Sunday, 8 December 2013

Salman Khan Interview In Urdu

  Salman Khan Interview In Urdu

  Salman Khan Interview In Roman Hindi

Salman Khan

Salman Khan was born on 27th December 1965 in Indore. He is 47 years old. Salman Khan is an Indian Film Actor, he is a Producer and Television Presenter. Salman Khan is also known as now Chulbul Pandey and Dabangg hero. He is very talented and all rounder Actor. Salman Khan is a very good Painter. In this page you will find Salman Khan Interview In Urdu and Roman Hindi. 

Salman Khan Interview
22 January ko Salman Khan checkup ke liye US chale gaey the. Muamla bohat nazuk tha, Salman Khan jis problem mein the, un ki talkeef ya to KHUDA janta hai ya khud Salman. Khabar ke mutabiq Back Bone ke paas jo Spinal Cord hoti hai, wahan problem thi, jise jancha ya operate karna mumkin nahi. Is liye medicine se he takleef door karne ki koshish ho rahi thi. Magar yeh sirf aisa masla tha jo sirf Salman Khan ka he nahi, bal ke is duniya mein kae aise insaan is problem ka shikar hain. Aur US mein is ka kafi behtar ilaaj ho jata hai.

11 August ko Salman Khan aik operation karwa chuke hain. Jis se kafi had tak Salman ka masla hal hua aur Salman is qabil ho sake ke tough shootings karwa saken.
Khan House ki taza peshkash Dabangg 2 ne aik ordinary bal ke kamzoor film hone ke ba wajood record breaking business kiya aur release ke dosre he hafte mein 150 crore ka target cho gae.

Question : Dabangg 2 ki kamiyabi ke bad kaha jar aha hai ke Salman Khan patthar ko cho len to wo bhi sona ban jae ?
Salman Khan : Are Baaap rey…….. aisa bilkul nahi magar jo sawal pocha hai aesi khuwahish kar sakta hoon ke kaash isi tarha ho jae ta ke script, direction, acting ke liye pareshan na hona parhe. Mere bhai hargiz nahi hai. Kamiyabi aur na kamiyabi oper wale ke hath mein hai. Magar bohat mehnat karta hoon. Mere sath director, cameraman, spot boys aur baqi sab bhi dil o jaan se kaam karte hain. Haan itna hai ke oper wala ziyada meharban hai aur fans bhi choti moti ghaltiyan nazar andaaz kar dete hain.
Question : Aaj aap ki films lagatar hits ho rahi hain, soorat e haal taqreeban wesi he hai jaisi aap ke career ke shuru mein thi ?
Salman Khan : Haan bilkul thek, main ne pyar kiya ke bad baaghi, qurban, sanam bewafa, sab hit hui thin. Kuch log kehte hain ke kamiyabi ki wajaha se mera dimagh kharab ho gaya hai. Agar aisa hona hota to maine pyar kiya, ke time se he mera dimagh kharab ho jata, jab sirf 22 saal ka tha. Is ke bad Hum aap ke hain kaun? Ne to sare records torh dale the, magar mera dimagh phir bhi apni jagah par he raha.
Question : Aik arsey tak aap apne filmi kirdar Prem ki wajah se mashoor rahe, magar ab chulbul pandey ne prem ko over shadow kar diya hai ?
Salman Khan: Is bech radhey bhi aata hai aur yeh aik aisa kirdar hai, jise kabhi bhi faramosh nahi kar paonga. Phir Tiger ko aap kaise nazar andaaz kar sakte hain ? asal baat yeh hai ke loog mujhe action roles mein he nahi, bal ke romantic aur comedy roles mein bhi dekhna chahte hain. Yeh director aur writer par munhasir hai ke kis tarha mera istemaal karte hai.
Question : Aap ka stardom aur supreme position, personal relationship par kis had tak asar andaaz hoti hai ?
Salman Khan : Bilkul nahi, apne rishtey ke logo mein wesa he hoon jaisa pehle tha. Sab mujhe Salman Khan ki tarha treat karte hain. Koi Radhey, Pandey ya chulbul nahi samajhta. Hum sab asli zindagi mein rehte hain aur jante hain ke film ki duniya asal duniya nahi. Behan Bhaiyyon ke liye agar main chulbul ya radhey ban jaonga to khud ko pagal samjhonga. Ab bhi Maa ki godh mein sir rakh ke sona pasand karta hoon aur jab meri Maa kehti hain ke bilkul bachey jaisa hoon to waqai bachon jaisi khushi mehsoos karta hoon.
Question : Aap ki Maa aap ki shadi ke liye bhi fikarmand hongi ?
Salman Khan : Sirf wohi….. ? are bai pora media, bal ke sara desh is baat ko le kar peetey chala ja raha hai. Meri shadi ka mujhe itna intezar nahi jitna media aur desh ko hai. 47 saal ka ho chukka hoon. Pata nahi shadi naseeb mein hai bhi ya nahi. Magar haan ab itna batane laga hoon ke 12 baras pehle shadi ke bohat qareeb tha, jab oper wale ko manzoor na ho to koi kya kar sakta hai. Meri shadi hote hote reh gait hi aur bas isse ziyada aur kuch nahi bataonga.
Question : 47 saal ka hero ! kya hindi cinema ke liye hero ki yeh umar ziyada nahi, naey aane wale ladkon se khatra mehsoos karte hain ya nahi ?
Salman : Khatra to hamesha mehsoos karna chahiye warna apne aap mein gum ho kar aap manzar se he ghayab ho jaenge. Umar nahi rukti aur isi tarha naey aane wale aate rahenge.
Question : Is umar mein aane ke bad kiya aap kuch miss kar rahe hain ?
Salman : Bohat kuch mila hai, talent to shayad bilkul bhi nahi, is liye saaf kahonga ke kuch bhi miss nahi kara raha. Bohat khush hoon ke aik taraf family members hain aur dosri taraf mukhlis fans ki bohat barhi tadad sath khari hai. Mujhe ba aasani qabool kiya ja raha hai. Bohat kam jaddujehad karni parhti hai. Is liye jo kuch naseeb se mil raha hai, khush dili se qabool kar raha hoon.
Question : 2014 mein aap industry mein apni silver jubilee pori kar lenge ?
Salman Khan: Thek hai paisa bohat kamaya, magar is industry aur kaam ne paise se hat kar bhi bohat kuch diya hai. Jo pyar mila hai anol hai. Films to aik Friday ko aati hain, hit ho ya flop waqt ke sath bhula di jati hain. Lekin logon ka jo pyar mil raha hai wo zindagi bhar sath rahega aur is baat ki qadr-o-qeemat naapi nahi ja sakti.

