Sunday, 8 December 2013

Care Of Hair In Urdu || Balon Ki Hifazat In Urdu || Hair Care Tips In Urdu || Hair Care Tips For Women In Urdu ||

 Care Of Hair In Urdu || Balon Ki Hifazat In Urdu || Hair Care Tips In Urdu || Hair Care Tips For Women In Urdu ||

Care of Hair In English( Balon Ki Hifazat )

Hair is a very natural part of our body. Hair is also a part of our beauty. If our hair is long, healthy, silky and shiny. So we are looking very beautiful. We can use hometips for our hairs treatment. We should use oil twice in a week. In this page you will read Balon Ki Hifazat ( Care of Hair ) in Urdu and Roman Hindi.
A woman can never be counted pretty without long and beautiful hair, as hair is normally known as women’s ornament. Following the hair care tips that are provided in this article, women can exude a charming and a luring personality with strong, shining and healthy hair. As we take too much care of our skin, our dresses and our overall outlook, in the same way it is compulsory to take good care of our hair as they enhance beauty and elegance. In this ever-developing era, modern researches have brought about a revolutionary change in hair sciences. Along with these changes, science has also introduced new and modified techniques about how to make your hair beautiful and healthier than ever before. Certain tips about hair care according to their types are discussed in detail for further assistance.
Hair are of different kinds and you need to take care of them according to their condition. Oily hair do not only eliminate the charm from the face but the person herself falls prey to dissatisfaction from her looks. You should take an examination for oily hair and take necessary measures for taking care of it.
 For participating in different occasions and parties, you have to bring natural attraction and charm in your hair. Use the products of reputable companies for bringing that shine in them. Some head care powders are also available in the market for this purpose. Do not rely on inexpensive products as they can severely damage your hair and are harmful for conditioning of your hair.
 A time tested home remedy involving lemon is very useful for bringing natural shine in your hair. Prepare a mixture of lemon juice with equal amount of vinegar in a clean bowl, massage your hair and scalp with it. Repeat the method once in a week. You will feel the difference in the condition of your hair in a very short time.
 Before washing your hair with shampoo, brush them well because your hair will become straight and your skin will also develop the ability to absorb proteins. Use costly conditioners, jells and hair creams on your hair because these things take good care of your hair.
 Your diet also counts very much for the health of hair. Try to use 30 grams fish three times in a month. Apples, oranges, spinach have moderate amounts of vitamins and using them, you will never face hair fall or hair loss.
Cutting and setting of your hair also matters a lot. Having split ends is one of the most common issues with hair. The reason for such condition of hair involves scalp dryness, taking a bath in swimming pools for long hours, combing hair with brush roles, back combing and less usage of quality oil on hair. For getting rid of such hair, you should burn the edges of such hair or go to a hair salon and have your hair ends cut and managed. 

Care Of Hair In Urdu || Balon Ki Hifazat In Urdu

 
 

Balon Ki Hifazat In Urdu

Hair cosmetic ke hawale se balon ki hifazat ke naye andaz. Cosmetic industry ki tez raftar taraqqi ne make up ke andaaz he nahi badle bal ke balon ki hifazat ke liye makhsoos masnoaat aur unhe sajane sanwarne ke tariqe tak badal dale hain. Balon ke masaiyl mein in ka girna, jharhna, totna, balon ki khushki, do monhe baal, rangat mand parh jana aur nashownuma ruk jana shamil hain. Jin par ab ba aasani qaboo paya ja sakta hai.

Pakistani khawateen mein balon ko rangne ka rujhan kafi tezi se barh raha hai, taqreeban har umar ki khuwateen apne balon ke qudrati rang ko tabdeel karna chahti hain. Mashoor-o-maroof filmi shakhsiyaton ke balon ke rang aur style is zaman mein aeham kirdar ada karte hain. Beauty parlor mein bhi aese poster lagae jate hain, ta ke aane wali khuwateen Facination ka shikar ho kar parlors ki chandi kar jaen. Chemical ke zariye jinhe balon mein rangne mein istemal kiya jata hai. Intehai muzir sehat kemiyai murakkabat ka aameza hote hain. Khas taur par jild par manfi asrat murattab karte hain.

Mehndi ek qudrati dye hai, magar is ke istemal se balon mein rokhapan aur khushki ki shikayat bhi ki jati hain. Is ki wajah ye hai ke hamare han amooman dabbon mein pack aur khuli mehndi jis mein chemicals ki wafir miqdaar shamil ki jati hai. Barhe zauq-o-shauq se khareed lati hain aur laga leti hain. Ye mehndi kimiyai ajzaa se bharpor hoti hai. Is ka rang der pa rakhne ke liye zod asar ajzaa bhi milae jate hain. Yani mehndi ki qudrati taseer bilkul khatam kar ke use bhi masnooi hair dye bana diya gaya hai. Chonke balon ko rangna ab zaroorat se ziyada fashion ban gaya hai to dye balon ki hifazat ke liye cosmetic industry ne masnoaat ki barhi range mutarif karwai hai. Lekin qadre mehngi hone ki wajah se yeh aam tabqe ki pohanch se door hai, dye kiye hue balon ki dekh bhal ke liye mundarja zel chand tips behtreen nataiyj faraham kar sakte hain.

Oil Treatment


Color kiye hue balon ko ibteda he se tawajja ki zaroorat hoti hai. Dye karwane ke agle din se balon mein neem garam oil ( badam, zeytoon, nariyal ya sarson ) ko chandiya ya sar ki khal mein ungliyon ke poron ki madad se ahista ahista lagaen. Taqreeban 15 minute massage ke bad garam pani mein towel bhigo kar nichorh len, phir us towel ko balon mein is tarha lapeten ke dono kaan aur peyshani ke itraaf se bhi baal dhak jaen. 20 minute bad towel balon mein se hata kar kisi meyari shampoo jo range hue balon ke liye yani makhsoos noiyat ka ho, is se baal dho kar usi brand ka conditioner lagaen. Phir thori der bad hair wash kar lein. Ab balon ko sokhne dein. Is amal ko har dosre din 15 din tak dhoraen. Phir hafte mein do baar dhoraen. Range hue balon ki khobsurti mazeed nikhar jaegi.

Egg Treatment


Balon ki lambaai aur hajam ki munasbat se aik ya zaiyd egg ki zardi phent kar balon ki jarhon mein lagaen. Aadhe ghante bad shampoo se baal dho kar conditioner lagaen. Ye amal hafte mein do baar karen. Magar yaad rahe ke pehle din oil treatment ki jae aur dosre din egg treatment ke liye makhsoos kar diya jae.

