Monday, 22 December 2014

Talaq in islam in urdu || Divorce In Islam In Urdu

Talaq in islam in urdu || Talaq Ka Masail Aur Un Ka Asan Hal In Urdu || Divorce In Islam In Urdu || Talaq Kay Masail In Urdu
 

Divorce (Talaq)


Divorce is a big problem in our society now. It is very painful effect for every woman and man and its families. Divorce depends on different issues. It is very dangerous effect for the children, who are born in these families. In this page, you will find information about (Talaq Kay Masail ) Divorce Problems in Urdu.

Talaq Kay Masail In Urdu

Hamara mashrah bohat se masail se ghira huwa hai. In masail mein talaq kay masail bhi hain jo hamare mashre ko ghun ki tarah chat raha hai. Hamara mashrah mashraqi mashra hai jis ki iqdaar, jis ki khobiyan be misaal thein. Jis ne Islam ke batan se janam liya ho to is mashre ki tauseef ko alfaz dhondhe se nahi milte the. Aaj is Islami mashraqi mashra ki zabon hali dil ko khoon ke aansoo rulati hai. Aaj hamare mashre mein Talaq ki barhti hui sharah tashwishnaak had tak barh chuki hai. Jo masail dar masail izafey ka sabab ban rahi hain. Har khandan is se mutasir hai. Har sahib fikr-e-pareshan hai. Talaq wo jaiyz fail hai, jis ko na pasandeeda aur takleef dey qarar diya gaya hai. Mian biwi khandani nizam ki bunyad hain aur khandani nizam naslon ki baqaa, tarbiyat aur parwan charahne ka zariya hai, magar mian biwi mein choti choti baton ne ikhtelaaf ki wasee khaleej paida kar di, nateeja talaq ki shakal mein zahir ho raha hai. Aafsoos ka moqam yeh hai ke talaq ka wajood talash kiya jae. To chand aik ko chor kar ziyada tar choti choti baton se hain. Jin ki hesiyat raai ke dane kay brabar hai. In ki bina par hamare mashre mein talaq to darkinaar shikwa-o-ikhtelafat ka bhi guman tak na tha. Agar aqal se kaam liya jae to talaq ki naubat na aae. Islami taleem se nawakif hamara mashra khokhla, deemak zada mashra masail ki daldal mein phans raha hai.

Talaq ki sanjeedah noiyat ki wajoh mein koi behas nahi kay yeh karhwah ghont peena majbori hai. Maslan ladki ki peydaiysh par talaq aik aisa mohrik hai jo daur-e-jaheliyat ki yaad taza karta hai, magar aurat ke bas mein nahi, magar baaz wajah qurbani ki khogar, eisaar ki devi khawateen ki kam aqli ki daleel hai, wahan afsoos barh jata hai. Mera ghar meri jannat mujhe is ko bachane kay liye har had tak jana chahiye. Kyun ke kuch wajohat aesi hain ke in ke sath zindagi mein jaddojehad kar ke aashiyana ko bachaya ja sakta hai. Kyun ke matlaqa ki zindagi khar zada hoti hai. Kuch wajohat is noiyat ki dekhne ko milen jo barhi bachkana aur dil dikhane wali hain. Magar in ke asraat barhe wehshatnaak. Mizaji ikhtelaf talaq ki aeham wajah hai. Baaz khawateen ko “ Baarab ” zindagi guzarne ka khabt pagal kiye deta hai. Mard ki yeh fitrat nahi. Din bhar ki khat khat, dilon se aehteraam, mohabbat, unsiyat ko khatam kar deti hai. Shohar ko roab se bahi, hikmat se raam kijiye. Aajzi, inkesari, bardasht hamara virsa hai. Khilaf mizaj baton par in hathyaron se fatah hasil kijiye. Sagi aulad bhi hum mizaj nahi hoti. Is ko chora to nahi jata, phir mian to behral sir ka saaien hai.

