Monday 22 December 2014

Aurat Par Tashadud In Urdu

Aurat Par Tashadud In Urdu  (Woman Punishment)
 
When ALLAH PAK gives the beautiful gift of Daughter from our hands, please, please, please don’t think he is punishing you. ALLAH PAK fill your empty hands to give you the most beautiful thing in all over the whole World. A single moment of misunderstanding with Husband and Wife is so poisonous, that it makes them forget hundreds of lovely moments spent together.
Life is not about finding the right Woman, but creating the right and true relationship with her. If u start finding mistakes in Woman then you will never find LOVE in this World. Be a rare stone that only the pious Man can afford, reach and get the Woman, as in a halal relationship. Because Woman are not a toy piece for the playboys, they spent sometime with her and when they full fill their desires they just leave her like a child do after playing with a toy, for long time and replace it with the new one.
Don’t be proud of being a cheap one, but you must be proud of being a pure Woman. Life is a compromise for the Woman, because at every stage Woman have to quit, but why? Why Woman have to quit? Woman can also speak for own rights and goods. Individually, Women are one drop. But together, Women are an Ocean. Women are a valuable Diamond.
      Aurat Par Tashadud
Aurat Par Tashadud Ka Silsila Kab Hoga khatam ? In Urdu


Azadi aur Taraqi ke bawajood aurat par tashadud abhi tak khatam nahein hosakien. Tasadad ke maney ( meaning) mekisi ko zabardasti zulm o jabar ka nishana banane ke hain, lakin agar sirf aurat ke hawale se baat ke jaye to ye wazahat kafi hogi, khun ke iss mein jismani tashadud ke alawa aurton ke sath jarehana bartaw bhi hai, jo na sirf inko haransa karta hai, balke nafsiyati dabaw ka bhi shikar bhi hoti hain. Mardon ke zalemana rawayon aur ziadti ka aik tareekhi, samajee aur rewaiti pasmanzer hai, jo in ko aurat par tashadud aur aurton ke sath bartaw ka aik zariye banadeta hai. Jis ki waja se auraton ke khelaf tashadud aur jarihat ko ghair fitri amal nahi samja jata balke samajee aur rewati iqtedar ka hissa tasawar kiya jata hai. Inn rewaet aur iqdar ki jarein payedar shahi aur jagidarana System nazar ati hain. payedar shahi nizam ke tehat shuru hi se larke aur larki ke kirdar mein tafreeq ker di jati hai. Aurat ko aik natawan makhlooq samjha jata hai. Mard ko taqatwar aur her lehaz se barter tassawar kiya jata hai. Mashra inn rawaiyon ko aur mazboot karta hai jagier darana ( Jagirdari System) nezam mein aurat ko aik niji milkeat tassawar kiya jata hai jis ki apni koi shanakht nahein hoti usey mard ki izzat ke nam per gharon mein qaid kar diya jata hai. Waqt perney per uski izzat ki khatir usey mar bhi diya jata hai, chukey betiyon ko khandan ka hissa nahein samjha jata iss liye unki parwarish bhi aik khas dhab se ki jati hai, jo ke mashrey mein unki sanwi hasiyat ko mazeed ubharti hai. Go ke jagirdari System abb bhi raej hai.

Guzishta kuch arsa se iss baat ka izhar kiya ja raha hai ke mazloom aurat ko tahaffuz faraham ker ne ke liye iss qanoon ki madad se jis ka unwan hirasan tahaffuz, act aur Pakistani panel code 186 ka tarmemi bil code of criminal procedure 1989 ke zareya mehnatkash aur mazloom aurat ko tahaffuz faraham ker ne ke liye shuroo kiya gaya. Lakin iss ke bawajood aurat ki behurmati, agwa bray tawan, ijtimai ziadti, jinsi tashadud, jail jane aur bache cheen ker gharon se nikal dene ke sankron waqayat hotay hain. Aurat ki cheekh chinggharti surkheyan akhbarat aur electronic media ki zeenat banein lakin ta hal kuch nahein huwa.

