Sunday 28 December 2014

Nails Care In Urdu | Nakhun Ki Hifazat | Nails Care In Urdu | Nails Tips in Urdu | Nails infection | Kinds of Nails

Nails Care In Urdu | Nakhun Ki Hifazat | Nails Care In Urdu | Nails Tips in Urdu

Nails (Nakhun)


Nails is a very important and sensetive part of our body. We should maintain and care of our nails. We can take hand massage for the nails. We should take Manicure and Padicure of our hands and Foots. If you have pain in your nails and any other problem about nails, so you should go to the Doctor. Then apply any treatment of nails. In this page you will read Nail Care in Urdu and Roman Hindi.

Nails Care In Urdu

 Insaani jism mein do chezen sab se ziyada mazboot aur aehmiyat ki hamil hain. Hairs aur Nails. Nails hathon ki khobsurti mein izafa karte hain aur nails ungliyon ki shape ke mutabiq ho to nails bohat ache lagte hain. Nails ki shaklen bohat mukhtalif hoti hain, aik nail androoni shakal se ungli ki por tak 6 maah mein mukammal hota hai.
 

Nail ka zinda hissa hamesha ungliyon ke niche wala hota hai. Nakhun hamari ungliton ki tips yani por ki hifazat karte hain aur jo hissa bahar nazar aata hai wo mard hota hai , is liye jab hum barhe hue nails kat’te hain to taklif nahi hoti hai. Hairs aur Nails he hamari sehat ka pata dete hain, sehatmand saaf suthre chamkeele be daagh ache hote hain, un ki rangat gulabi hoti hai, agar Nails ke darmiyan safed daagh peyda ho jae to ye bemari ya chot ki alamat hai. Is ke liye Doctor se mashwara karna chahiye, waise Calcium ki kami se bhi yeh nishan ho jate hain.

Kinds of Nails


Nails ki mundarja zel iqsaam hoti hain.
Khasta Nails, kamzor Nails, cahabae hue Nails, Bad rang Nails.

Khasta Nakhun ( Broken Nails)


Gharilo kaam kag karnay se aksar nakhun ke kinare toot phot jate hain aur iss tara khasta hojate hain iss ke liye zaroori hai ke nakhun mehfooze rakhne ke liye lehsan (garlic) lagana chahiye .

Kamzor Nakhun ( Weak Nails)


Kamzor nakhun (weak nail) patle hote hain agar inein ziyada dair tak pani mein rakha jaye to ye naram par kar kharab ho jate hain aise nakhuno par nail hardener lagana chahiye.

Cahabae Hue Nakhun ( Bitten Nails)


Aksar logon ko nakhuno ko chabane ki aadat hoti hai aur zahir hai ke chabaye hoye nakhun badnuma hote hain aise logon ke nakhuno par ghere rang ki nail polish ya phir nail losion lagana chahiye.

Badrang Nakhun. (Fade Nails)


Baz khawateen musalsal nail polish lagaye rakhti hain gis ki waja se inke nakhun badrang hojate hain aur aksar bemari ke bais bhi nakhun badrang hojate hain inhain chahiye ke nail polish se pehle base coat lagayein.

Parts of Nails


Nails ke mundarja zel hisse.
Matrix, Mantle, Nail bed, Nail Grooves, Nail Walls, Nail Plate, Hyponychium, Cuticle, Lunula, Free Edge, Nail Growth.

Nails Growing


1-Har week nails ka average rate 0.5 se le kar 1.2 mm hota hai.
2-Nails har umar mein barhte hain, magar barhti hui umar ke sath sath nails ki umar kam ho jati hai.
3-Agar blood ki raftar ziyada hai to nails jaldi barhte hain.
4- App ki sehat ka asar aap ke nails par bhi parhta hai, agar aap bimar hain to jild aur baalon ki tarha nails bhi asar andaz hote hain.

Shapes of Nails


Nails ki shape ka taaluq ap ki ungliyon ki shape ke lihaz se hota hai. Agar nails taqatwar hai to ziyada long nails rakh sakti hain, magar nails kamzor hain to short he rakhe, kyun ke aese nails ziyada der tak qaiym nahi reh sakte. Agar ungli patli aur lambi hai to nails round shape mein hone chahiye. Agar ungli choti aur moti hai to nails ka skape bezwi rakhe. Nails sqaure shape mein bhi rakhe ja sakte hain, aese nails gharelo khatoon aram se rakh sakti hain.

Manicure & Pedicure

*Manicure latin word hai, jis ka matlab hai, hathon ki care. Manicure hath+on ki khobsurti mein izafa karta hai. Maincure se hath kafi mulaiym ho jate hain. Hathon ka meyl aur dead skin bhi saaf ho jati hai. Nails ko khobsurat banane ke liye manicure se faiyda uthaya jata hai.

*Pedicure bhi latin word hai, jis ka matlab hai, peron ki care. Pedicure peron ki hifazat aur khobsurti mein izafa karta hai. Padicure se hamare peron ki thakan utar jati hai. Chalne phirne aur dabao ki wajah se paon thak jate hain to un ke sukoon ke liye bhi padicure karwaya jata hai. Padicure mein aerhiyon, nails aur panjon ki safai bhi shamil hai.

Hand And Massage

Thora sa lotion len aur hathon aur paon par laga len. Dono hathon ke thumb se massage karen. Ungliyon ke jorhon par golaai mein massage karen. Apni ungliyon mein aik aik kar kar har ungli ko daba kar nikalen. Sab se aakhir mein hathon aur peron ke nails saaf kar ke nails par base coat lagaen, phir nail color aur phir top coat lagaen.

                                           Nakhun Ki Hifazat In Urdu
 

                                             Nails Care
Weather khuwah garam ho nakhun ki hifazat or dekh bhaal intahai zaroori hai or is maqsad ke liye important tareen amar regularly nakhun ki safai hai. Nakhuno ke ird gird thoray se neem garam oil ki malish karein or phir ise achi tarah saaf kar lein takay skin par jama huwa mail kuchail door ho jaye phir hydrogen peroxide ke 3 spoon, ammonia ke 1 spoon mein mix karein or is mixture of cotton pieces ki madad se hands or nails par lagayen. 2 ya 3 minute k baad hands ko dho kar khushk kar lein. Agar aap ke nails kharab hein or aap in ko numaya karte waqt inferiority complex ka shikar ho rahi hein to thori se care se aao ke nails khoobsurat ban saktay hein. Nakhun ki munasib or khoobsurat kharash tarash kar ke in ki khoobsurti ko barqarar rakha ja sakta hai. Is liye nakhun ko nail polish se arasta karte waqt sab se pehlay shafaf base coat nakhun par lagayen. Jab yeh khushk ho jayen to natural pink color polish use karein. Sone se qabal apne hands par cream lagayen apne hatho or nails par olive oil ya cream achi tarah malein hatho par gloves pehnein or so jayen aap ke nails or hands dono dilkash ho jayengay.

 


                                Totkay For Nails In Urdu
 Nakhun lambay karna Nakhun lambay kerme ke liye rozana nails per lehsan mala karain.
Nakhun ki kharab rangat theek karna Bhains ke dood main chand drop lemon ke daal dain phir is main nails dip ker lain nakhun ki rangat theek ho jae ge.
Nakhun ka totkan Aik tola pisi hoe phitkari main aik lemon ka ras mila lain is paste ko roi ki madad se nails per lagaen chand dinon main nakhun totna band ho jaen ge


No comments:

Post a Comment