Registered Voters In Pakistan 2013
Registered Voters
Pakistan mein registered voters
85,421,981 hain, jin mein 37,162,760 khuwateen hain aur 48,259,221 mard
shamil hain. Yun mard voters total voters ka 56.50 %, jab ke khuwateen
43.50 % hain. Election Commission of Pakistan ki 2012 mein murattab
karda electoral list ke mutabiq voters ke lihaz se sooba Punjab 48838040
voters ke sath pehle No.par hai. Jab ke sooba Sindh 18,663,657 voters
ke sath dosre No.par hai. Sooba Pantunkhwa 12,247,940 voters ke sath
teesre No.par hai. Sooba Baluchistan 3,337,001 ke sath 4th No.par hai.
Fata 1,725,826 voters ke sath 5th No.par hai aur Federal area 609,517
voters ke sath 6th No.par hai. 8 crore 54 lakh se zaiyd afraad haq raaey
dehi istemaal karenge. 3 crore 71 lakh 62 thousand 760 khuwateen shamil
hain aur 4 crore 82 lakh 59 thousand 221 mard shamil hain.
Registered Voters
Pakistan
has more than 8 crore 54 lakh voters. Males are 4 crore 82 lakh 59
thousand and 221, total % of Males are 56.50 %. Females are 3 crore 71
lakh 62 thousand and 760, total % of 43.50 %. Punjab is the number 1 on
the Voter list, it has 48838040 voters. Sindh is the 2nd number with
18,663,657 voters. Khyber Pakhtunkhwa is the 3rd number with 12,247,940
voters. Baluchistan is the 4th number with 3,337,001 voters. Fata is the
5th number with 1,725,826 voters and Federal Area is the 6th number
with 609,517 voters. More than 100 years old voters are 3844, total % is
0.005 %. 1852 voters are Males and 1992 voters are Females. In this
page, you will find the information about the Registered Voters In Pakistan Election 2013 news in Urdu
Registered Voters In Pakistan In Roman Urdu
Aaiynda intekhabat mein 100 saal se zaiyd umar ke 3000 se zaiyd afraad apni raaey had dehi istemaal karenge. Election commission
ki tayyar karda voter list ke mutabiq 100 saal se zaiyd umar ke voters
ki tadad 3844 hai jo ke kul voters ki tadad ka 0.005 % hai. In afraad
mein se 1852 mard voters hain aur 1992 khuwateen voters hain. Voter
list ke mutabiq 100 saal se zaiyd umar ke voters ki sab se ziyada tadad
Sooba-e-Punjab mein hai, jahan in ki kul tadad 2524 hai. In mein 1266
khuwateen aur jab ke 1258 mard voters hain.
Sooba
Baluchistan mein 263 afraad 100 saal se ziyada umar ke hain jin mein se
123 mard aur 140 khuwateen shamil hain. Isi tarha wafaaq ke
zer-e-intezam qabaiyli ilaqey mein kul 16 afraad 100 saal se zaiyd umar
ke hain. Jin mein se 6 khuwateen voters hain. Islamabad mein 18 afraad
mein se 7 khuwateen aur 11 mard voters 100 saal se zaiyd umar ke hain.
Sooba Khyber Pakhtunkhwa mein in voters ki kul tadad 350 hai, jin mein
se 180 khuwateen voters hain. Sooba-e-Sindh mein 100 saal se ziyada umar
ke voters ki tadad 673 hai, jin mein se 393 khuwateen shamil hain.
Intekhabat mein 100 saal se zaiyd umar ke 3844 afraad vote
dalenge. In afraad mein kul 1992 khuwateen shamil hain aur 1852 mard
shamil hain. Yeh kul voters ki tadad ka 0.005 % hain.
No comments:
Post a Comment