Protien Treatment

Egg se tayyar shuda mayonise protein ka zakheera hai. Hair dye ki wajah khushk, rookhey, be jaan balon ke liye protein treatment moassir ilaaj hai. Capsules aur creams ki shakal mein balon ko khas muddat tak protein pohchana hai. Jis se balon ki nashownuma barhti hai aur in ke deegar masiyl bhi qaboo kiye ja sakte hain. Lekin protein treatment qadre mehngi hone ke baiys har kisi ki dastaras mein nahi aa sakti, lehaza ghar bethe is treatment se faida hasil karne ke liye mayonise se istaqadah kiya jata hai. Is ke liye ap ko bas itna karna hoga ke hafte mein do baar balon ki lambai aur hajam ke lihaz se in ki jarhon mein mayonise se massage karen aur ek ghante bad dye kiye gae balon ke makhsoos shampoo se dho kar conditioner lagaen.

Jaw Aar Shehad Se Treatment

Balon ko rangne se pehle munasib yehi hota hai ke aik hafte pehle un ki oiling par tawajja di jae aur sath aesi treatment kar li jaen jo unhe chemicals ke war ko sehne ke liye dhaal ban saken. Half cup jaw ko raat neem garam pani mein bhigo den. Subha use pani se chan ke alehda kar len. Jhilke alag ho jarn to thek warna jhilkon samet grind kar len. Ab is paste mein do table spoon shehad ( honey ) ka mila den. Is aameze ko kuch der ke liye fridge mein rakh den. Balon mein agar oil laga hua hai to ye lagane se pehle balon ko shampoo se dho len. Is ke bad jab nam reh jaen to ye aameza balon ki jarhon mein halke hath se massage kar len. Aik khule mou ke bartan mein pani garam karen. 10 minute massage ke bad balon ko niche ki taraf latka kar let jae aur garam pani wale bartan ko balon ke niche rakh len. Baal pani mein na jaen, kam az kam 10 inch ka fasla rakhen. Balon ko steam dene ke dauran aameze se massage bhi musalsal karna hai. Taqreeban 10 minute tak steam ke sath massage ko jari rakhe. Phir balon ko pehle achi tarha garam pani se dhoe qk jaw aur shehad dono mein les hota hai, lehaza ye balon par chipak jata hai. Is liye garam pani se pehle saaf kiya jata hai, jab sara aameza nikal jae, phir thande pani se dhoe. Is tarha sir ki khal bhi khushk nahi hogi aur baal chamakdar aur sehatmand lagenge. Jis brand ka shampoo use karen usi ka conditioner use karen.

Eggs Benefits In Urdu || Egg ke Faide in urdu || Egg Khane Ke Faide || How To Store Eggs Long Term

Eggs Benefits In Urdu || Egg ke Faide in urdu || Egg Khane Ke Faide || How To Store Eggs Long Term
                                                Egg

Egg is a food of breakfast mostly. It can take with yolk; it is not an enemy of Heart. Egg is also use indifferent things, cuisines, sweet dishes, baking items etc. It can take as a fry, omelet and boil form. 60 gram egg has 30 – 35 gm Omega 3, 800 – 900 gm Omega 6, 0 – 10 mg DHA, 220 – 250 mg Cholesterol, 0.5 -08 mg Vitamin E and 2.2 – 2.5 gm Saturated fatty acid. It has Colene, leutin, protein, vitamin B – 12, phosphorus and Riboflavin. If you want to reduce your weight, so take two eggs daily in the breakfast. Egg has Decosahexaenric acid (DHA), which is polyunsaturated fatty acid; it has contact with the group of Omega 3. Please first take advice to your Doctor then use any tips. In this page, you can see the information and benefits of Egg In Urdu (Ande Ke Faide) In Hindi . 
How to Store Eggs Long Term In English
Egg yolks and whole eggs store significant amount of proteins, vitamins and minerals. Eggs are best to promote healthy hair & nails because of their sulphur content. Moreover, the authors concluded that consumption of eggs for lunch has a stronger effect on safety, than other typically consumed lunches and could present a beneficial component of a diet aimed at controlling weight. Here Below are some useful tips on How to Store Eggs long term in Urdu Language. 
 How to Store Eggs Long Term In URDU
                                                Benefits Of Eggs In Urdu

Ande Ke Faide (Anda Khane Ke Fayde)

