Malala Yousafzai History In Urdu || Malala Yousafzai Biography In Urdu || Gul Makai Diary In Urdu
Malala Yousafzai
Malala Yousafzai was
born on 12th of July, 1997. She belongs to Mingora, the largest City in
Pakistan’s Swat Valley. Malala has two younger Brother. Her Father name
is Ziauddin Yousafzai, he is a Private School Owner
and an Educational activist. Malala Yousafzai is a very innocent,
beautiful and intelligent Girl. Malala would like to become a Doctor,
her Father encouraged her to become a Politician instead. Her Father
has referred to his Daughter as something entirely special.
Malala Yousafzai
is a school student from the town of Mingora in Swat District, Khyber
Pakhtunkhwa, Northwestern Pakistan. She is known for her Education and
Women’s right activism in the Swat Valley. Where the Tehrik-e-Taliban
regime had banned girls from attending School in early 2009. During that
period, at the Age of 11. She used the pseudonym “ Gul Makai ” so as
not to be targeted by the Taliban. The idea for the blog came from her
Father.
Malala Yousafzai wrote for the BBC detailing her life under the Taliban
regime on 3 January 2009. Malala has since been nominated for several
awards, and has won Pakistan’s first National Peace Award and
International Children’s Peace Prize ( Runner-up ) in 2011.
On 9 October 2012, Malala was shot in the head and neck in
an assassination attempt by a Taliban gunman while returning Home on a
School Bus. She remain unconscious and in critical condition. In this
Page You will read Malala Yousafzai Biography and News In Urdu and Roman
Urdu.
Malala Yousafzai Biography In Urdu
Malala Yousafzai Pakistani qaum ki beti 9
October 2012 ko hasbe mamool School se chutti ke bad degar sahelyon ke
hamrah school van mein ghar ja rahi thi ke koi pone barah baje ke qareeb
jab woh Sharifabad aur gul kadah ke darmiyan wale ilaqe mein pahonch
gaye to na maloom naqab poshon ne gari ko roke liya. DIG Malakand
Division aur DPO Swat ne media se guftagu kerte huye kaha ke Malala
Yousafzai apne school se chutti ke bad dusri sathyon ke himrah school
van mein ghar ja rahi thi ke Sado Sharif Police Station ki hadood mein
waqa ilaqe Gul kadah ke qareeb do na maloom mosllah naqab poshon ne gari
roke ker gari mein Malala Yousafzai ka pucha aur shanakht hone per bad e
azan fire khole diya jis ke nateje mein qaumi aman award yafta aur
sitara jurat ke liyeh namzad hone wali honahar bachchi Malala Yousuf Zai
ser per goli lagne se shadeed zakhmi ho gae jab ke uske sath baithien
do bachyan Shazia aur kainat bhi hat aur paon per lag ker zakhmi ho
gayein jinhein fori tibi imdad ke leyeh Sado Sharif Hospital muntaqil
ker diya gaya
MS Sado Sharif Hospital doctor ke motabiq
Malala ko ser per aik goli lagi hai jo ser se nickal ker kandhe mein ja
lagi hai aur CT scan ki report ke motabiq iss ka demag bach gaya hai jis
ke bais uski halat khatre se bahar batai jati hai. Bad e azan Malala
Yousafzai ko Sado sharif hospital mein Nero Surgery unit na hone ki waja
se usey Pak fouj heli copter mein Peshawer KCMH muntaqil ker diya giya
hai. Jab ke Shazia aur Kainat ko Sado Sharif Hospital mein tabi imdad di
ja rahi hai media se guftagu kertey huye majrooha zakhmi bachchi Shazia
ne bataya ke school se chutti ke bad woh gari mein jarahey they ke do
na maloom naqab poshon ne gari ko raka aur Malala yousuf Zai ka nam pich
ker shanakhat per golian chalaien Operation Theater mein Malala ne hospital mein aney ke bad apne walid Ziauddin Yousuf Zai se bat bhi ki.
Swat ki honahar talba aur Sitara Jurat ke
liye namzad hone wali athween jamaat ki talba Malala Yousafzai per
qatlana hamla ke bad zila bher mein security chaik poston per gair
mamooli chacking shuru kea gaya jis ke baas garyon ki lambi qatarien lag
gaien jis ke bad police aur security foresees ke jawano ne Mangora
shahar ke mokhtalif ilaqon mein sarch operation shuru ker diya police
aur security foresees ne shahar ke nawahi ilaqa Sharif abad, Khaja abad
aur condex mein surch operation kiya zarae ke motabiq foresees ne surch
operation ke duran motadid mushtaba afrad ko hirasat mein liker na
maloom moqam muntaqil ker diya hai Swat mein aman ki bahali ke bad
target clinging ka silsila waqfey waqfey se jari hai aur target clinging
ke pehley shikar aman cumaition ke ser barahan they jin mein se aman
cumaiti koza bandi ke ser barah Idrees Khan ko target kea gaya us ke bad
Muslim League ke Subai concil ke member Afzal Khan ko ghar ke samne
firing ker ke qatal kiya gaya. Iss ke bad Swat qaumi jirga ke rukun aur
all Swat hotel association ke sadar Alhaj Zahid Khan ko iss waqt target
kiya gaya jab woh Namaz e Isha ke liyeh ja rahey they. Alhaj Zahid Khan
ne target killer ke sath mozahmat bhi ki mozahmat ke doran iss ko goli
lagi jis se woh shadeed zakhmi ho gaey police ne sado Sharif police
station mein na maloom afrad ke khelaf insedad dahshat gardi acket aur
iqdam e qatal ke tehat moqadma darje ker leya gaya hai abb dekhna yeh
hai ke police mulziman ki griftari mein kamyab hoti hai ya nahien lakin
Swaat ki tamam seasi aur samaji halqon samait sharion ka motalba hai ke
Malala yousuf Zai per honey waley hamley mein malawis mulziman ko
griftar ker ke qarar waqi saza di jaye.