Salman Khan Interview No 2 In Urdu

The bollywood super stars Salman Khan was born on 27 December 1965. Salman Khan paternal grandfather was a Muslim from Afghanistan who came to India and settled in Madhya Pradesh. His mother is a Marathi Hindu. His stepmother is Helen (film actress). He has two brothers and two sisters. Khan finished his schooling through St. Stanislaus High School in Bandra, Mumbai.
Salman khan nay apni phali film say hi Bolliwood main tahalka macha dia tha.Un ki film “Main Nay Payar Kia” aik kamyab film sabit hui jis nay Salman Khan shohrat ki bulandeon par punhcha dia. Salman key walid aik film writer hain. Jinhon nay beshumar super star thakleeq kiey hain.Us key 2 bhai Arbaz aur Suhail hain, bhi mushoor actor aur film producer hain.

SALMAN KHAN ke personal aur profeshion life itni bharpur aur hungamakhez hai ky us par aik kitab likhy ja sakty hai.US nay 1988 main aik dramay ‘Biwi ho Ho To Aisi’ main mukhtasar role play kiya aur 1989 main “Main Nay Payar Kiya” key zarye industry main dhuwandar intry de aur film fair ka best mail debut award jitnay main kamyab hogia. Us kay bad Salman nay pichay
mur kar nahi dekha! Umar key 46 baras main bhi woh phelay din ki tarah taro taza aur fit nazar aata hai aur apnay say adhy umar ke heroines ke sath bhi bare parday par romance lara raha hai. Profesional front par us ki kamyabi ka andaza aisay bai lagaya ja sakta hai k guzashta baras us ki aik nahi bulkay aik sath 3 films zabardast kamyabi say humkinar hui. Arbaz, aur sohail key sath tumhari talluqat kaise hain?

Hum aapas mein dost hain hala keh Sohail mujh se 5 saal chota hai lekin jawan hone key baad yeh farq khatam ho jata hai! Haqiqat to yeh hai keh daddy key doston se bhi hamari dosti hai aur daddy hamare doston se free hain.

Kia tum apne bahiyon ko koi mashwarah dete ho?

Nahi woh kafi samjhdar hain aur mujh se ziadah dunya key muamlat ko samjhte hain balkeh baaz auqaat to mujhe un se mashwarah lena parta hai!

3 hit filmon key sath is wqt tum tinon Khan mein aage nazar aarahe ho us par kia kaho ge?

Aisa kuch nahi hai mein nahi jatna keh film kis tarah kamyab hoti hai mujh se bhi ghaltiyan ho sakti hain, mein aisi filmein kar raha hon jo guzashtah filmon key moqable mein bari hain aur itna janta hon keh audience inhein fazool nahi qarar dein gay lehaza film mein jazbaat aur kahani ki bari ahmiyat hai!

Tumhare walid Saleem Khan ne kayi super star takhleeq kiye lekin tum un ki likhi huyi film key beghir hi super star ban gaye?

Saleem khan ne apne qalam se super star takhleeq kiye lekin inhon ne mujhe paida kia, mein un ki pehli aulad hon, is liye un keh takhleeq kardah stars se kahin aage hon, saleem khan ne sirf mujhe paida hi nahi kia balkeh haqiqi zindagi mein meri rahnumayi bhi ki is lehaza woh mere real producer aur director hain!