Eggs Image
Anda (Egg) aur egg se bani huye mukhtalif chezen. Ande (eggs) ko fry karein, omelet ki shakal dain ya sirf Anda boil kar ke khayein, har lihaz se is ka taste change hota hai aur ghizaeyat mein bharpor hota hai. Nashte ke saath he egg ka zehan mein aana koi baedaz e fitrat baat nahi kyun ke anda (egg ) ke andar maujood vitamins, iodine aur protein ne is ko aik aesi ghiza bana diya hai jo ke masrofiyat se bharpor din ke liye aik bohat acha aur sehatmand aaghaz se sakti hai.
Egg ke andar maujood tamam tar ghizaai faide ke bawajood guzishta 2 dehaiyon se egg ko cholesterol ki maujodgi ne is ke istemal ko khas taur par 40 years se ziyada umer ke afraad ke liye mashkook qarar diya tha. Experts aur Doctors heart attck ke khadshey ke pesh e nazar apne patients ko is ke use mein aehtiyat baratne ki advice dete the. Lekin Arizona University ki Doctor Wanda aur in ki team ne 25 years research ke bad in khadshat ko rad kar diya hai. Doctor Wanda ke mutabiq egg mein bohat se ghizaai ajzaa paey jate hain. Is ke ilawa is mein Colene, Leutine, aala darjey ke protein, vitamin B – 12, phosphorus aur riboflavin ki makhsoos miqdar bhi paai jati hai.
Arizona University ki is research ke mutabiq egg mein maujood cholesterol ghizaai cholesterol ke zamney mein aata hai. Jo ke heart ki sharyano ki mazboti aur lachak ke liye zarori hai. Kisi bhi ghiza mein maujood saturated chiknai darasal sehat ke liye muzir sabit ho sakti hai. Jo ke blood mein maujood cholesterol ke tanasub ko barhati hai, jab ke egg ka istemal aap ke HDL yani ache cholesterol ko barhata hai.
Egg nutrition centre ki 30 years ki research ke bad yeh haqiqat samne aai hai ke egg aur heart diseases mein koi talluq nahi paya jata. Experts ke mutabiq kae dosri wajohaat bhi heart attack ka sabab banti hain. Jis mein sab se aeham khandan mein is bemari ka pehle se maujood hona, tarz e khuraak aur rehan sehan, mautapa aur diabetes shamil hain.
1999 – 2000 mein health and nutrition examination survey ( NHANES ) ki report ke mutabiq daily aik egg khane wale afraad mein heart diseases peyda hone ke imkanaat sirf 1 % hain. Is tudy ke dauran experts ne egg khane walon aur deegar ghizaeyn istemal karne wale afraad ke HDL acha cholesterol aur LDL bura cholesterol ke tanasub mein koi farq nahi paya. Aaye egg mein maujood ghizaai ajzaa ke insane jism par mukhtalif hazraat ka aik jaiyza lete hain.
1- Eggs For Breast Cancer : Egg ki yolk mein maujood Colene naami ansar khawateen (women) mein breast cancer ke imkanaat ko kam karne mein madad deta hai. 2008 mein shaey hone wali aik report ke mutabiq wo khawateen (women) jo aik hafte (one week) mein taqriban 6 eggs khati hain, un Khawateen (women) mein cancer ke imkanaat 44 % kam paye gaye. Jism mein Colene ki maujodgi blood vessels ki bemari ke khilaf aur Alzheimer’s mein bhi mufeed paai gai hai. Egg yolk mein maujood Leutin aur Zeaxanthi 2 aise anti oxidant hain jo ke basarat aur aankhon ki sehat ke liye bohat faiydemand samjhe jate hain. Leutin ki wajah se cataracts motia ke khilaf madafat paida hoti hai.
2- Eggs Benefits For Weight Loss: Weight kam karne ke khuwahish mand hazraat ki madad egg bhi kar sakte hain. Bio medical research centre Loziana America ki aik research ke mutabiq 2 eggs daily nashte mein khana taqriban 65 % ziyada tezi se weight kam karne mein muaawin sabit hota hai. Kyun ke egg mein maujood ala qisam ke protein khane wale ko timaniyat bakhshti hain aur dair se hazam hone ki wajah se aap gher zarori chezen kha kar zaiyd hararon se bach sakte hain. Egg mein maujood protein taqriban 8 qisam ke amino acid ki wajah se ziyada sehat bakhsh bhi hoti hain. Kyun ke wo bohat aasani se juzo badan banti hain.
3- Eggs Benefits Of Eating : Egg mein aik nihayat he mufeed ghizaai juz DHA paya jata hai aur omega 3 group se talluq rakhta hai. Omega 3 aur is ke fawaiyd par hone wali research ke mutabiq yeh juz insane sehat ke liye intehai zarori hai. Lekin insane jism ke andar az khud peyda nahi hota. Omega 3 ki zarorat fresh water ki fish egg aur baaz plants maslan canola aur soya bean waghera se pori ki ja sakti hai. Omega 3 DHA ke deegar fawaiyd darj zeyl hain. DHA omega 3 blood vessels mein lachak peyda kar ke dauran e khoon ke blood ko behtar batata hai. Jis se stroke aur blood thick hone ke khatraat se bacha sakta hai.
4- Benefits Of Omega3 Eggs: Egg mein Omega 3 cholesterol level ko mamool ki satah par rakhne mein madad deta hai aur blood pressure ko control rakhta hai.
5- Eggs Benefits For Body: Eggs qabal az waqt paidaiysh se rokta aur aankhon aur dimagh ke banne ke amal ko taqwiyat deta hai. Egg mein maujood aala paye jane ke ghizaai ajzaa aur vitamins insani jild (Skin) ki khobsurti (beauty) ko qaiym rakhne mein madad dete hain. Is ke ilawa is mein maujood protein exercise ke baad juzoo badan ho kar azlaat ko mazboti bakhshte hain. Exercise karne ke forum baad sakht boil (egg ) Ande khane se jism (body) mein protein ki fori zarorat ko ba ahsan pora karte hain.

Egg Allergy

Ghabraeye nahi yaqinan baligh afraad eggs se allergy ka shikar nahi hote, lekin yeh bhi aik haqiqat hai ke bohat se sher khuwar bachon ko eggs se allergy ya hasasiyat ho sakti hai, bal ke yeh hasasiyat bache ki umer ke pehle 12 months ke dauran us waqt shuru ho jati hai, jab bache ko pehli dafaa egg ka use karwaya jae. Is liye experts atfaal kam az kam pehle 9 months tak sher khuwar bachon ko ehh istemal na karne ki advice dete hain.
Allergy ke alamaat mein eeg khan eke forum bad mou ke bahar ke hisse par surkhi, jism par mukhtalif size ke dhabbon ya resh ka namodaar hona, cheenken aana, aankhon se pani behna waghera shamil hain. Baaz auqat ziyada sakht radd e amal ke taur par bachon mein diarrhea bhi ho sakta hai. Agar yeh alamaat namodar ho to egg ka use band kar ke tibbi mahireen se rujoo karen.
Amoman is tarha ke bachon mein 5 se 7 saal tak ki umer mein yeh shikayat khatam ho jati hai aur wo normal bachon ki tarha Ande ke fayde se lutf andoze ho sakte hain. Lekin bazz auqat agarcha yeh tanasub bohat he kam hai. Pori zindagi is se parhez karna parhta hai.
Aam taur par bachon ko egg ki safedi se allergy hoti hai kyun ke is mein maujood protein hasasiyat peyda kar sakti hai. Is qisam ki Soortehal mein parents ko na sirf egg bal ke egg se bani hui deeegar ashiya msalan cake, biscuit and pudding waghera ke istemal mein boaht aehtiyat baratni chahiye.
Allergy ke khatrey se qataa nazar egg bachon ke liye bhi intehai faiydemand ghiza hai aur bache ki pasand ke mutabiq kisi bhi shakal mein in ko daily nashte mein aik ya 2 egg khilana din ka aik acha aaghaz de sakta hai.
Question : Egg Kaun se behtar hain ?
Answer: Aaj kal ghizai ashiya research ke bad nat nae aur behtar ghizaai tanasub se samne laai ja rahi hain. Organic and inorganic ghizaaon ka farq bhi samne aa raha hai. In organic ghizaaon ko ghizaeyat aur sehat ke aitebar se ziyada behtar qarar diya jata hai. Kyun ke yeh masnooi aur chemically khuraak ke bajae qudrati tariqon se peyda ki jati hain, lekin yeh bhi haqiqat hai ke qeematan is qisam ki ghizaeyn dosron se ziyada mehangi hoti hain.
Egg yaqinan dil ka dushman nahi bal ke dost ghizaaon mein shamil kiya ja sakta hai. Is ko apni khuraak mein shamil kijiye, magar sehatbakhsh tariqon se.

