Talaq in islam in urdu || Talaq Ka Masail Aur Un Ka Asan Hal In Urdu || Divorce In Islam In Urdu || Talaq Kay Masail In Urdu
Divorce (Talaq)
Divorce is a big problem in our society
now. It is very painful effect for every woman and man and its families.
Divorce depends on different issues. It is very dangerous effect for
the children, who are born in these families. In this page, you will
find information about (Talaq Kay Masail ) Divorce Problems in Urdu.
Talaq Kay Masail In Urdu
Hamara mashrah bohat se masail se ghira huwa hai. In masail mein talaq kay masail bhi
hain jo hamare mashre ko ghun ki tarah chat raha hai. Hamara mashrah
mashraqi mashra hai jis ki iqdaar, jis ki khobiyan be misaal thein. Jis
ne Islam ke batan se janam liya ho to is mashre ki tauseef ko alfaz
dhondhe se nahi milte the. Aaj is Islami mashraqi mashra ki zabon hali
dil ko khoon ke aansoo rulati hai. Aaj hamare mashre mein Talaq ki
barhti hui sharah tashwishnaak had tak barh chuki hai. Jo masail dar
masail izafey ka sabab ban rahi hain. Har khandan is se mutasir hai. Har
sahib fikr-e-pareshan hai. Talaq wo jaiyz fail hai, jis ko na
pasandeeda aur takleef dey qarar diya gaya hai. Mian biwi
khandani nizam ki bunyad hain aur khandani nizam naslon ki baqaa,
tarbiyat aur parwan charahne ka zariya hai, magar mian biwi mein choti
choti baton ne ikhtelaaf ki wasee khaleej paida kar di, nateeja talaq ki
shakal mein zahir ho raha hai. Aafsoos ka moqam yeh hai ke talaq ka
wajood talash kiya jae. To chand aik ko chor kar ziyada tar choti choti
baton se hain. Jin ki hesiyat raai ke dane kay brabar hai. In ki bina
par hamare mashre mein talaq to darkinaar shikwa-o-ikhtelafat ka bhi
guman tak na tha. Agar aqal se kaam liya jae to talaq ki naubat na aae.
Islami taleem se nawakif hamara mashra khokhla, deemak zada mashra
masail ki daldal mein phans raha hai.
Talaq ki sanjeedah noiyat ki wajoh mein
koi behas nahi kay yeh karhwah ghont peena majbori hai. Maslan ladki ki
peydaiysh par talaq aik aisa mohrik hai jo daur-e-jaheliyat ki yaad taza
karta hai, magar aurat ke bas mein nahi, magar baaz wajah qurbani ki
khogar, eisaar ki devi khawateen ki kam aqli ki daleel hai, wahan afsoos
barh jata hai. Mera ghar meri jannat mujhe is ko bachane kay liye har
had tak jana chahiye. Kyun ke kuch wajohat aesi hain ke in ke sath
zindagi mein jaddojehad kar ke aashiyana ko bachaya ja sakta hai. Kyun
ke matlaqa ki zindagi khar zada hoti hai. Kuch wajohat is noiyat ki
dekhne ko milen jo barhi bachkana aur dil dikhane wali hain. Magar in ke
asraat barhe wehshatnaak. Mizaji ikhtelaf talaq ki aeham wajah hai.
Baaz khawateen ko “ Baarab ” zindagi guzarne ka khabt pagal kiye deta
hai. Mard ki yeh fitrat nahi. Din bhar ki khat khat, dilon se aehteraam,
mohabbat, unsiyat ko khatam kar deti hai. Shohar ko roab se bahi,
hikmat se raam kijiye. Aajzi, inkesari, bardasht hamara virsa hai.
Khilaf mizaj baton par in hathyaron se fatah hasil kijiye. Sagi aulad
bhi hum mizaj nahi hoti. Is ko chora to nahi jata, phir mian to behral
sir ka saaien hai.
