Thursday, 19 December 2013

Roza Ki Fazilat In Urdu || Roze ki Ahmiyat in Urdu

Roza Ki Fazilat In Urdu || Roze ki Ahmiyat in Urdu

Fasting (Roza)

Fasting (Roza) means to give up once desires, food and drink from dawn to sun set. Fasting (Roza) is also called Saum in Arabic. It is the third pillar of Islam and compulsory for all Muslims. It is in the month of Ramdan when our glorious Quran started to be revealed . If we take alook for fasting (roza) before Islam the fasts are very long and tough. People are not allowed to talk to each others and not allowed to answer anyones questions. In fasting every one should do-good works such as praying regularly, ricet Quran , always speak truth and always try not to harm other people, and make sure that always follow Allah’s orders in this page you will read a article Fastin in Urdu( Roza) .

Fasting In Urdu (Roza)

Roza Image in Urdu and Arabic
Ramzan ul Mubarak who mahe mukadas hai. Jis mein Allha taala ne apne akhari rasol Hazrat Muhammad (S.A.W) par apne akhri katab Quran majid nazil farmai. Ye ahal e zamin ke leye Allha talla ki ata karda aik bohat bari nemat hai jis par wo sari zindagi bhi Allha ke hozor sajada e shukar ada karyein to bhi is nemat ka haq ada nahi kar sakte. Is pak kitab ko pak perwardigar ne apne akhiri tajdar sarwar e alam (S.A.W) ke qalab e athar par nazil farmaya jo ap(S.A.W) ki zaban e mubarak se Umat e Muslima tak phoncha aur hidayat o rhenumai ka sabab bana. Ye Quran e hakim hi ka ijaz hai ke is ne pori duniya mein tohid ka inqilab barpa kar deya. Quran e hakeem ki azmat ka andaza is baat se lagaya jasakta hai ke Allah Rab ul Izaat ne is ba barkat mahine mein ahel e iman ko roza rakhne ka hukum farmaya, warna ye hukum kisi aur mahine ke leye bhi deya ja sakta tha. Lekin ramzan karim mein ye hikum de kar is maha e azeem ki azmat Ka Allah Rab ul Izzat ne is ba barkat mahine mein ahle iman ko roza rakhne ka hukum farmaya , warna ye hukum kisi aur mahine ke leye bhi to deya ja sakta tha. Lekin Ramdan karim mein ye hukum de kar is mahe azim ki azmat bhi waze ki aur ahle iman ko ye bhi bata deya ke ye jashan e nazol e Quran ka mahina hai. Isi leye ahle iman ko mazid pak aur saaf karne ke leye inhein isi mahine ke shaya nishan mutaqi banae ke leye roza rakhne ka hukum farmaya. Arshad e rabani ha “ ae iman walon ! tum par roze farz kiya gaye jase tum se phele walo par faraz kiya gaye the. Ta ke tum parhezgar ban sako.”

Taqwa Kiya Hai?

Taqwa har woh acha, bhala aur naik kaam ha jo insaniyat ki bhalayi ke liye bhi acha aur mufeed ho aur jis se aam insanon ka bhala ho, inhein rehnumai mile aur in ke leye bhtar aur pak zindagi guzarna asan ho. Taqwa ka koi pemana nahi ha aur na asi koi baat ha ke mutaqi bana bohat mushkil ho. Har shaks mutaqi ban sakta ha ,taqwa hasil kar sakta ha , bas is ke leye shart ye hai ke woh har aala se aala aur adna se adan kaam mein bhi shariyat par amal kare aur sharai usolon ki pasdari karye , is ka ihteram karye. Har kaam is tarike se injam de jis tarha se Allah Ta,ala aur us ke Rasol (S.A.W) ne hukum diya hai.Ye hi shariyat hai.