Honey Benefits In Urdu || Shehad K Fawaid In Urdu || How To Store Honey After Opening

Honey Benefits In Urdu || Shehad K Fawaid In Urdu || How To Store Honey After Opening
 

Honey (Shehad)

Honey is a sweet food made by bees using nectar from flowers. Clover and orange blossoms, even cactus and bamboo are the source of the nectar from which bees make honey. Honey a complete meal and a complete cure. A very few people know that how much Allah make honey complete, honey is a cure for many disease. In this page, you can find Honey Benefits In Urdu ( Shahad Ke Faide,Fayde, In Urdu) and Roman Hindi.

Honey Benefits In Urdu ( Shahad Ke Faide, Fayde,In Urdu) 

Shahad (Honey) Se Insane zindagi ko sehat mand aur tandrust banaya ja sakta hai. Jab koi bacha duniya mein aata hai to ise sab se phele Shehad (Honey) chataya jata hai, aesa kyun hai. Ye bilkul aese hai jese aik nanhi konpal aur beej ko naram khad aur tazah pani ki zarorat hoti hai. Kam log ye baat jante hain ke Allah ne shehad ko kitna mukamal banaya hai. Shahad (Honey) angina amraz ka ilaj hai aur apni jagah aik mukamal ghiza. Ye alag baat hai ke is girawat zadah mashre mein jahan aur chizon mein bhi milawat hoi wahan asli shehad (honey) bhi bohat kam datiyab hai. Ye qudrat ka kamal nahi to kia hai ke pholon ka ras aur shehad ki makhiyan is ki memar hain. Ye credit un ko jata hai ke in ke amtizaj se aik aesi nemat wajod mein aai jis ne bare bare amraz aur pareshaniyon se insan ko nijat dela di.aaye dekhiye ke Khuda wand Taa'la ki is besh baha nemat ke peche kitne asrar poshidah hain.
Shehad tayar karne wali makhi hazaron pholon ka ras e kar sirf aik qatrah tayar karti hai, pholon ka ras makhi ke meda mein ja kar chemical process se guzar kar chate mein jama kia jata hai ye shehad ka zakhirah khurak ki kimiyabi ke dor mein makhi ke kaam aata hai. Kalis shehad ka hosol joye sheer lane se kam nahi, bazaron mein farukht hone wala shehad, shehad nahi hota balke gur aur chini ka aesa amezah hota hai jis mein chand qatre shehad ke shamil kar leye jate hain aur ye sheerah mukhtalif naamon se shehad ke naam par farukht hota hai. Kaha jata hai ke asli shehad ka aik qatrah hi jism o jan ko muatar kar deta hai aur roh mein balidgi ka ehsas hota hai. Wo chate jo phalon ke baghat ke andar hote hain un ka shehad sab se behtar hota hai. Baz log naqli shehad tayar karne ke leye gur ka shera phela dete hain makhi is ko chos kar chate ko bhar deti hai aesa shehad zaiqe mein kamtar hota hai. Shehad jis qadar porana hota hai usi qadar mufeed bhi hota hai. Taseer ke lehaz se shehad garam hai is leye is ko aik muqarara miqdar mein istemal karna chaheye.
Shahad dodh mein mila kar agar pe liya jaye to jism ko taqwiyat milti hai is ke sath hi sath qalb ki qowat ke liye aksir hai. Jigar ki kamzori dor karne mein shehad ka koi sani nahi, masla khansi ka ho, gale ke amraz ka, sene par namoniye ke asar ka ye nazla zokam ka shehad (honey) har jagah kargar hai. Porani khansi ke leye atba ka khena hai ke agar is mein chighoza barik pes kar mila liya jaye to barson porani khansi khatam ho jati hai. Gale ki kharash aur dokhan ki surat mein shehad mein gilisrin aur lemo ka ras mila kar istemal karna chaheye aur agar is ameze mein adrak ka ras bhi shail kar leya jaye to ye fori asar karta hai, gurdon ki pthri ki shakal mein zeton ke teel ko shehad mein mila kr istemal karne se pathri nikal jati hai. Har khane ke bad aik chamcha shehad ka badhazmi dor karta hai humare han bisyar khuri aur bad parhezi aam hai, aam tor par log is ke tadaruk ke leye 7up, churan ya hazme ki goli kha lete hain jab ke shehad ka aik chamcha 2 glass pani mein hal kar ke pene se meda ki garmi se nijat mumkin hai. Daimi qaz se hamesha ke leye chutkara hasil karne ke leye har roz nahar mun 2 glass tazah pani mein 3 chamche shehad shamil karne se sirf 2 hafte ke andar is taqlif dah marz se hamesha ke leye nijat mil sakti hai. Chote bache ke peat mein dard ho to ise arq e gulab, arq e sonf aur arq e podina mein hum wazan shehad mila kar pelaein chand hi minutes mein dard mein aram ajaye ga. Is ke elawa shehad aanton ke har qisim ke zakham aur qolinj mein heratangez faidah karta hai.
Humare han joron ka dard aam hota ja raha hai khas to r par khawaten hadiyon ke bhorbhore pan ka shikar hai. Har roz chai ka aik chamcha shehad istemal karne se joron ke dard mein ap khasa afaqa mehsos karein gay. Shehad (honey) ka leap larkiyon ki jild aur pear nikharne ke leye aik muasar tonic se kam nahi job ache kamzor hun aur un ki nashonuma un ki umar ke mutabiq na ho rahi ho agar nem garam dodh mein desi anda phent kar is mein 2 chamche shehad (Honey) ke shamil kar ke rozana istemal karwaya jaye to wo tezi se sehat mand ho jaye gay. Atba ke mutabiq 100 gram shehad ke andar 320 harare hote hain is lehaz se shehad tamam phalon, sabziyon aur har qisim ke gosht se ziyadah taqat bakhsh tonic hai. Shehad duniya ke har marz hata ke sugar k mareez ko khilaya ja sakta hai. Dimaghi kaam karne wale logon ke leye shehad aik nimat se kam nahi isi tarah bakhuwabi yak am nend aane ki shakal mien nem garam dodh mein is ko shamil kar ke pene se qodrati nend aajati hai.

 

isabgol benefits in urdu || isabgol ka chilka in urdu || isabgol benefits weight loss in urdu

isabgol benefits in urdu || isabgol ka chilka in urdu || isabgol benefits weight loss in urdu


Kamar Ke Dard ka Desi Ilaj || Back Pain Treatment In Urdu

Kamar Ke Dard ka Desi Ilaj || Back Pain Treatment In Urdu 
 



Backache is a common problem now a day. If you fell backache suddenly then it has many reasons as you did a work that you are not able to do or that work is little difficult for you or you did that work with a wrong method. If you suddenly fell backache then do not just lay down do some exercise or have a massage of ice cubes. Many exercises are explained in this article. If you have backache then first try these exercises at home if you do not fell better then go to your doctor, may be it is not the regular pain. In this page, you will read Kamar ka dard, back pain treatment In Urdu, Kamar ke dard ka desi ilaj, kamar dard ka totka in Urdu and Roman Hindi. 

