Sunday, 22 December 2013

Check Electricity Bills Online Pakistan

                 Check Electricity Bills Online Pakistan

Check Electricity Bills Online

Lahore Electric Supply Company

(LESCO)

Click Here

Gujranwala Electric Power Company

(GEPCO)

 Click Here

Faisalabad Electric Supply Company

(FESCO)

 Click Here

Islamabad Electric Supply Company

(IESCO)

 Click Here

Multan Electric Power Company

(MEPCO)

 Click Here

Peshawar Electric Supply Company

(PESCO)

 Click Here

Hyderabad Electric Supply Company

(HESCO)

 Click Here

Sukkur Electric Supply Company

(SEPCO)

 Click Here

Quetta Electric Supply Company

(QESCO)

 Click Here

Karachi Electric Supply Company

(KESE)

 Click Here

Green Tea for Weight Loss In Urdu || Green Tea Se Wazan Kam Karna

Green Tea for Weight Loss In Urdu || Green Tea Se Wazan Kam Karna


 
 
 
 
 
 

 Green Tea Weight Loss in English

Heat up 8 glasses of water. When it begins to boil, add 6 tsp of greentea n let it simmer (halki aanch pe paknay den) for 10 to 15 minutes.


When 6 glasses of the water remains, add a stick of cinnamon (daar cheeni), 1 cardamom (ilaaichi), 1 stick mulethi, a pinch kalonji, 1 clove (laung), ginger n garlic 1 piece each.


When it begins to boil again, add a few mint leaves n store it in a thermos. Sprinkle a few drops of lemon n brown sugar before drinking. Drink 6 to 8 cups daily.


Important: Those Who Have High Blood Pressure Problem, Should Not Add Cinnamon To Their Tea.

 Green Tea Weight Loss in Urdu: Green tea is packed with healthy benefits like it can burn fat and boost metabolism which help us to lose weight. Research shows the most valuable benefit of green tea is its ability to help in losing weight and if one man or woman drink five cups of green tea a day, he/she would burn an extra 70 to 80 extra calories through an effect known as thermogenesis i.e. the process of heat production in organisms. While much of the thermogenesis effect in green tea is derived from caffeine, experts also suggest that thermogenesis in green tea occurs to some degree beyond its caffeine content from epigallocatechin gallate. Actually green tea helps to lose weight by increasing the rate of which the body burns fat






Adrak Se Ilaj In Urdu

                                 Adrak Se Ilaj In Urdu
 

 
 





Adrak Benefits in Urdu || Ginger Benefits In Urdu || Adrak Ke Faide

Adrak Benefits in Urdu || Ginger Benefits In Urdu || Adrak Ke Faide


 
 
 
 
 

Ginger (Adrak)

Ginger (Adrak) is a vegetable. It is very useful for voice and throat problem. Ginger is a wonderful antiseptic. It is more useful in Winter Season. Ginger is not a tasty and sour food, it is a medicine. So use it only in need and your condition. In this page you will read ginger benefits In Urdu ( Adrak ke Faide) and Roman Hindi.

Benefit of Ginger

Ginger is an herb. It is used as a spice and also as a medicine. It can be used fresh, dried and powdered, or as a juice or oil.

Ginger is commonly used to treat various types of “stomach problems,” including motion sickness, morning sickness, upset stomach, gas, diarrhea, nausea caused by cancer treatment, nausea and vomiting after surgery, as well as loss of appetite.

Ginger contains chromium, magnesium and zinc which can help to improve blood flow.

Ginger is just as effective as vitamin B6 in the treatment of morning sickness.

If you’re suffering from common respiratory diseases such as cold and cough then recommended that you drink ginger tea.

Ginger is an antiseptic, which means it is effective in killing the bacteria that causes acne.

Here is some benefit of ginger given bellow in Roman Urdu.

                   Adrak ke Fawaid:

Adrak aam tor par daal, sag, sabzi aur chatni mein istemaal ki jati hai sookh nay par yeh sonnth kehlati hai medicine kay tor par is tarah istemaal kia jata hai.
Kali Khansi Dammah:
Ginger ka ras aik 60gm, honey 60gm mila kar zara sa garam kar kay pi lein 7 roz mein aaram hoga.

Kami Bhook:

Bhook achi tarah na lagti ho pait mein riyah bharay huye hon qabz rehta ho to adarak ko tarash kar rezah karein aur oper say namak chirak kar aik do mashah khayein. Bhook achi tarah lagay gi riyah kharij ho gay aur qabz rafa ho jaye gi.

Churan Hazam:

Hazmah ko durust karta hai maday ko taqat bakhshta hai dard shikam aur khattay dekaron ko azhad mofeed hai sonth aur ajwain hasb zarurat lay kar aab adrak is qadar dalein keh adoyaat tar ho jayein aur sayah(shadow) mein khushk kar kay bareek pees kar qadray namak mila kar mehfooz rakhain. Donon waqt char ratti say aik mashah tak pani kay humrah piya karein. Is churan kay istemaal say maday ki tamam kharabiyan door ho kar bilkul sehat hasil ho gi.

