


Arabian mein ise Jamar kehte hain. Farsi mein ise dil khurma, maghaz khurma aur paneer khurma kehte hain. Khajoor ke darakht ki branches mein jis jagah phool lagte hain. Wahan par konplon se pehle yeh thick, lesdaar, shereen, aur khushbodaar jama ho jata hai. Zaiyqa almond aur milk jaisa hota hai. Jis tree se Jamar nikaal len, us ko phir phool nahi lagte hain. Is ke khane se qabz peyda hota hai, aanten mazboot hoti hain aur dast ruk jate hain. Seeney ke dard ko door karta hai. Thook mein khoon ata ho to ruk jata hai. Halaq aur seeney ki sozish ko kam karta hai. Awaaz mein nikhar peyda karta hai. Khansi thek ho jati hai. Manshiyat se peyda hone wala khumar jata rehta hai. Qey rokta hai, chakkaron mein mufeed hai. Hasasiyat ko door karta hai.
Khajoor ko wash kar ke doodh mein boil kar ke dene se aik maqwi aur fori taur par tawanai muhayya karne wali ghiza ban jati hai. Zachgi ki aziyat aur bad ki kamzori ke liye Hazrat Mariyam A.S. ko ALLAH TA’ALA ki taraf se khajoor muhayya ki gai thin. Bukhar aur chechak ke bad ki kamzori jald door ho jati hai. Daq ke mareezon ke liye kamzori mein faiydemand hai. Khajoor (dates) ki guthliyon ko aag mein daal kar in ki dhoni dene se bawaseer ke massey khushk ho jate hain. Khajoor (Dates) ki guthliyon ko bhoon kar in ko coffee ki shakal mein piya jata hai, jise Date Coffee kehte hain. Bemari se forum uthne ke bad aur aankhon ki sozish mein khajoor ka khana durust nahi. Purane qabz ki behtareen medicines aur bentareen breakfast hai

                                       Khajoor Benefits In English
Dates :
Dates: Dates are very edible sweet fruits with many health benefits. They are traditional crops in Arab and other Middle East countries. They have especial importance for Muslims because eating this fruit is sunnah and advised by the last prophet Muhammad (peace be upon him).

It is a major breakfast and staple diet in Arab contrives along with milk or yogurt. In holy month of Ramadan its sale and purchase increases all over the world where Muslims reside because it is highly nutritious and full of simple sugars and in periods of lengthy fasting it provides every throughout the day. Dates consist of outer fleshy brown pulp and inner single hard seed which is discarded but it is used by many herbalists to make herbal medicines.

Dates are rich source of fiber, carbohydrate, proteins minerals and vitamins. Especially rich in iron, potassium, calcium and vitamin C. It prevents different diseases like constipation, anemia, heart diseases, and strokes. They are good for overall body health because of their countless dietary nutrients. High fiber content in it prevents from high cholesterol levels.

Vitamin C, potassium and calcium are essential for bone and teeth development especially in children. They can be given to children as sweet dish after main meal instead of toffees and chocolates, which are of low or no nutritious value.

 

No comments:

Post a Comment