                    Kamar Ka Dard (Back Pain In Urdu)


Kamar ka dard (backache) aik aam bemari hai. Mazman dard (chronic pain) kamar to taweel mudat tak rehta hai aur aik pechida mamla hai. Lekin sadeed dard mein chand gharelo totke azma kar afaqay ki surat paida ki jasakti hai. Haad dard e kamar achanak aur sadeed hota hai. Kamar ka dard (waist Pain) amoman kisi aise kaam ke bayis hota hai jise karne ki sakat hum mein nahi hoti aur humme isse nahi karna chahiye. Ya phir iss kaam ko ghalat tareeke se karne ke bayis ye ho sakta hai iss tarah kabhi mouch aajati hai, kabhi pathey (muscle) khich jate hain aur kabhi dabao parta hai aur sadeed dard shuro ho jata hai jo kaye din tak jari rehtaha. Kamar ke dard se chutkara pane ke liye mukhtalif tareeke aazmaye jasakte hain.
Aik kheyal ye hai ke iss purane mashware per amal na kiya jaye jiss mein kamar ke dard ki surat mein pehle khoob aur mukammal aaram ke liye khaha jata tha. America mein jadeed tehqeeq se ye baat samne aaye hai ke kamar ke dard ke mareez warzish (Exercise) se jald behtar mehsoos karte hain

                              Back Pain Treatment In Urdu


Kamar Ke Dard ka Desi Ilaj


1- Shedeed dard ki shurat mein baraf (Ice) se takoor ki jaye to kamar ke pathon (muscles) par acha asar parta hai. Agar ho sake to kisi se madad layligiye aur baraf (ice ) ki theli se dard ki jagha malis karayie. Ye amal 7 se 8 minutes jari rahe aur har chad ghante baad aik do rooz tak jari rahe.

2- Aik do roze baraf se takoor ke baad dard ki jaga ko garmi pohchana shuru kar de jeye. Aasa karein ke aik toleya (towel) lay kar isse khoob garam pani mein bhiguyein. Phir isse nichur lein. Pait ke bal lat jayein aur takhnon aur kolhou (hips) ke neeche takye (Pillow) rakh lein. Toliyon (towel) ko phela kar dard wali jaga par rakhein. Towel ke ird gird bareek plastic ki sheet lapat dein aur iss par garam pani ki botal rakh dein. Uper halka sa wazan bhi rakhein take kuch dabao bhi pare. Neem garmi se pathon (muscles) ka ainthan kam ho gi.

3- Agar app ko ye andaza na ho ke dard ke liye baraf behtar hai ya garmi to phir dono tareeke ikhtayar karein. Aadha ghanta baraf ki takoor aur phir atni hi dair garmi. Ye amal dohrate rahein.

4- Dukhti huye kamar phelane se bhi afaqa hota hai. Khun ke phathon ko sakoon milta hai. Kamar ke nichle hise mein dard mein afaqay ke liye lait jayein aur aaram se apne ghutne (Knee) upper sene (chest) ki taraf layein. Jab ghutne (knee) wahan pahuch jayein to un par thora sa dabao dalein phir inhain pehlayein aur dhila chor dein ye amal dohrayein.

5- Suba (morning) bistar se uthte waqt kaas ahtiyat karein aahista aahista uthein aur dhere dhere phichal ka bed ke sire tak phochein. Phir kamar ko zara sakt kar ke pehle pair bhistar( bed) se niche utarein

6- Kamar (waist) mein dard ho to warzish (Exercise) ka kheyal bhi nahi aata. Hanlake ye fayedamand ho sakti hai. Aksar Doctors kehte hain ke baraf aur garmi se ilaj ke sath sath agar halki phulki warzish (Exercise) kar li jaye to dard mein afaqa ho sakta hai. Iss silsile mein kaye warzishein tajweez ki jati hain. Lakin app kisi Doctor ke zair e ilaj hain to warzish shuru karne se pehle us se mashwara karna chahiye.

7- Zameen par chit latiye. Ghutno ko kham dejiye. Dono hathon ko cross kar ke kandhon (Shoulder) par rakh lein phir sar aur kandhon (Shoulder) ko zameen se upar uthayein jiss kadar utha sakein lakin kamar ka nichla hisa zameen par hi tika rahe. Iss position mein lamha bhar rahein aur ye amal phir dhohrayein.

8- Aundhe laitiye apna bayan haat (left hand) aur dahini tang (right leg) upper uthayein. Lamha bhar ye position rakhein. Ab dahina haat ( Right hand) aur bayein tang ( left leg) upper uthayein. Gaise app swimming kar rahe hain. Iss warzis se kamar ka nichla hissa mazboot hoga.

9- Garam pani ke talab mein tairna behtareen warzish ( Exercise) hai. Agar nichli kamar ka dard haad ya shadeed ho to bhi ye warzish achi hai.

10- Wo cycle jo apni jaga khari rehti hai aur warzish (Exercise cycle) banayi jati hai, iss par sawari bhi achi warzish hai. Lakin sheet par sedha baitha jaye aur aage ki taraf na ghuka jaye. Agar zarorat ho to sheet aur handle bar ko iss tarah uoncha niche kar lein ke aage na ghukna pare.

Kamar Dard Ka Gharelu Ilaj, Kamar Dard Ka Totka,


Zarori nahi hai ke kamar mein dard hote hi app Doctors se ruju karein. Khuch tawaquf karein aur inn gharilu totko ko azmayein jin ke bare mein upper bataya gaya hai. Lakin agar darja zail kafiyat ho to Doctors se zaror mashwara karein.

1- Agar dard musalsal ho aur bardta jaye. Ya 6 hafte afaqa na ho to.

2- Aage ghukne mein bahot ziada dikat ho.

3- Kamar ka dard (waist pain) pehli bar 20 saal ki umar se pehle ya bachpan ki umar ke baad ho.

4- Kamar ka dard (waist pain) kisi shadeed chot maslan road accident ke baad ho.

5- Dard rerdh (back pain) ke satoon ke upper hi hise mein ho.

6- Agar aise admi ko ye dard ho jo sartan ka mareez ( cancer patients) ho ya reh chuka ho,

7- Agar koye aadmi

8- Agar tabiyat aksar kharab rehti ho ya haal hi mein wazan kam huwa ho.
asabi nizam mein koye masla ho ya reerd ke satoon mein nukhs ho.