Aurat sadyon se apne tashkhus ki talash mein sar girdan hai izzat ke nam per qatal, karo kari aur wani jaisi farsuda rasumat ajj bhi issi zor o shor se jari hain parliament seu gairat nam per aurton ko qatal honey se bachaney ke leyeh karokari ka bil pas hua lakin us ke bawajood bad salooki zair e hirasat tashadud maoraey adalat qatal mein kami nahien aie agar chey 1994 mein aqwam e muttahida ke convention mein yeh eada kiya gaya tha ke aurat ke khelaf tasub ka khatma kiya jaey ga lakin Pakistani hukumat aurton ke khelaf motasbana qawaneen khatam ker ne mein nakam rahi masharti taraqqi mein khawaten ki shamulyat ki sharah bahot hi kam hai heomen right commission of Pakistan 1999 mein report ke motabiq sirf do fisad aurat molazmaton mein hain 93% fisad dehati aur 72% sehri aurat na khanda hain. Iss report ke motabiq aurat ko beshumar pabandyon ka samna rahta hai waqt keysath sath abb inn mazalim ko media per ubhara aney laa hai sawat ki larki ko korey marney ka waqa ho ya mokhtalif ilaqon mein gharelu molazmaon ka ka qatal ho.

Police ke hanton tashadud electronic aur print media ki roz afzon taraqqi ki badaulat camera her jaga pahochta hai aur awam ke samney pashe kerta hai iss ke bawajud aurton ka istehsal jari hai. Khandan mein aurat par tashadud sirf gareeb aur jahil aurat tak mahdood nahien balkey parehey likhey khandano mein bhi bachyon ke sath gair mosawi rawaiya rakha jata hai. Gharon mein kharab zaban istemal ki jati hai Police ka record hai yeh ke puri duniya mein aurton ke khelaf jo tashadud hota hai iss mein bevyon ke khelaf tashadud sab se amm hai aik aur qisim ka tashadud bhi manzere amm per hai woh hai aurton ko hirasan kiya jata hai aurton ki jo manfi kirdar kashi hoti hai woh bhi tashadud ka hi aik hissa hai aurton ki sehat ke hawaley se jo palesyan banai gati haien woh bhi aik qisim ke tashsddud ko janam deti haien jo sirf khandani mansuba bandi ya bachchey paida ker ne se motaliq hoti haien mashi aur amdani ke zaraey mein aurat ko masawi haqooq mohaiya nahien keay jatey woh khud se asadana kam nahien ker sakti.

Guzashta chand saalon mein aurton par tashadud ke hawaley se kuch bil manzoor keye gaye. Iss sab ke bawajood hota wahi hai jo ghar ka mard chahta hai. Aik aur amm baat ye bhi hai ke kisi mamley mein aurat se raye nahein li jati har baat ka faisla mard kerte hain khas tor per shadi aur talaq ke mamlat mein khandani rasoom o rewaj aur qawaneen aurat ko jagir tasauar kertey hain. Aurat shadi se pehley bap aur bhai ki malkiyat hoti hai aur shadi ke baad shohar ki almiya ye hai ke aurat ko aik shaye bana ker rakha jata hai iss per tashadud ki bunyadi waja yahi hai. Aurat ko raye deney ya palaat kar jawab deney ki ijazat nahein hoti aur mard ki iss khuli jarehana ajadari ki waja se rozana ki bunyad per woh tashadud ka shikar hain. 70 se 90% (fisad) aurtain gharelu tashadud ka shikar hoti hain. Izzat ke nam per qatal to amm si baat hai mard ko kabhi saza nahein milti. Surat hal ye hai ke har do ghantey baad aik aurat ziadti ka shikar hoti hai. Rozana panch aurtein qatal ker di jati hain haftey mein 4 se 6 khawateen chulah phatney se mar jati hain. Unhien ghar se bedakhal ker ke bachchey bhi cheen leye jatey hain. Jinhein mard aur uska khandan apni milkiyat tasawar kerte hain. Kiya ye reyasat ki zimmadari nahein ke aurton par tashadud khatam karey aur unhein tahaffuz faraham kare.


 


No comments:

Post a Comment