Barhti hui talaq ki aik wajah aamdani-o-akhrajat hain. Kam aamdani mein guzara nahi ho raha. Beshak barhi mushaqqat aamez hayat hai. Mard bhi hadiyon ko ghula ka rap ke liye roti pani ka bandobast kar raha hai. Mulk ke maashi halaat, mehngai us ki peyda karda nahi. Imhat-ul-Momineen aur BiBi Syeda Fatima Zehra ( R.A. ) key waqeaat humein kiya kuch nahi yaad dilate hain. Apni behno aur khawateen se mazrat ke sath baaz khawateen ka tarz-e-amal barha safakana hota hai. Maa baap ke ghar 300 ki Chappal, 500 ka suit ghanimat tha. Magar mian kay ghar har haal mein 1600 ki Chappal, aur 3000 ka suit darkar hai. Life Style ki jahelana daur mein auraton ki aqal ko salab kar diya hai. Har aasaiysh darker hai. Jaded asaiysh ki daur ne rishton ke ikhlaas ko kamla diya hai. Phir kam aamdani ka rona. Agar gunjaish nahi hai to roz roz ki kil kil se bahar niklein. Wo chez jis se ghar ka mahol pur sukoon rahe, us chez se behtar hai jo talaq ka sabab ban jaye. Choti choti baatein ikhtelaaf ko barhati hain. Phir mian biwi kw darmian sard jang shuru hoti hai. Jis ka nateeja talaq ki shakal mein bhi dekha gaya. Warna larhai jhagrey har roze ka wateera. Dono soortein ghar mein parwan charhne wali masoom nasal ke liye zehar hain.

Maakey Aur Sasural Ka Jhagra


Sath rehne mein 100 barkatein aur rehmatein, lekin agar alag raha jae to bhi koi muzaiyqa nahi hai. Magar har 2 soorton mein aurat danishmandi se ikhtelaf peyda na hone de. Warna har do fareeq ke piche mohabbaton ka dawedaar lashkare maarka aarai ke liye tayyar khara hai. Nuqsan lashkar ka nahi ap ka ho ga. Zara khayal rakhen, ap ki behan ne yun kaha, maa ne yun dekha, meri maa ko pocha nahi, apne bhai se har roz mulaqaton ki kya zaroorat hai ??? wo kyun aur yeh kyun… bai ghar ko basana hai to mian biwi kay aur biwi mian kay rawaiyye ko parkhey. Susural, maekey ki larhaiyan bin mole le kar halkan hone ki kya zaroorat hai. Yehi batein talaq ka sabab ban rahi hain. Ghar ghar wali se hai, warna mard ne jahan parhao dala, sikkey lutae ghar bana dala. Apne ghar ko mian ke liye sukoon ka gehwara banaen. Agar use sukoon na mila to phir us ko zaroorat nahi. Wo sukoon ka matlashi bohat door nikal sakta hai. Phir pachtawey ke siwa kya hath lagega.

Barhti hui talaq ne mashre ki jarhon ko khokhla kar diya hai. Bachey mutasir hone wali sab se mazloom makhloq hain. Maa ne bachey le kar zindagi ki jaddojehad mein barhe azam se qadam rakh bhi diya to bhi bachey ki tarbiyat akele mushkil hai. Mawashi jaddojehad paar la kar dalegi. Agar qismat ki meharban devi ne rupey paise ki rel pel kar bhi di, tab bhi aulad hathon se nikal sakti hai, ke aik akela do gayara. Agar bachey baap ke sir par thop den to sauteli maa ke mazalim ki dastanein bhi bikhri hain. Phir jab ap apne Jigar Goshon ke liye apni anaa, apni khuwahishat ki qurbani na de saken to Dadi, Phophi aur dosre rishtedaar kya kuch eisaar kar sakenge. Zara sochiye agar sab kuch acha ho bhi jae. To maa ya baap ki kami, shakhsiyat mein jo khala peyda karegi us ka madawa kaun karega. Aulad ke liye maa aag mein kood jati hai. Sanpoliyon se bhirh jati hai. Apni mamta ka mann rakhe. Hayat ki aag ko apne tarz-e-amal sa thandi rakhe. Bardasht, sabr-o-tahammul ko shuaar bana kar hikmat se choti si duniya ko abad aur shadab rakhe. The nanhi konplon ki ap se faryad hai.

Maa ka haq ziyada to farz bhi ziyada. Khwahishat dar khwahishat ko parwan na charaen. Mere bachey, meri kul kaiynaat, har zehar un kay liye pine ko tayyar rahen. Aaj ki mushaqqat, kal ki rahat, warna aaj be-iemani to kal be sukoni muqaddar ho jaegi. ALLAH PAK na kare, ghar ko torhne ke bajae banana ke gur talash Karen. Un karegaron se madad mange jo aap kay aashiyane ko mazboot bana sakte hain. Apni zaat ki naïf apne bachon ke liye ho to ghata nahi, khalis nafa he nafa hai.

Talaq Ka Masail Aur Un Ka Asan Hal In Urdu 

 
 
 
 
 
 
 
 
 
 

 
 













 




No comments:

Post a Comment