Sunday 8 December 2013

Orat Ki Kamzori In Urdu

                           Orat Ki Kamzori In Urdu

Importance of Gold In Women's Life

Gold is shiny, elegant and too much expensive metal. It is use everyday in life. It is use for marriage. Gold occupies a special place in human mind. Gold has use to symbolize power and purity of beauty. Gold as a jewellery is tradition. In this page you will read a article woman’s weakness gold ( gold aurat ki kamzori) in Urdu and Roman Hindi.

Gold Aurat Ki Kamzori


Sona Mehnga Hone Ke Baad Bhi No.1


Aurat ki kamzori kya hai? ye to sab hi jante hain ke gold aurat ki kamzori hai. Gold aurat ki kamzori apni jagah, magar yeh haqiqat hai ke gold rates barabar barh rahi hai aur aalmi satah par is ki qeemat mein record izafa ho chuka hai. Agarcha qeematon mein izafa hamare haan aam baat hai.
Haqiqat yeh hai ke rasm-o-riwaj aur numaiysh-o-namood ke shikanje mein jakrhe huye zindagi ke tamam shobon se talluq rakhne wali khuwateen shadi biyah ke mawaqey par apni bisat se barh kar gold ke zewraat khareedne aur is ki zebaiysh ke sath sath apni shan-o-shaukat aur imarat ki dhaak bithana chahti hain. Namood-o-numaiysh ka yeh izhaar sirf gold ke zewraat tak mehdood nahi hota, bal ke jehaz se lekar anwaa-o-iqsaam ke khano, aatish bazi, lighting, movie tak ja pohanchta hai. Jis se safed posh khandanon ki mushkilaat mein izafa hota hai.

Chand roz qabal hum ne Hydri Market mein aik shop par do tabqey ki khuwateen ko dekha, jo aik 20, 22 sala larhki ko mukhtalif qisam ke zewraat pehna kar aaiynon mein mukhtalif zawiyon se jaiyza le rahin thi. Yaqeenan shadi ke liye zewraat pasand kiye ja rahe the aur larhki ke chehre aur pasand ke mutabiq zewraat ka intekhab kiya ja raha tha. Aik khatoon jawan ke sath thin magar bazahir bezaar nazar aa rahin thi. Main ne unhe mukhtib kiya to wo be dili se muskura di aur boli main to larhki ki Maa ke sath aai hoon. Jo meri cousin hai aur us ki beti ki chand din bad shadi hone wali hai. Main in ke sath design pasand karne aai hoon.

Gold ki qeematen to aasmaan se baten kar rahi hain aur mujhe sun sun kar tension ho rahi hai. Larki ke walid Saudi Arabia mein hain, khoob paisa bhijwa rahi hain. Magar hum dono Miyan Biwi yahan mulazmat karne ke bawajood apni Betiyon ko zewraat nahi dila sakte. Sirf aik beti ke liye gold ka ek halka phulka sa set, do choriyan, chain ya tops banwaen hain to lakhon rupey kharch ho gaye honge, qadre tawaqquf ke bad khatoon ne phir kaha ke mehngai ke roz afzon izafey ne jahan zindagi ki roz marra zarooriyat ke husool ne mushkilaat ko barha diya hai, wahin ghareeb khandan ke liye beti ki shadi mazeed masla ban gai hai. Taleem dilwa den to jehaz ke liye paise nahi bachte, jis se unki umren nikal jati hain. Is dauran khatoon ki cousin ne unhe mukhatib kiya to wo udhar mutawajjah ho gaye jahan ameer baap ki beti zewraat pasand kar chuki thin aur Maa dukandaar ke sath peycheeda hisab kitab mein in khatoon ko shamil karna chah rahi thi, jin ka zehan apne he masaiyl mein uljha huwa tha.

Gold ke zewraat ki khareedari shadi biyah ki khareedari ka aeham juz tasawwur kiya jata hai aur sirf mutawassit tabqa he nahi ghareeb halqe mein bhi gold ke zewraat ko status symbol samjha jata hai. Bal ke is ke wazan se larki ki qadardani ka bhi andaza kiya jata hai. Waldain bhi jehaz aur dosre lawazmaat ke sath beti ko gold se ziyada se ziyada zewraat dene ki koshish karte hain. Ta ke us ki susral aur aehl-e-duniya ki nazar mein un ki naak unchi rahe, khuwa is ke awaz wo lakhon ke maqrooz he kyun na ho jaen.

Shadi biyah aur is se mutalliqa taqreebat mein sirf dulhan he ke liye zewraat ki aehmiyat nahi hoti hai, bal ke shadi mein shareek har aurat khuwa us ka talluq kisi umar ya kisi tabqe se ho, gold ke zewraat ka istemaal zaroor karti hain iss liye ke gold aurat ki kamzori hai. Bal ke aese mauqey par to aurtain naam-o-namood ke liye bhari zewraat banwati hain aur pehle se banwae gae zewraat ko bhi shadi ki un taqreebat mein badal kar pehanti hain ta ke azeez-o-aqarib par apni dhaak bitha saken.

Aik aam andaze ke mutabiq ammer khandanon mein zewraat bajat 25 se 30 lakh rupey se bhi barh jata hai. Jab ke kam aamdani wale gharanon mein kam az kam 80se 1 lakh ki maliyat ke zewraat khareede jate hain. Aehl-e-ilm ka to yeh kehna hai ke aurat ka asal zewar sharm-o-haya aur taleem hai, magar in zewraat ke sath sath khuwateen ne gold, silver and diamond pearl ke barhe zewraat mein bhi kashish mehsoos ki hai aur haya ki tarha in ko apni shakhsiyat ka aeham hissa samjha hai. Duniya bhar ki auratain herat angez taur par zewraat mein ziyada dilchaspi leti hain, albatta maghrabi khuwateen ke zewraat halke phulke hote hain.

Gold taqreeban har aurat ki kamzori hai, is ki khobsurti aur dilkashi ko nazar andaaz karna mumkin nahi, gold par jab roshni parhti hai to is se ek makhsoos qisam ke sonehri rang ki aankhon ko chundhiya dene wali roshni uthti hai jo khuwateen ke dil mein ja kar utar jati hai aur wo is ke tilesim ki aseer ho jati hain. Pehle zamane mein lig apni beti ya bahu ko ziyada se ziyada gold is liye dete the, ta ke wo aaiynda zindagi mein in ke kaam aa sake, ye husool itna mushkil bhi na tha ke us waqt gold chand sau rupey tola tha, magar aaj ke daur mein jab kitchen ka kharch he bamushkil pora hota ho, to kae hazar rupey tola gold khareedna bohat mushkil hai, magar taajjub hai ke is qadardani ke bawajood bhi hamari khuwateen gold khareedne ke liye sargira’an hain.

No comments:

Post a Comment