Quetta History In Roman Urdu
Quetta city ke bare mein khayal kiya jata hai ke kamsi qabila ke afrad ne Takht-e-Sulaiman se akar isi shehar mein sakonat ikhtyar ki. 1556 tak Quetta mughal saltanat ka hisa raha aur phir Irani saltanat ka hisa bana. 1730 ke baad ye shehar Qalat ki riyasat mein shamil ho gaya phir aik Europian tarikh dan ke mutabiq 1828 mein Quetta shehar ke gird mitti ki aik bohat bari deewar thi jis ne Quetta ko aik shandar qila ki shakal de di. Us waqt is qila mein taqreeban 300 houses abad thay.
Is ke baad aik English tourist ne is city ko baqaida tor par aik qila ki shakal de di, baad mein 1839 ki Afghani aur British war mein Angreez Quetta par qabiz ho gaye aur isay political agents ke zariye apni saltanat mein shamil kar liya. Is tabdeeli se hazaron qabail ke afrad bari tadad mein yahan abad ho gaye jis se Quetta ki abadi mein bohat zayada izafa ho gaya. Jo 1935 ke khofnak zalzala tak jari raha. Phir apne dor-e-hukumat mein Angreezon ne Quetta ko aik fauji ada mein tabdeel kar diya. Jo ke zalzala se tabah ho kar mitti ka dheer ban gaya. Us earthquake mein taqreeban 40,000 afrad luqma ajal ban gaye thay, us zalzala se Quetta ki koi building apni real halat mein na rahi bilkul mukamal tor par tamam Quetta tabah ho gaya tha phir Afghanistan aur Iran ke tajaron ki rah guzar aur markaz hone ki wajah se Quetta dobara safa hasti par namudar hua. Jisay qayam-e-Pakistan ke baad Baloch alaqay ka sadar muqam hone ka azaz hasil ho gaya. Aur phir Baluchistan province bannay par is ki mazeed haisiyat mustehkam ho gayi aur tijarati aur karobari sargarmiyan phir arooj par pohanch gayien.
Quetta sea level se 5000 feet unchai par hone ki wajah se tourism ka behtareen markaz bhi hai. Phir Afghanistan masla jo ke 1979 mein namudar hua tha ye Quetta ki dobara tameer aur kaseer abadi ka sabab bana. Kyoun ke hazaron ki tadad mein Afghan mahajreen ne Quetta ko apna maskeen bana liya aur us ke ird gird kayi nayi abadiyan manzar par ana shuru ho gayien.
Ab Quetta Pakistan ka 9th bara shehar hai jis ki population 6 lack ke qareeb hai. Yahan se Pakistan ke dusre bare shehron tak rasai ke liye bari railway line bhi bichai gayi hai. Is ki bari railway line Iran ki city Zahedan se ja milti hai. Is ke ilawa Quetta ki ahmiyat Gwadar bandargah se aur bhar gayi hai.
this artical look 20 year old. the current population of quetta is around 2.8 million now (2014)
ReplyDelete