Barhti hui talaq ki aik wajah
aamdani-o-akhrajat hain. Kam aamdani mein guzara nahi ho raha. Beshak
barhi mushaqqat aamez hayat hai. Mard bhi hadiyon ko ghula ka rap ke
liye roti pani ka bandobast kar raha hai. Mulk ke maashi halaat, mehngai
us ki peyda karda nahi. Imhat-ul-Momineen aur BiBi Syeda Fatima Zehra (
R.A. ) key waqeaat humein kiya kuch nahi yaad dilate hain. Apni behno
aur khawateen se mazrat ke sath baaz khawateen ka tarz-e-amal barha
safakana hota hai. Maa baap ke ghar 300 ki Chappal, 500 ka suit ghanimat
tha. Magar mian kay ghar har haal mein 1600 ki Chappal, aur 3000 ka
suit darkar hai. Life Style ki jahelana daur mein auraton ki aqal ko
salab kar diya hai. Har aasaiysh darker hai. Jaded asaiysh ki daur ne
rishton ke ikhlaas ko kamla diya hai. Phir kam aamdani ka rona. Agar
gunjaish nahi hai to roz roz ki kil kil se bahar niklein. Wo chez jis se ghar ka mahol pur sukoon rahe, us chez se behtar hai jo talaq ka sabab ban jaye. Choti choti baatein
ikhtelaaf ko barhati hain. Phir mian biwi kw darmian sard jang shuru
hoti hai. Jis ka nateeja talaq ki shakal mein bhi dekha gaya. Warna
larhai jhagrey har roze ka wateera. Dono soortein ghar mein parwan
charhne wali masoom nasal ke liye zehar hain.
Maakey Aur Sasural Ka Jhagra
Sath rehne mein 100 barkatein aur
rehmatein, lekin agar alag raha jae to bhi koi muzaiyqa nahi hai. Magar
har 2 soorton mein aurat danishmandi se ikhtelaf peyda na hone de. Warna
har do fareeq ke piche mohabbaton ka dawedaar lashkare maarka aarai ke
liye tayyar khara hai. Nuqsan lashkar ka nahi ap ka ho ga. Zara khayal
rakhen, ap ki behan ne yun kaha, maa ne yun dekha, meri maa ko pocha
nahi, apne bhai se har roz mulaqaton ki kya zaroorat hai ??? wo kyun aur
yeh kyun… bai ghar ko basana hai to mian biwi kay aur biwi mian kay
rawaiyye ko parkhey. Susural, maekey ki larhaiyan bin mole le kar halkan
hone ki kya zaroorat hai. Yehi batein talaq ka sabab ban rahi hain.
Ghar ghar wali se hai, warna mard ne jahan parhao dala, sikkey lutae
ghar bana dala. Apne ghar ko mian ke liye sukoon ka gehwara banaen. Agar
use sukoon na mila to phir us ko zaroorat nahi. Wo sukoon ka matlashi
bohat door nikal sakta hai. Phir pachtawey ke siwa kya hath lagega.
Barhti hui talaq ne mashre ki jarhon ko
khokhla kar diya hai. Bachey mutasir hone wali sab se mazloom makhloq
hain. Maa ne bachey le kar zindagi ki jaddojehad mein barhe azam se
qadam rakh bhi diya to bhi bachey ki tarbiyat akele mushkil hai. Mawashi
jaddojehad paar la kar dalegi. Agar qismat ki meharban devi ne rupey
paise ki rel pel kar bhi di, tab bhi aulad hathon se nikal sakti hai, ke
aik akela do gayara. Agar bachey baap ke sir par thop den to sauteli
maa ke mazalim ki dastanein bhi bikhri hain. Phir jab ap apne Jigar
Goshon ke liye apni anaa, apni khuwahishat ki qurbani na de saken to
Dadi, Phophi aur dosre rishtedaar kya kuch eisaar kar sakenge. Zara
sochiye agar sab kuch acha ho bhi jae. To maa ya baap ki kami,
shakhsiyat mein jo khala peyda karegi us ka madawa kaun karega. Aulad ke
liye maa aag mein kood jati hai. Sanpoliyon se bhirh jati hai. Apni
mamta ka mann rakhe. Hayat ki aag ko apne tarz-e-amal sa thandi rakhe.
Bardasht, sabr-o-tahammul ko shuaar bana kar hikmat se choti si duniya
ko abad aur shadab rakhe. The nanhi konplon ki ap se faryad hai.
Maa ka haq ziyada to farz bhi ziyada.
Khwahishat dar khwahishat ko parwan na charaen. Mere bachey, meri kul
kaiynaat, har zehar un kay liye pine ko tayyar rahen. Aaj ki mushaqqat,
kal ki rahat, warna aaj be-iemani to kal be sukoni muqaddar ho jaegi.
ALLAH PAK na kare, ghar ko torhne ke bajae banana ke gur talash Karen.
Un karegaron se madad mange jo aap kay aashiyane ko mazboot bana sakte
hain. Apni zaat ki naïf apne bachon ke liye ho to ghata nahi, khalis
nafa he nafa hai.
No comments:
Post a Comment