Gul Makai Diary In Urdu
Asman per chamakte roshan sitare ki manind
pur azam buland hoslon wali umeed bahar ka paigam aur aman ki safeer ban
ker duniya ke samney aney wali masoom haseen aur zaheen pari Swaat ke
shahar Mangora mein 12 July 1997 ko paida hue uske do
chotey bhai haien aur woh akloti ladli beti hai. Uske walid Ziauddin
Yousafzai apna School chalate hain woh shangla ke ilaqe Shahpur se
Swaat aiye they aur phir yehan Mangora mein unhon ne private School ki bunyad rakhi unka kahna hai ke Malala Yousufzia
bachpan se hi dusre bachchon se mokhtalif aur umer ki bachyon se zaida
zaheen thi. Iss liyeh her class mein awal ati aur ghar per bachpan se hi
sanjeda guftagu kerti 2007 mein jab Swat ke halat kharab huye wahan per
aman tabah huwa to Malala Yousufzai ne inn halat ko madde nazar rakh
ker farzi nam (Gulmakai) se diary likhna shuru ki. Malala Yousuf rozana ke halat o waqat ka jaiza leati aur Gulmakai diary
likhti thi woh afsurda rahti ke uski parhai motasir horahi hai aur iss
jaisi aur larkiyon ki parhai un halat ki nazar hogai ya to School band
ker diya geya tha. ya unhein tabah ker diya gaya tha inhi dino inhi dino
BBC Urdu Service ko Malala ne apne walid ki madad se
Gulmakai ke naam se likhi gai tahrirein bejhna shuru kien jo baqaida
chapna aur nashar hona shuru ho gaien.
Iss diary ko bainul aqwami shohrat hasil
hogai Malala Yousufzia per do bainul aqwami media ke adaron ne dastawezi
filmien bhi banaien jin mein Malala Yousuf Zai ne taleem per zor diya
aman qaim hone ke bad Malala Yousafzai baqaeda media ke samney aie aur
bataya ke wahi Gulmakai ke nam se ab tak diary likh
rahi thi aur media ke mokhtalif adaron ko rawana bhi kerti thi. Malala
ne media per aker interviews bhi diya woh apne School ke dobara khulney
per botot khush thi inn khidmat ke siley mein usey Holland ki bainul
aqwami tanzeem kidswrite inter national children for piesne almi award
ke leyeh namzad kea sabiq Wazeer eAzam Pakistan Syed Yousuf Raza Gilani
ne Malala ko qaumi aman award aur panch lakh rupey ka inam bhi diya khas
bat yeh hai ke yeh qoumi aman award her sal Malala ken am se 18 sal se
kam umer bachchon ko unki gair mamuli salahyaton ki bunyad per diya jaey
ga issi tarah Sitara Jurrat ke leyeh bhi Malala Yousuf ko namzad kea
gaya hai Wazir Ala Shabaz Sharif ne bhi Malala ko Lahore bola ker Panch
lakh rupey diya.
Wazir Aala Khyber Pakhtunkhwa Amir Haider Khan Hoti
ne bhi Malala ko Panch Lakh rupe inam diya Malalam ko aik azaz bhi
hasil ho gaya ke woh aik din ke leyeh Geo ki Pehli kam umer azazi
repoter bani Malala future mein apne ilaqey mein aik Education
Foundation qaim kerne ka irada bhi rakhti hai. Education Foundation ka
ibtedai khaqa bhi bana liya hai jahan bachchon ko muft taleem di jaye
gi. Malala pehle to doctor banna chati thi magar abb halat ko madde
nazar rakhte huye woh wakeel ban ker siasat mein ana chati hai ta ke
logon ko ziyada se ziyada sahultein pahoncha sake.
Malala Yousafzai Receive 2013 Sakharov Prize
Malala Yousafzai received the prestigious
European award Sakharov human rights prize in Strasbourg on Wednesday
20th November 2013. She is a first Pakistani girl who receives this
award. Malala yousufzai recognize her bravery for demanding the right to
Education in Pakistan. She said to the people that I am very happy and
honored to be selected for this huge European Sakharov Award. Malala
Yousufzai dedicated this award to which people who are working for human
rights and Anonymous heroes. The Sakharov Prize also awarded the
Myanmar’s Aung San Suu Kyi and Nelson Mandela the leader of South Africa
in Past. In this page, you can see the information about the award
ceremony of the Activist Malala Yousafzai.