Orat Ki Kamzori In Urdu

                           Orat Ki Kamzori In Urdu

Importance of Gold In Women's Life

Gold is shiny, elegant and too much expensive metal. It is use everyday in life. It is use for marriage. Gold occupies a special place in human mind. Gold has use to symbolize power and purity of beauty. Gold as a jewellery is tradition. In this page you will read a article woman’s weakness gold ( gold aurat ki kamzori) in Urdu and Roman Hindi.

Gold Aurat Ki Kamzori


Sona Mehnga Hone Ke Baad Bhi No.1


Aurat ki kamzori kya hai? ye to sab hi jante hain ke gold aurat ki kamzori hai. Gold aurat ki kamzori apni jagah, magar yeh haqiqat hai ke gold rates barabar barh rahi hai aur aalmi satah par is ki qeemat mein record izafa ho chuka hai. Agarcha qeematon mein izafa hamare haan aam baat hai.
Haqiqat yeh hai ke rasm-o-riwaj aur numaiysh-o-namood ke shikanje mein jakrhe huye zindagi ke tamam shobon se talluq rakhne wali khuwateen shadi biyah ke mawaqey par apni bisat se barh kar gold ke zewraat khareedne aur is ki zebaiysh ke sath sath apni shan-o-shaukat aur imarat ki dhaak bithana chahti hain. Namood-o-numaiysh ka yeh izhaar sirf gold ke zewraat tak mehdood nahi hota, bal ke jehaz se lekar anwaa-o-iqsaam ke khano, aatish bazi, lighting, movie tak ja pohanchta hai. Jis se safed posh khandanon ki mushkilaat mein izafa hota hai.

Chand roz qabal hum ne Hydri Market mein aik shop par do tabqey ki khuwateen ko dekha, jo aik 20, 22 sala larhki ko mukhtalif qisam ke zewraat pehna kar aaiynon mein mukhtalif zawiyon se jaiyza le rahin thi. Yaqeenan shadi ke liye zewraat pasand kiye ja rahe the aur larhki ke chehre aur pasand ke mutabiq zewraat ka intekhab kiya ja raha tha. Aik khatoon jawan ke sath thin magar bazahir bezaar nazar aa rahin thi. Main ne unhe mukhtib kiya to wo be dili se muskura di aur boli main to larhki ki Maa ke sath aai hoon. Jo meri cousin hai aur us ki beti ki chand din bad shadi hone wali hai. Main in ke sath design pasand karne aai hoon.

Gold ki qeematen to aasmaan se baten kar rahi hain aur mujhe sun sun kar tension ho rahi hai. Larki ke walid Saudi Arabia mein hain, khoob paisa bhijwa rahi hain. Magar hum dono Miyan Biwi yahan mulazmat karne ke bawajood apni Betiyon ko zewraat nahi dila sakte. Sirf aik beti ke liye gold ka ek halka phulka sa set, do choriyan, chain ya tops banwaen hain to lakhon rupey kharch ho gaye honge, qadre tawaqquf ke bad khatoon ne phir kaha ke mehngai ke roz afzon izafey ne jahan zindagi ki roz marra zarooriyat ke husool ne mushkilaat ko barha diya hai, wahin ghareeb khandan ke liye beti ki shadi mazeed masla ban gai hai. Taleem dilwa den to jehaz ke liye paise nahi bachte, jis se unki umren nikal jati hain. Is dauran khatoon ki cousin ne unhe mukhatib kiya to wo udhar mutawajjah ho gaye jahan ameer baap ki beti zewraat pasand kar chuki thin aur Maa dukandaar ke sath peycheeda hisab kitab mein in khatoon ko shamil karna chah rahi thi, jin ka zehan apne he masaiyl mein uljha huwa tha.

Gold ke zewraat ki khareedari shadi biyah ki khareedari ka aeham juz tasawwur kiya jata hai aur sirf mutawassit tabqa he nahi ghareeb halqe mein bhi gold ke zewraat ko status symbol samjha jata hai. Bal ke is ke wazan se larki ki qadardani ka bhi andaza kiya jata hai. Waldain bhi jehaz aur dosre lawazmaat ke sath beti ko gold se ziyada se ziyada zewraat dene ki koshish karte hain. Ta ke us ki susral aur aehl-e-duniya ki nazar mein un ki naak unchi rahe, khuwa is ke awaz wo lakhon ke maqrooz he kyun na ho jaen.

Shadi biyah aur is se mutalliqa taqreebat mein sirf dulhan he ke liye zewraat ki aehmiyat nahi hoti hai, bal ke shadi mein shareek har aurat khuwa us ka talluq kisi umar ya kisi tabqe se ho, gold ke zewraat ka istemaal zaroor karti hain iss liye ke gold aurat ki kamzori hai. Bal ke aese mauqey par to aurtain naam-o-namood ke liye bhari zewraat banwati hain aur pehle se banwae gae zewraat ko bhi shadi ki un taqreebat mein badal kar pehanti hain ta ke azeez-o-aqarib par apni dhaak bitha saken.

Aik aam andaze ke mutabiq ammer khandanon mein zewraat bajat 25 se 30 lakh rupey se bhi barh jata hai. Jab ke kam aamdani wale gharanon mein kam az kam 80se 1 lakh ki maliyat ke zewraat khareede jate hain. Aehl-e-ilm ka to yeh kehna hai ke aurat ka asal zewar sharm-o-haya aur taleem hai, magar in zewraat ke sath sath khuwateen ne gold, silver and diamond pearl ke barhe zewraat mein bhi kashish mehsoos ki hai aur haya ki tarha in ko apni shakhsiyat ka aeham hissa samjha hai. Duniya bhar ki auratain herat angez taur par zewraat mein ziyada dilchaspi leti hain, albatta maghrabi khuwateen ke zewraat halke phulke hote hain.

Gold taqreeban har aurat ki kamzori hai, is ki khobsurti aur dilkashi ko nazar andaaz karna mumkin nahi, gold par jab roshni parhti hai to is se ek makhsoos qisam ke sonehri rang ki aankhon ko chundhiya dene wali roshni uthti hai jo khuwateen ke dil mein ja kar utar jati hai aur wo is ke tilesim ki aseer ho jati hain. Pehle zamane mein lig apni beti ya bahu ko ziyada se ziyada gold is liye dete the, ta ke wo aaiynda zindagi mein in ke kaam aa sake, ye husool itna mushkil bhi na tha ke us waqt gold chand sau rupey tola tha, magar aaj ke daur mein jab kitchen ka kharch he bamushkil pora hota ho, to kae hazar rupey tola gold khareedna bohat mushkil hai, magar taajjub hai ke is qadardani ke bawajood bhi hamari khuwateen gold khareedne ke liye sargira’an hain.

