Wednesday 20 February 2013

Benefits of Mango in Urdu || Mango Benefits In Urdu || Mango Benefits || Mango Ka Faida || Advantages Of Mango In Urdu || Mango History In Urdu || Mango Benefits In Urdu || Mango Benefits In English || Mango History In Urdu

Benefits of Mango in Urdu || Mango Benefits In Urdu || Mango Benefits || Mango Ka Faida || Advantages Of Mango In Urdu || Mango History In Urdu || Mango Benefits In Urdu || Mango Benefits In English || Mango History In Urdu
 
 

Mango Benefits In Roman Urdu

Aam (Mango)

Mango ( Aam) is a King of the all fruits. Mango is one of the most popular and healthy fruits with more tasty flavors, fragrance and taste. It is very nutritious. Mango has many benefits for health. There are 49 kinds of (qalmi Aam) Mangoes and 1000 kinds of Desi Mangoes. In this page you will find the information about the Kinds of Mangoes in Pakistan in Urdu and Roman Hindi.

Mango In Urdu

Bilashuba jis phal ka intezar bachon, jawano aur borhon ko rehta hai wo Aam (Mango) he hai. Mango ka zikar barre sagheer Pak o Hind mein tawatar se milta hai. Ameer Khusro ka daur ho ya Mirza Ghalib ka, maujoda daur mein nawabzada Nasar Ullah Khan marhoon ki mehfilen hon ya Peer Sahab Paghara Marhoon ki dawatein, sab he Aam (Mango) ke shedaiyon mein shumar hote hain. Atbaa o Hukma (Mango) Aam se mustafeed hote aur apne hakeemi nuskhon mein Aam (Mango) ko shamil karte rahe hain. Mango pakne se pehle Carry ki shakal mein aa kar khush zaiyqa Achaar ban kar Lazzat e kaam o dhan ko shad karta hai. Mirza Ghalib to Aam (Mango) ke aashiqon mein apna naam likhwa gaey hain. Un key eh kehna ke “ Aam ho aur bohat se hon ”… aik zarb ul missal ban chukka hai. Aik martaba kisi ne un se mazaq mein keh diya ke Aam to Gadhe bhi nahi khate, Mirza Ghalib ne forum jawab diya ke waqai Aam gadhe nahi kahte. Aur jawab sunne wala apna sa mou le kar reh gaya.
Aam (Mango) aik fruit he nahi, aik tehzeeb ka naam hai. Jis ka zikar hamare adab o tareekh mein bhi milta hai. Is se hamari bohat si tehzeebi aur saqafti riwayat jurhi hui hain. Baaz afrad reshedaar, kuch khushbodaar, jab ke baaz mithas ke lihaz se Aam (Mango) ki mukhtalif iqsaam pasand karte hain. Khusoosan Langra aur Chaunsa bohat pasand kiye jate hain. Aaj to nae nasal ko yeh bhi maloom nahi ke wo jo Mango kha kar lutf andooz ho rahe hain us ka naam aur us ki pehchan kya hai. Kaha jata hai ke Mango khane ka durust waqt barish hone ke bad ka hai. Kyun ke us waqt tak Mango pak kar bilkul tayyar ho jate hain aur barish ke dauran un ki mithas aur gazaiyat mein izafa ho jata hai.

Mango In Pakistan

Pakistan mein soba Punjab aur Sindh Aam (Mango) ki peydawar ke lihaz se biltarteeb pehle aur dosre number par hain. Aam ki market mein aamad May ke wusat mein shuru ho jati hai aur ibtedai taur par Sindh mein kasht kiye jane wala Dasehri, Saroli, Sindhri, Almaas aur desi mango market mein dikhai diye jate hain. Majmooi taur par sab se ziyada Sheeren aur zaiyqadar Mango Chaunsa qarar diya jata hai. Mirpurkhas ko Mangoes ka zila qarar diya jata hai, jahan se barhi miqdar mein Mango aate hain. Sindh mein taqreeban 366 iqsaam ke Mango peyda hote hain. Jis mein sab se aeham Chaunsa, Dasehri, Langhra, Sunehra, Almaas, Sindhri, Tota Pari, Neelam, Anwar Retool, aur Desi Mango shamil hain. Mirpur khas mein guzishta 45 baras se salana Mango festival munaqid hote aa rahe hain. Jis mein door door se log khusoosi taur par shirkat karte hai. Mango ki aamad ka daurania 6 se 7 Maah ka hota hai.

Kinds of Mangoes In Pakistan

Pakistam mein qalmi Aam (Mangoes) ki 49 iqsam aur desi mangoes ki taqreeban 1000 iqsam peyda hoti hai. Jin mein Zafraan, Tarayam, Alfenso, Kesro, Bhagalpuri, Laal Patta, Cluster, Dilpasand, Sabzposh, Samar, Behshat, Fajri o deegar ziyada mashoor hain. Jab ke aik khas qisam qalmi mango bakasrat kasht kiya jata hai. Sindh mein sab se ziyada zaiyqadar aur khobsurat Aam (mango) Sindhri ko qarar diya jata hai. Is ka rang shokh peela hota hai aur deegar iqsam se size mein barha hota hai. Ise Sindh ki shanakht ke taur par mutarif karaya jae. Qalmi Aam(Mango) desi Mango ke muqabley mein ziyada khobsurat aur mithas se bharpor hote hain. Mango ki mukhtalif iqsam ke tayyar hone ke mukhtalif auqat hote hain. Aam Mango ki fasal aam taur se May se September ke maheeno mein tayyar ho jati hai. Sindh mein Mangoes ki bahar wusat May se June ke aakhir tak apni urooj par hoti hai.
Sindhri (aam) mango ki aik khas nasal Gulab (aam) Mango khas ko British ke Shehzada Charles aur Lady Diana ki taqreeb uroosi mein mehmano ki khatir tawaza ka sharf bhi hasil hai, jo ke hukoomat Pakistan ne deegar tahaiyf ke hamrah khusoosi taur par bhijwaya tha. Kuch arsaa peshtar London mein Pakistani Mangoes ka festival munaqid kiya gaya. Jahan par hamare is qabil e fakhar Fruit ne goron ke dil jeet liye aur zabardast pazerai hasil ki. Jo waqai aik qabil e fakhar baat hai aur fakhar kyun na ho. Badshah he hote hain. Mango hamari maieeshat ka aeham hissa hai. Is ki export se hukoomat ko lakhon dollar salana aamdani hasil hoti hai. U.A.E. Pakistani Aam (Mangoes) ki khas mandi hai

                        Mango Benefits In English




3 comments:

  1. The blog has offered the great knowledge I really enjoyed a lot by reading this.

    Mango exporter in pakistan

    ReplyDelete
  2. Inconceivable points. Sound arguments. Keep going the truly amazing work.

    Mango exporter in pakistan

    ReplyDelete