Dard Kaan:

Adrak ka juice 4 mashah, shead 2 masha, sendha nama 1 ratti, til ka tail do mashah pehlay namak aur adarak ka ras mila lein. Phir sab mila kar achi tarah hilayein thora garam kar kay 7 ya 8 drops kaan mein daalein kaan ka dard band hoga. 

Vomiting:

Ginger aur onion ka juice mila kar pinay say vomiting band ho jati hai. Aawaz baith janay par adarak ka juice shehad mila kar chatna chahiye.

Nazlah aur Zukam:
 
Adrak ko cheel kar is ko bareek bareek tarash lein aur karahi mein ghee daal kar is mein bhunein is kay baad adrak kay barabar wazan khand ki chashni mein milayein aur pakayein jab qawam durust ho jaye to sonth, zirah sufaid, mirch siyah, naag kasseer, jawetri, alichi, taj, patrij, pipal, dhanya, zeerah siyah, pila mol ya barang har aik adrak ka barabar hissah lay kar koot chan kar milayein aur mehfooz rakhain.

Moqdar khorak :6 mashay say aik tolah tak hai.

Fawaid: zokam phoolanay mein mofeed hai, sardi ki wajah say aawaz baith jaye to is ko kholta hai, dam phoolnaya ki shikayat is kay istemaal say door ho jati hai, bhook khoob lagti hai, pait ka dard aur riyahi shikayat jati rehti hai.










Jobs In Goverment Sector 22 Dec 2013

                                 Jobs In Goverment Sector 22 Dec 2013 

Peanut Benefits in Urdu || Mong Phali Benefits In Urdu || Mong Phali K Faiday

Peanut Benefits in Urdu || Mong Phali Benefits In Urdu || Mong Phali K Faiday

 
 




MOONGPHALI


Moongphali mausam-e-sarma ka maqbool aam-o-sasta tareen khushk mewa hai. Maqwi aesaab hai. Ye akhrot ka mutabadil tasawwur kiya jata hai, kyun ke is mein Vitamin B 1, Protein, Calcium aur Phosphorus hota hai.

Aloe vera Benefits In Urdu || Aloe vera Ke Fawaid Benefits In Urdu || Aloe vera Benefits For Hair || aloe vera benefits for skin || Benefits of Aloe Vera In Urdu

Aloe vera Benefits In Urdu || Aloe vera Ke Fawaid Benefits In Urdu || Aloe vera Benefits For Hair || aloe vera benefits for skin || Benefits of Aloe Vera In Urdu
 
 
 
 
 

Aloe Vera


Aloe Vera is a green plant. It is a natural remedy of cure. Western researchers say that it is a magical plant. Aloe Vera is called as natural energetic supplement in Western Countries. Aloe Vera is used in different herbal products and medicines. It is natural treatment of skin problem for pimples, marks, pigmentation and hair problems. We can make the scrub, mask, cleanser etc of Aloe Vera for our skin. It glows the skin and hairs. Aloe Vera juice is very useful for intestines. It removes the soiling and pain of the body. Aloe Vera also called as Fat Burn Plant. It has essential enzymes, 75 food components, 118 amino acids, 200 ecto compound, 20 minerals, Vitamin B – 1, 2, 6 and Vitamin C, chlorine, calcium, iron, magnesium, manganese, potassium, sodium and zinc. Aloe Vera is a best moisturizer for skin. In this page, you can see the Aloe Vera benefits In Urdu and Roman Hindi. please first take advice to your Doctor then use any tips.

Aloe Vera In Urdu


Aloe Vera Image

Aloe Vera (gheekawar) aik shifai plant hai. Western researchers ise magical plant bhi kehte hain. Umar ke asraat se jild ko mehfooz rakhta hai. Khushk mausam mein nashonuma pata hai. Qadeeem yunani tib mein ise herbal medicines ke taur par bhi use kiya jata hai. Aloe vera ka juice, leaves aur gooda jild ke mutadid masaiyl ka ahataa karte hain. Is ke juice intestines ke liye mufeed tasleem kiya jata hai. Jism ki soiling door karta hai aur yeh dard kash bhi hai.