Apni nojawani key zamana mein walid ka likha hua koi carector karne ki khuahish huyi?


Mujhe bare corrector karne mein 20 sal lag gaye jab MEIN NE PYAR KIA, mein Prem ka role play kar raha tha to kabhi socha bhi na tha keh action filmein kar sakon ga mein ne ibtada mein aisi koshish ki thi lekin apne aap ko qail na kar saka mein ne police man aur wakeel key kirdar bhi kiye lekin koi tasSur qaim na kar saka, yahan tak keh mohalle key dada ka role karne key bhi qabil na tha lekin ab mein puri sachayi key sath is tarah key role play kar sakta hon, mujhe apne paristaron se muhabbat aur izzat hasil karne mein 20 saal lag gaye, ab mein un key aitmad key sahare aage barhna chahta hon!

Tumhari kamyabi ka raaz kia hai?

Mein kabhi bhi kisi wajah key be ghair film sign nahi karta is key liye mujhe apne aap ko iklaqi tor par qail karne parta hai, is lehaz se mein aur director aik hi level par sonchte hain! Aaj kal ki filmon mein ziadah se ziadah 5 gane hote hain jo buhat ache hone chahiye! Screen play, editing, adakari sab ki ahmiyat apni jagah hai lekin asal cheez subject hai jis se log relate kar sakein aap ko audience key drmiyan baith kar film key bare mein sonchna chahiye keh jab woh kahani aap ko sunayi jaye to aap us se kis tarah enjoy karein gay.

Woh kon sa scene hai jo tum kabhi nahi karo gay?

Mein ne ohad kar rakha hai keh parde par kisi larki ko kis nahi karon ga, kiun keh khawateen bhi filmein dekhne aati hain aur doosri baat yeh key keh mard aurat key taluqaat ki noiyat intehayi zati hoti hai, use dooosron key sath share nahi kia ja sakta !

Lagta hai keh tum kaam key muamle mein pehle se ziadah sanjidah ho gaye ho?

Hona parta hai, aap jante hain keh log kitna menhga ticket kareed kar film dekhne aate hain aur inhein hum se buhat si tawaquat hoti hain is liye hum inhein mayoos nahi kar sakte.

Tum adakari key elawa film key doosre shobon mein bhi involve hote ho?

Ji han kabhi kabhi koi mokalmah ya comedy jumlah zuban par na aaye to writer aur director ki raza mandi se use tabdeel kar deta hon, is key elawa woh jab dhune compose jari hon to us se bhi enjoy karta hon meri koshish hoti hai keh doosre key kaam mein dakhal andazi na karon lekin baaz auqaat film ki behtari key liye aisa karna parta hai albattah jab apni ya bhayi ki production ho to aazadana tor par masware deta hon, is waqt yeh dar nahi hota keh koi meri mudakhlat ka bura maan jaye ga.

Tuhari film aur us key script par cha jati hai, kia tumhein yeh khof nahi keh is tarah type cast hone key sath sath apne aap ko duhra rahe ho?


Meri har film mukhtalif hoti hai agar us mein meri shakhsiyat ka aks nazar aaye to kia kar sakta hon, lekin is ki bunyad bhi script hota hia! Veer ki kahani wanted se bilkul mukhtalif thi jabkeh wanted aur dabangg mein koi mamaslat nahi thi ! Body guard in tinon filmon se mukhtalif thi, isi tarah Ready mein bhi meri kisi doosri film ki mamaslta nazar nahi aati agar kuch log kehte hain keh mein puri film ko apne kandhon par le kar chalon to yeh bilkul ghalat hai. Dunya mein koi shaksh aisa nahi kar sakta baat sirf itni hai keh log mujhe aur meri filmon ko pasnd karte hain aur isi liye woh inhein dekhne key liye cinema hall ka rukh karte hain.

Tum mein aisi kia khas baat hai keh Katrina kaif tumhari dosti se mehroom hone key liye taiyar nahi?


Is liye keh mein us ka acha dost hon, is se ziadah aur kia keh sakta hon.

Tum kis wajah se apne aap ko is ka acha dost samajhte ho?

Kiun keh mein logon ko pasnd karta hon aur un key sath guzare huye waqt ki mujhe qadar hai hum pehle bhi dost the aur aisi koi wajah nahi keh ab dost na rah sakein agar mere aur us key beech koi maslah tha to mujhe so fisad yaqeen hai keh us mein meri hi ghalti hogi.

Tum shadi karne se kiun katra rahe ho, kia shadi par yaqeen nahi rakhte ya apne aap ko acha shohar nahi samajhte?


Shadi par mera pura yaqeen hai aur janta hon keh is ka aik waqt moqarrar hai lekin shayad abhi meri shadi ka waqt nahi aaya jab aisa hua to aap bhi mujhe apne bachon key sath khelta hua payein gay.

 

No comments:

Post a Comment