Shahrukh Khan Interview In Urdu

                       Shahrukh Khan Interview In Urdu
                                     Shahrukh Khan

 Shahrukh Khan was born on 2 November 1965 in New Delhi India. He is 47 years old. Shahrukh Khan is an Indian actor who is working in Bollywood film industry. He is also known as SRK and King Khan. Shahrukh Khan married with Gauri Chibber and he has one Daughter Suhana Khan and two Sons Aryan Khan and Abram Khan. Shahrukh has an elder Sister Shehnaz. His wife is Hindu and Shahrukh Khan believes in Islam strongly, but he respects both religions. Shahrukh started his career from theatre in 1980 and then he made his film debut Deewana in 1992. He is also the owner of Indian Premier League Cricket team Kolkata Night Riders.


Shahrukh Khan worked as a Television presenter in the Game show Kaun Banega Crorepati in 2007. His new film is “Chennai Express” with Deepika Padukone released on Eid ul Fitr. It is action movie. His upcoming film is Happy New Year, directed by Farah Khan. It will be release on 2014. There is a long list of Shahrukh Khan’s hit films. Not only in acting but also he successful in advertisement and in production . Here we are presenting you an interview with Shahrukh Khan. Let us see what he is saying about his new film "Chennai Express" and what Shahrukh’s planes about his life. Shahrukh Khan Interview In Urdu and Roman Hindi.

Shahrukh Khan Interview In Urdu


Shahrukh Khan Photo

Taj e Bartaniya ke bare mein mashor tha ke is ke saltanat ka suraj kabhi ghurob nahi hota. Kich aesa hi mamla Bollywood ke King Khan ka bhi hai jis ki shorat ka suraj aaj bhi aab o tab ke sath pori duniya ko munawer keye hoye hai. Kamyabiyon ka aik tawel silsila is ke sath sath chal raha hai. Aik taraf films super hit ho rahi hain aur dosri taraf IPL mein is ki team ki karkrdagi par shaiqeen ki nazarein markoz rehti hain.

Shahrukh Khan ishteharat (Advertisement) ki nagri ka betaj badshah hai aur arab pati kharab pati apne ghar ki shadiyon mein Shahrukh ka dance dekhne ke mutamani hote hain. Shahrukh Khan ki nazar mein ye sab us ki rozi roti hai lekin film mein wo peson ke liye nahi balke apne jazbe ki taskeen ke liye kaam nkarta hai. Shyad bohat kam log is falsafe ko samajh sakein lekin Shahrukh Khan ke nazdek yehi sab kuch us ke leye aham hai. Us ki ghuzishta releasefilm “Jab tak hai jan” super hit sabit hoi the aur ab Eid ul Fitar par aik aur dhamaka khez film "Chennai Express" release hoi hai jis se industry aur tread ke logon ko bari umeedein wabasta hain. Isi silsile mein Shahrukh Khan se aik interview kiya gaya jo pesh e nazar hai.

Shahrukh Khan Interview


Question: Chennai Express ko tumhara dream project kaha jaraha hai, kiya tum bhi yehi samajhte ho?

Shahrukh Khan: Mere liye har film hi dream project hoti hai chahe wo zati production ho ye dosre makers ki koi film. Pori mehnat aur imandari se apna kaam karta huin. Jis kaam ke leye pese leye hain us mein beimani kese kar sakta huin.rizq e halal par mera iman hai aur marte dam tak is par amal karta rahun ga.

Question: Director Rohit Shethi samet sab hi logon ne is film se bohat ziyadh tawaqoat wabasta kar lein hain aur is ke block buster hone ki pesh goyi ki ja rahi hai. Tum is bare mein kitne pur umeed ho?

Shahrukh Khan: Ye baat to te hai ke agar Chennai Express fail hoi to Rohit Shethi ki nahi balke Shahrukh Khan ki nakami ho gi. Wo to bari asani se keh sakta hai ke us ne dosre logon ke sath kai hit films bana lein hain lekin Shahrukh Khan ne nakam bana deya. Mujhe is film mein kaam kar ke khushi hai aue samajhta huin ke wo bhi mere sath kaam kar ke khush howa ho ga. Wo janta hai ke main is film mein nai baat le kar aon ga. Main khud bhi kafi arsa se aik comedy film ke bare mein soch raha tha. Mujhe yaqeen hai ke Dipeeka Padokon ne bhi is film mein acha kaam kiya hai.

Question: Tum ne hamesah mashhor film directors ya apne doston ke sath kaam kiya hai. Ye batao ke naye film makers tum tak rasai kis tarah hasil kar sakte hain?

Shahrukh Khan: Main ne apnea p ko kaam ke zarye sabit kiya hai tabhi Yesh Chopra aur bare banners ki nazar mein asaka lehazah naye directors ko bhi esa hi karna chahiye. Sawal ye nahi ke wo hit films banate hain balke mere leye ziyadah ahem ye hai ke wo kis tarah films banate hain. Kundan Shah ke sath kaam karne ka khayal le kar Mumbai aya tha aur us mein kamyab ho gaya. 6 saal tak mehnat se kaam kiya aur us ke bad Subhash Ghai ne phone kar ke mujhe bolaya, Three Idiot aur Munna Bhai ki bhi offer hoi lekin kisi wajha se main ye films na kar saka, isi tarah Anurag Baso mujhe No smoking mein cast karna chah rahe the lekin date problem ki wajah se mujhe mazrat karni pari.

Question: Kiya ye sach hai ke Rakesh Om Parkash Mehra ne tumhe “Bhag Malkha Bhag” mein kaam karne ki offer ki thi?

Shahrukh Khan: Ji han unhon ne mujhe is film mein kaam karne ki pesh kash ki thi, kash main ye film kar sakta. Malkha Singh humare mulk ke namwar Athlete hain,is ke bare mein bohat kuch janta huin lekin ye film mere leye nahi thi. Acha howa ke is mein kaam nahi kiya warna is film ka impact khayam ho jata. Mujhe kushi hai ke Farhan Akhtar ne Bhag Malkha Bagh mein kaam kiya. Aesi film ke leye bohat ziyadah kholos aur waqt darker hota hai. Farhan Akhtar jismani tor par bhi Malkha Singh jesa lagta hai.

Question: Tum ne ab tak jitni films ki hain un mein se sab se ziyadah konsi pasand hai?

Shahrukh Khan: Sab se ziyadah Don, My name is Khan aur Chak de mein apni performance achi lagi.

Question: Kiya tum ne Chennai Express ki shooting ke doran tamil zaban ke kuch alfaz sekhe?