Aloe Vera Benefits In Urdu


Aloe Vera Ke Fayde (Aloe Vera Ke Fawaid)


Yunani experts is ko jism ke androni o beyroni istemal ke liye mukhtalif medicines mein shamil karte hain. Yeh ba aasani dastiyab plant hai. Jis ki masnoaat har medical store par mil jati hain. West mein ise natural energetic supplement kaha jata hai. Capsule, gel aur juice mein in ka istemal aam hai. Ise khan eke liye bhi kacha istemal nahi karna chahiye. Is ke godey mein essential enzymes, 75 ghizai juz, 118 amino acids, 200 ecto compound, 20 minerals, vitamin b – 1, 2, 6 and vitamin , chlorine, calcium, iron, magnesium, manganese, potassium, sodium and zinc maujood hote hain. Is ka baqaiyda istemal sugar ki satah ko mutawazin rakhta hai. Jild damakne lagti hai aur kae mauzi bemariyon se mehfooz raha ja sakta hai.

Aloe Vera Benefits For Skin In Urdu, Hindi


Aloe vera ko jild (Skin) ki khoi raunaq lautane ke liye bhi misali mana jata hai. Jhaiyon aur pigmentation ke ilawa keel mahason wali jild ke liye bhi maussir hai. Is ka gooda hairs mein bhi lagaya jata hai. Zakham ya jalne ki soorat mein Aloe vera mutasira hisse par mal len. Goodey ka mask hairs aur skin dono ke liye mufeed hai. Yeh jild ki lachak bahaal kar ke ise natural mazbooti farahum karta hai. Yaad rahe kabhi bhi khaam plant ko baraherast jild par na lagaeyn. Yeh skin infection ka sabab ban sakta hai. Munasib yehi hai ke ise achi tarha wash kar ke peel off kar liya jae, phir is ka gooda nikaal kar skin par mala jaey. Chaalon aur daano ke nishanaat bhi saaf karta hai. Aloe vera ka shaffaf gooda jise gel bhi kehte hai, leaf ke andar hota hai, ise face par mala jae to keel mahason se nijaat hasil ki ja sakti hai. Is ka righan, gooda aur juice skin care ki mutadid masnoaat mein bhi shamil kiya jata hai.

*Dry aur phati hui (Skin) jild ke liye mufeed hai.

*Aloe Vera ka oil rookhi be raunaq jild (skin) ko name farahum karta hai.

*Mahauliyati pollution aur suraj ki muzir shuaaon ke liye dhaal ka kaam karta hai.

*Skin (jild) ke khuliyat ki nashonuma batadreej behtar hoti hai.

*Skin soft, smooth and shiny hoti hai.

*Sun burn ho jane ki soorat mein is ka gooda mutasira hisses par lagane se araam aata hai.

*Anti bacterial khusosiayt zakhmon ko jild (Skin) mandmal karti hai.

*Khinche hue paththon ke ird gird hifazati deewar ban jati hai.

*Aloe Vera best moisturizer hai jo jild (Skin) ki natural lachak bahaal kar ke khuliyat ko oxygen ki rasd farahum karta hai.

*Skin (Jild) ki nami barqarar rehti hai.

*Is ki injazabi khusosiayt jild ki androni the tak mufeed ghizai juz pohnchati hai.

*Anti wrinkle cream, facial mask, skin conditioner aur lip stick mein shamil kiya jata hai.

*Aloe Vera jild (Skin) par barhti umer ke asraat namodar nahi hone deta. Aloe vera mein maujood Vitamin C aur E jild ki ghizai zaroriayt pori karte hain. Aloe vera masnoaat beshtar afraad mein jildi zod hisi ka sabab ban sakti hain, kyun ke in ki khalsiyat ziyada hoti hai. Agar aap hassas jild ki malik hain to munasib yehi hai ke istemal se pehle mahir jildi amraaz se rujoo karen.

Scrub of Aloe Vera and Oats


Ingredients : pisi hui oats 1 table spoon, pise hue almond 1 table spoon, honey 1 table spoon, Aloe vera ka gooda 1 table spoon.


Directions : * sab se pehle tama ajzaa ko aik bowl mein daal kar mix kar len.

* Ab face ki cleansing karen aur yeh crub face (chehra) aur neck pe mal len.

* Achi tarha halke hathon se is paste ka massage karen.

* Hathon ki harkat oper se niche ki janib honi chahiye.

* Jab paste dry ho jae to neem garam pani se dho len.

* Behtareen nataiyj hasil karne ke liye cleansing aur facial mask lagan eke bad is aamezey se scrubing karen.

Aloe Vera Body Lotion


Ingredients : pise hue almond 1 tea spoon, Aloe vera ka gooda 1 bowl, Coconut oil 1/3 bowl, almond oil ¾ bowl, base wax ( shehad ke chatte ka mom ) ¾ ohz, essential oil 1 ya ½ tea spoon, Vitamin E oil ( capsule se nikaal len ) 1 tea spoon.

Directions : * Pise hue almonds, aloe vera ka gooda aur vitamin E ko blend mein achi tarha mix kar len.

* Coconut oil aur base wax ko half minute ke liye microwave mein garam karen phir baqi ajzaa ke sath mila len.