Malala Yousafzai Ko Europe Ka Sab Se Barha
Prize Sakharov Mil Gaya
Malala Yousafzai ko Europe ka
sab se barha Prize Sakharov de diya gaya. Rose ke scientist aur human
rights ke alambardar Sakharov ke naam par qaiym yeh award hasil karne
wali wo pehli Pakistani hain. Ilm ki shama Malala Yousafzai ko aman ka
Nobel inaam to na mil saka, magar Europe ka sab se barha Sakharov prize
Malala ne hasil kar he liya. Strasbourg mein taqreeb mein Malala ko is
award se nawaza gaya, jo is se qabal Myanmar ki jamhoriyat pasand
rehnuma Aung San Suu kyi aur South Africa ke azeem leader Nelson Mandela
ko diya ja chuka hai. Sakharov award hasil karne wali pehli Pakistani
Malala Yousafzai ne kaha hai ke is aeham taqreem mein shirkat mere liye
aezaaz hai. Is award se meri mazeed hausla afzaai hui hai. Main yeh
award insane huqooq ke liye kaam karne wale gumnaam heroes ke naam karti
hon. Strasbourg mein European union se khitaab karte hue Malala
Yousafzai ka kehna tha ke Pakistan mein ab bhi mukammal taur par izhaar
ki azaadi nahi. Pakistan mein ab bhi lig bunyadi insane huqooq se
mehroom hain. Behtareen fauj se nahi, taleemi meyar behtar hone se hum
taqatwar ban jaenge.
Speaker of Child Assembly
Malala Yousafzai Swat ki child assembly
ki speaker bhi rah chuki hai aham bat yeh hai ke hukumati sitah per
Malala Yousuf ko tahaffuz deney ke leyeh us se kaha gaya ke woh security
le magar us ne security lene se inkar ker diya un ke walid ka kahna hai
ke Malala Yousuf subah sawaire uthti hai namaz perhti hai taiyar hoti
hai aur school chali jati hai. Books parna Computer ka istemal,
Teaching, Room ki decoration jaise mashagil apna rakhe hein. Malala
Yousafzai pasandeda khail cricket hai usey gulab ka phool pasand hai
usey khaney mein sada chawal pasand hien woh kahti hai ke meri shohrat
mein merey walid ke bad media ka botot bara kirdar hai unke walid ne
bataya ke angrezon ke zamaney mein aik Afghan lakri ne jis ka nam
Malalai tha talwar ke zareaya apne haque ke liyeh awaz uthai thi mujhey
bhi uska nam Malalai rakhna chaheye tha keon ke meri beti ne apne haque
ke liyeh talwar to nahien magar qalam ka sahara liya hai.
Malala Yousafzai Treatment
Dehshat gardi ki shikar Malala air ambulance ke zariye Birmingham New Queen Elizabeth Hospital muntaqil
kiya gaya jahan Malala yousafzai ko treatment de jaye gi, iss maqsad ke
lia hospital mein khususi intazam kiye gaya hain.
Malala Yousafzai Ko Aaj Aman ka Nobel Prize
Milne Ka Imkan
Sawat mein dehsatgardi ka nishana bane wali
Malala Yousafzai ko aaj Friday 11 October 2013 ko Noble Inaam (Noble
Prize ) milne ka Imkaan hai. Pakistani Qaum ki bahadur beti Malala
Yousafzai Ko Amaan ke Noble Inaam (Noble Prize) ke liye bhi favorite
karar diya jar aha hai.
Pakistani Student Malala Yousufzai
Pakistani student Malala Yousufzai said
that when she comes to Pakistan she would take part in politics. She
said that she is the daughter of Pakistan and the people of Pakistan
love her. Malala said that she would work in the education sector in
Pakistan and other parts of the world. Malala Yousafzai said that she is
proud to be a Pakistani.
Pakistan Ki Beti Hon, Pakistani Hone Par Fakhar Hai
Malala Yousufza
Pakistani student Malala
Yousufzai ne kaha hai ke wo siyasat mein akar Pakistan mein haqiqi
tabdeli lana chahati hain. Bartanwi nasharyati adare ko interview dete
waqat Malala ka kehna tha ke wo Pakistan ki beti hain aur Pakistan mein
siyasat karein gi, unhon ne kaha ke woe se mulk ki siyasatdan nahi bana
chahati jo phele se taraki yafta ho balke ese mulk mein siyasat karon gi
jis ko taraki ki zarorat hai.
Malala ke baqol wo Pakistan samet duniya
bhar ke bachon ki taleem ke leye kaam karna chahati hain is waqat in ki
tarih khana jungi ka shikar mulk Sham hai jahan nizame taleem darham
barham ho chukka hai. Malala ne kaha ke unhan Pakistani hone par fakhar
hai. Pakistani in se mohabat karte hain aur apna samajhte hain Pakistan
mein taleem aur tawanai samet degar masail ko hal karne ki koshish karon
gi.
No comments:
Post a Comment