Eyes Care Tips In Urdu || Aankhon Ki Hifazat In Urdu || Siyah Halqoon Ka Ilaj
Aankhon Ki Hifazat In Urdu
Eyes Care Tips In Urdu || Aankhon Ki Hifazat In Urdu
Eyes is a very
natural precious gift for us from ALLAH PAK. So take care of your eyes.
We can do different types of eye exercise daily. Wash your eyes with
rose water twice in a day. We can use home tips for our eye treatment.
If you feel itching, soiling, reddish in your eyes, headache etc, so you
should go to the Optician and explain your problem.In this page you
will read Eyes Care ( Aankhon Ki Hifazat) in Urdu and Roman Hindi.
Aankhon Ki Hifazat
Khayal rahe aankhon ki bhi
hifazat hoti hai. Mehaz banao singhar kabhi kafi nahi hota. Hum makeup
karte hain to aakhon par be panah tawajja dete hain. Eyeliner, Mascara,
Sada Surma aur Eye shades ke nat nae banao singhar karte hain. Magar hum
mein se kitni khuwateen aakhon ki sehat ka khayal rakhti hain. Zara
sochiye yehi to wo qudrati atya hai ke jis ki badolat hum dunya ke
bakamal jalwon ko dekh pate hain. Agar un mein kisi qisam ka infection
ya kharabi ho jae to pori shakhsiyat bal ke jism bhi mutasir hota hai.
Aakhon ke muamley mein kisi qisam ka risk basarat mein kami ya is se
mehroomi ka baiys bhi ban sakta hai.
Aankhon ki hifazat basarat qaim rakhne aur aankhon ke gird siyah halqon ke ilaaj ke liye zel mein chand gharelo nuskhey darj kiye ja rahe hain.
* Kheere ke opri hisse
karhwe tukrey alag kar den aur baqi kheere ka chilka utar kar us ke
godey ko kuchal kar bareek kar len. Ab is godey ko do chote saaf kapron
mein alehda alehda potli bana len. Dono potliyon ko aankhon par rakh kar
aankhen band kar len. 15 minute tak isi halat mein sukoon se bethe
rahen. Us ke bad potliyan hata kar aankhon ko khol den aur qadre
jhapkaen, is amal se aankhon ko sukoon milega.
* Aik sada aur aasaan
tarika aankhon ki hifazat ka ye hai ke kamre mein dhoop se bachao ki
koshish karen, yani pardey daal den. Ab aakhon ko band kar len aur un
par hatheliyan rakh len. 10 se 15 minute tak is amal ko rakhe aur let
jaen, ab dono aankhon ke liye hathon ke hatheliyon ko bar bar tabdeel
karti rahen, baz azaa aankhen khol len.
* Dono aankhon ko bheench
kar band kar len, lekin ye khayal rahe ke bhanwe aapas mein na milne
paen. Ab inhe slow slow ziyada se ziyada kholne ki koshish karen, is
warzish ko kam az kam 10 martaba dhoraen.
* Agar ap ke ghar mein qad
aadam aaiyna hai to us ke samne khare ho kar apne aks ko palken
jhapkaen, bagher 5 minute tak musalsal dekhne ki koshish karen, is se
nazar ko bahad taqwiyat milti hai.
* Apni aankhon ki putliyon
ko pehle right aur phir left tezi se ghumaen, putliyon ki simt tabdeel
karte waqt gardan ka opri hissa bilkul sakht rakhe.
* Jab thakaan bohat barh
jae tab thori der ke liye bister par let kar dono aankhen band kar len
aur un ke oper baraf ke pani mein bhigoe gae cotton ke buds ko 10 minute
ke liye rakh den. Is se aankhon ki thakaan door ho gi aur wo bohat tar-o-taza maloom hongi.
* Palkon ko jaldi jaldi jhapakte hue 10 se 15 martaba up, down, right, left aur itraaf mein putliyon ko harkat den.
Siyah Halqoon Ka Ilaj
* Milk ki balaai ka kuch
hissa bacha kar roghan-e-badam mein mila len aur us ki malish halqon ke
itraaf mein karen. Khayal rahe ke malish ka rukh bahar se andar ki janib
ho, yeh amal din mein do martaba kar len.
* Taza gajar ( Carrot )
kaddokash kar ke egg ki zardi mein milaen aur oper diye gae tareeqe se
aankhon ke halqon par malish karen. Agar halqe gehre ho to din mein do
martaba karne mein koi harj nahi. Jald az jald asal ronaq laut aaegi.
Aankhon Ki Safai
* Aik khule hue mou wale
bartan mein saaf thanda pani le kar us mein thora sa arq-e-gulab mila
len ( miqdar kam rakhe ) ab aankhon ko is pani se saaf karen. Putliyon
ko charon taraf ghumaen. Is amal se aankhon mein jami gird aur meyl saaf
ho ga aur thakaan door ho jaegi. Is amal ko subha shaam karen.
* Aankhon ko eye bath se dho liya karen. Yeh pani khas kar aankhon mein peyda hone wale bacteria ke khatme ke liye mufeed hai.
* Kuch log surma pasand
nahi karte, magar kuch log khas kar bachon ke surma zaroor lagate hain.
Agar surma khob bareek pisa hua ho to tab to bilkul thek hai, nuqsan
nahi karega. Magar bache aur barhe surma laga kar ise aankhon mein laga
na rehna den. Aik ghantey bad aankhen sada pani se dho dalen, ta ke kisi
bhi infection se bacha ja sake. Bukhar ki kefiyat mein surmey ka
istemaal na karen.
No comments:
Post a Comment