Ramzan Ke Roze Ki Ahmiyat In Urdu

Ramzan ul Mubarak ke pore mahine mein roze rakhne ka waze hukum deya gaya ha aur sath hi ye bhi kaha gaya ha ke agar safar mein hon to degar dinon mein in ka shumar pora kare aur agar bemar ho tab bhi in rozon ki mafi nahiha, in ki ginti bhearhal pori karni ha. Phair ye bhi irshad farmaya gaya ha ke :” Agar tum samjho to isi mein tumhari bhalai ha.”
Yaha Allah taala ne kitni aham baat khe dali jis se aik taraf to roze ki ahmeyat ka andaza ho raha ha aur dosri taraf ye bhi malum ho raha ha ke is se Allah ki raza bhi mil sakti ha. Yani roze rakh kar insan dohra faida utha sakta ha. Aik taraf wo kuda ko razi kar sakta ha aur dosri taraf akhirat meinbare inamat ka mustahik ban sakat ha. Malum hoa ke roza rakh kar insan apna bhala ziyada karta ha. Ye theek ha ke pore mazhabi ahtiram ke sath rakha gaya roza Allah ki bargah mein qabol ho ga aur Allah ki khushi ka sabab bane ga., lekin agar koi insan assa nahi karta aurroza nahi rakhta to wo apna hai nuksan karta ha. Agar kise ne bila azar sharai roza chora ke bad meinkise waqat ya ache musam mein rakh le ga to degar dinon ke rozeis ka badal harkiz nahi hosakte. Jab ke ramzan ke aik faraz rpze ke badle 60 rpze rakhne ka hukum ha, tb bhi ramzan ki saadat hasil nahi ho sake gi.
Ramzan ul Mubarak chun ke Quran ke nuzol ka mahina ha is leye Allah rab ul izat ne ye hukum bhi farmya ke ramzan mein apni raaton ko ntilawat e Quran aur kitab e mubin ki samaton se sajao. Alhamdolilha hafiz akram ramzan ul Mubarak ki saadat raaton mein tarahwi ki surat mein Quran e hakim ki tilawat farmate han aur degar farzandane tohaid in ki samaat karne ki fazilat hasil karte han. Umat e muslima par Allah rab ul izat ka kitna fazal aur kitna ahsan ha ke us ne hume wo roze ata farmaye jin mein rahat bhi ha aur asani bhi. Roza siraf mukarra uqat mein hi ha. Tuloye fajar se phele hum sabhi achi tarhan kha pi lete han/Is ke bad siraf gorobe aftab tak hi khane pene ye in umoor se ruke rahte han jo Allah taala ne roze ki halat mein mana farmaye han. Is ke bad jab roza khol jata ha to pjair sab kuch khane pana ki ijazat ha aurin umoor ko anjam dene ki ijazat mil jati ha jinhein roze ki halat mein karne se mana kia gaya tha.
Lekin agar hum tulo e islam se phle ke rozon par nazar dalen to us zamane ke roze bhoat lambe hote the aur halat e roze mein mutadi kaam mana hate the. Misal ke tor par baz umaton mein halate roza mein logon se milne june ki mumaniyat thi. Wo aik dosre se baat cheet tak nahi karsakte the, bol nahi sakye the , kise ke sawal ka jawab nhi desakte the. Is ke aik misal Hazrat e Issa (A.S) ki ha, jab bibi Maryam Allah ke hukum se apni god mein nomulod le kar ayein to degar logon ne bare tajasos aur heart ke alam mein inhein dekha. Wo sab jante the ke bibi Maryam kawari han aur inhein kabi kise marad ne nahi chowo ha, is leye wo heran the ke is suart mein ye bacha kahan e agaya? Chunacha un sab hi ne bibi Maryam se is bache ke bare mein sawalon ki barmar kar di. Is muqe par bibi Maryam ne apne mun par ungli rakh karinhein ishare se ye bataya ke:” main roze se hun is leye bol nahi sakta,” Lekin jab logon ke sawal bharte chale gaye to bibi Maryam ne aik bar phair ishare se kaha ke jo kuch pochna ha, is bache se poch lo. Is par wo sab hasne lage ke bhala itna chota bacha bhi bol sakta ha. Lekin is muke par Allah taala ne apne nabi aur in ki walda majda ki madad ki aur Allah ke hukum se nomulod ne kaha :” main Allah ka nbi hun aur is ki kitab lekar aya hun.”
Mazkorah bala waqiye se malom hoa ke us zamane ke rozon ki halat mein bolna ya zaban se kuch bhi khena mana tha. Goya umat e muslima se phele wali umaton ke roze bohat sakhat the. 7,7 aur 8,8 din ke musalsal roze hoye the, darmiyan mein na kuch kha sakte the ,na kuch pi sakte the, na kise se baat cheet kar sakte the ,aur na koi kaam karskte the. Jab is roze ki mudat mukamal ho jati thi tab hi kha pi sakte the aur degar umoor anjam dete the. Jab ke aj ke roze bohat asan han. Subha se raat tak hi ki topabandi ha. Subha se phele sahari kar li, Is mein bhi baz log bohat daat kar khte han ji ki wajha se din mein bhook lagti hi nahi. Ye tarika bhi ghalat ha . Sahari mein siraf itna hi khana chiye ke sunat pori ho jaye aur rasol karim (S.A.W) ke hukum ki tamil ho jaye. Bharahal aj ke rozon mein bohtat saholat di gai ha. Roze ki halat mein roze dar baat cheet bhi kar sakta ha , kaam kaj aur karobar bhi kar sakat ha, degar duniyawi umoor bhi anjam de sakata ha, albita ye zaroriha ke roze dar halat e roza mein na ghoot bole aur na kisi ki borai karay. Apni zaban ko har tarha ki alodgi se pak rakhe, kise se koi ghalat baat na kahe, larayi jhaghra na kare, aur koi is se ulhajne ki koshsh karye to ye khe kar kenara kar le ke :” bhai main roze se hun.”Roze ki halat mein insan ko siraf ache kaam karne chiyein, namazon ki pabandi kare, Quran hakeem ki tilawat bhi kare aur samaat bhi. Sach bole jhoot se dor rahe. Boron ka adab kare, Allah aur us ke rasol ke ahkamat ki pabandi kare aur khud ko pore saal mutaqi banae ki tarbiyat hasil kare.






No comments:

Post a Comment