* Is mixture ko 10 second ke liye dobara garam karen ta key eh achi tarha mil jae.

* ab is mixture ko almon oil mein mila len aur agar zarorat mehsoos ho to dobara garam kar len. Is aamezey ko aik bar phir blender mein mix kar len. Is cream ki rangat white ho jaegi.

* Cream ko blender mein rehne den aur is mein essential oil bhi shamil kar len, jo he yeh mayonnaise jaisi thick ho jae blender band kar den.

* Cream ko kisi bhi jar mein nikal len. Ise fridge mein bhi rakh sakte hain. Behtareen body lotion tayyar hai.
Aloe Vera Skin Toner : Aik cotton pad ko aloe vera ke goodey mein bhigo kar face par mal len. Yeh jild ke masamaat ka gher zarori roghan batadreej kam karta hai. Yeh behtareen natural toner hai. Normal aur oily skin ke liye mufeed hai. Hassas skin ki soorat mein mutawazi miqdar mein pani mila len.

Aloe Vera Mask


Ingredients : Rose essential oil 1 drop, Aloe vera ka gooda 3 table spoon, Lavender oil 1 drop.

Directions : Tamam ajzaa ko achi tarha mix kar ke face aur neck par laga len. Kuch deyr bad face dho len. Yeh mask garmi ki hiddat kam karta hai. Lehaza garmi ke dino mein week mein aik baris ka use zaroor karen. Yeh jildi zod hisi ke liye bhi maussir hai.

Aloe Vera Diet


Yeh karishmati plant bohat si khusosiyat ka malik hai. Maghrabi mumalik mein is ka gooda aur is ka juice diet ke liye istemal kiya jata hai. Ise fat burn plant yani chiknai jalane wala plant bhi kehte hai. Stomach ki bemariyon khas kar intestines ke masaiyl ke liye bohat mufeed hai. Zeyl mein kuch tarakeeb batai ja rahi hain, jinhe aap bhi aazma sakte hain. Lekin yaad rahe ke kabhi bhi aloe vera ke plant se juice khud kasheed na karen, bal ke market mein dastiyab tin pack juice khareden.

Aloe Vera and Carrot Juice


Ingredients : Aloe vera ka juice 2 table spoon, Carrot 2 adad darmiyani, honey 1 table spoon.


Recipe : Carrots ko peel off kar ke wash kar len. In ke juice nikaal len. Ab is juice mein aloe vera ka juice aur honey mila len. Lejiye aap ka juice tayyar hai. Ise aap roz marra diet mein shamil kar sakti hain. Yeh vitamin A aur deegar zarori ghizaeyat se bharpor drink hai.

Aloe Vera Salad Dressing


Ingredients : Mint leaves ½ bowl, laal mirch ½ adad, lehsun 1 jawa, Aloe vera juice 2 table spoon, salt hasb e zarorat, black pepper hasb e zarorat.

Recipe : Tamam ajzaa ko blend mein daal kar achi tarha paste banal en. Is paste ko bottle mein rakh kar fridge mein rakh den. Ab jab bhi salad banae is dressing ki zra si miqdar shamil kar len.
To kya khayal hai ??? Aloe vera ke itne fawaiyd jaan kar is sehat bakhsh shifai plant ko ghar mein na uga len aur is ki besh baha khusosiyat se faiyda hasil karen.


         Benefits of Aloe Vera In English 

Aloe Vera is very well known to be beneficial for human health and our body strength. It is full of nutrition having valuable ingredients.


  • A latest research in London proves that Aloe Vera is very accommodating to reduce cholesterol level. Its juice contains the key constituents which help to lose your weight fast.

  • Aloe Vera is advantageous to strengthen the digestive and immune system of human body.

  • It contains a number of vitamins including folic acid, vitamins B1, B2, B6, vitamins A, C & E.

  • Aloe Vera plants have vitamins B12 which attest very useful for brain and immune system.

  • Aloe Vera also contains minerals including calcium, magnesium, zinc, chromium, sodium, iron and potassium; moreover, it also includes amino acid and fanatic acid which makes powerful your digestive system.

  • Aloe Vera is considered to be based on gelatin like sea foods, chi seeds which assist improving the resistance power of your body and boost your stamina.

  • Aloe Vera is very supportive to exclude irregular discharges from human body.

  • Aloe Vera has magical effects against many diseases. It soothes the internal organs of human body.

Aloe Vera juice is very commonly prepared and abundantly used in America and Holland. According to experts it is beneficial for burnt skin and Chernobyl
According to history, aloe Vera usage is very ancient and had started since Egypt civilization. Their physicians demonstrate aloe Vera benefits and attest it as a very powerful and magically fruitful plant. Many people use it for skin diseases especially for sun burn. Moreover, Aloe Vera is used for Arthritis, body diseases, for immune system, digestive system, and for the glowing and brightness of face skin.