Shahrukh Khan: Ji han wilan ne kuch kaha to main ne bhi josh mein akar tamil mein mukalma bool deya, ye bilkul riwayati punch dialog jesa tha. Is se phele jab Hai Ram mein Amjad Ali Khan ka roll paly kar raha tha to mujhe tamil ki aik line bolna thi, is ke leye main ne 43 retake karwaein,kaml ne kaha jitna waqat chiye le lo lekin dialog ki adaigi perfect honi chahiye. Sirf mere, Dipeeka aur Niketan ke elwa Chennai Express ke set par 99 fisad log tamil bolte the. Is leye kabhi kabhi un se baat karne mein dushwari hoti thi lekim behar haal ye aik khushgawar tajurba tha.

Question: Aik ghalat propaganda kiya ja raha hai ke tum ne is film mein tamil boolne walon ka mazak uraya hai?

Shahrukh Khan: Ye bohat afsosnak baat hai ke log aesa soch rahe hain agar aap logon ke kuch logon ke sath taluqat ache hain to un se mazaq kiya ja sakta hai, mere bache bhi ye baat jante hain ke main adha South Indian hun, mery maa Haiderabadi aur walid Peshawar ke rehne wale the. Is industry mein 22 saal nahi guzra sakta tha agar logon ka mazaq urane ke irade se films banata.

Question: Aaj kal log porani ye South Indian films ka remake banana dilchspi le rahe hain, tum abhi tak is janib mutawajah nahi hoye?

Shahrukh Khan: Main samejhta hon ke South Indian Cinema Bollywood ko lead kar raha hai aur waha ki kai kahaniyon ko yaha dhoraya ja raha hai, agar ap mujh se pochein ke main kis film ke remake ka hisa bana chaun ga to mera jawab ho ga ke Kamal ki “Apu Raja” aur Rajni Kant ki “Robot”. Main remake banana walon ki bohat izzat karta hun lekin mere khayal mein unhen original films ke script lekhne ki koshish karne chahiye. Alsar logon se kheta hun ke wo naya script den, us par film banon ga.

Question: Chaiya Chaiya ke gane ke bad train ke sath tumhari chemistry kafi mazbot ho gayi is ki koi khas wajah?

Shahrukh Khan: Mera taluq aik middle class family se hai jo hamesh train mein safar karti thi aur mujhe bhi wo din bohat yaad aate hain. Chaiya Chaiya mere dil se bohat qarib tha aur hum log Chennai Express mein bhi aik train dance ke bare mein soch rahe the lekimain ne mana kar deya kyun ke janta tha ke ye Chaiya Chaiya hi ki naqal ho gi aur logon ko is mein koi nayi baat nazar nahi aye gi.

Question: Amitabh Bachan aur Anupm Kher ne Hollywood ka darwazah dekh leya hai, tumhar bhi aesa koi plane hai?

Shahrukh Khan: Mujhe Hollywood se ziyadah yahan mil raha hai. Kamyabi aur nakami sath sath chalti rehti hai lekin main yahan ke logon ka shukar guzar hun jinhon ne mujhe itni izzat aur muhabt di aur is position mein hun ke aaindah 20 saal tak films banata rahun. Mujhe Hollywood ke alawa Germany, Peru aur Morocco se bhi offers aeinhain lekin main sirf Indian film banane ko tarjhi donga.

Question: Tum kahan se inspiration lete ho?

Shahrukh Khan: Mera khayal hai ke jo kuch dekhta hun aur jo mujhe tajurbat hoye hain unhi se mutasir ho kar apni films mein porte karta hun. Yahan tak ke Chak De ka character bhi apne aik teacher se mutasir ho kar kiya.

Question: Kiya tum ne 50 saal ki umar ko pohanchne ke bad apni planning ki hai?

Shahrukh Khan: Main ne kabhi ye plane nahi kiya ke 20, 40 ya 50 saal ki umar ko pohanchne ke bad main kiya karon ga. 2013 main 47 ka ho raha hun lekin mere nazdik apni umar ke bare mein sochna mehaz aik himaqat hai. Us waqat bohat ghusa ata hai jab film ki shoting ke doran ye pocha jaye ke kiya main amarat se chalang laga sakta hun aur mera jawab hata hai ke kyun nahi. Meri nazar mein umar ki koi hasiyat nahi.

Question: Kiya tumhe apne carrier mein kabhi jid o jehad ka mun dekhna para?

Shahrukh Khan: Mumbai aur film industry hamesha se mujh par meharban rahi hai aur muhje apne carrier ke silsile mein koi jid o jehad nahi karna pari. Main industry ke logon ka shukarghuzar hun jinhon ne mujhe khole dil aur bazoon ke sath qabol kiya. Is lehaz se apnea p ko bohat khush qismat samajhta hun.

Question: Tun is waqat apne carrier ke urooj par ho, beshumar kamyab films ke elawa tumhari guzishta releas “Jab tak hai jan” super hit rahi aur ane wali film Chennai Express se bhi logon ko bari tawaqoat qabasta hain,tumhari team IPL jeet chuki aur ishteharat ki duniya par bhi tumhara raj hai ab kiya karna chate ho?

Shahrukh Khan: Bohat se log mujh se is tarah ke sawalat karte hain ke mujhe aur kiya chahiye. Agar main is ke jawab mein apni khuhishat ka izhar karon to is ka ye matlab ho ga ke in khuhahishat ki takmil ke bad mera safar khatam ho jana chahiye aur is baat ki kia guaranty hai ke main mazid koi khuahish bayan nahi karon ga. Mujhe zindagi mein sab kuch mil gaya dolat, shuhrat aur izzat. Usolan to mujhe retire ho jana chahiye tha lekin kiya aesa karna aqalmandi hoti. Main to un logon ko bhi bewaqof samajhta hun jo Tandulkar ki retirement ke bare mein fikar mand hain agar wo jazbe mein aakar waqat se pehle retire ho jata to 100 centuries ka ezaz kese hasil kar pata? Agar wo kheelta rahe to mumkin hai ke is tadad mein khatir khua izafa ho jaye. Hum usse 100 centuries tak kyun mehdod karna chahte hain. Mera taluq Dehli ke aik mutawasit tabqe se hai jab Mumbai aaya to meri jeeb mein sirf 1500 rupe the aur samajh raha tha ke 100,000 rupe kama lon to bohat bara admi ban jaon ga, phir jab kaam shuru kiya to malom hoa ke pese aur kaam ki koi sarhad nahi. Mera yaqeen hai ke zati kamyabiyon ke aage pesa koi ahmiyat nhai rakhta. Agar is pehlo ko zahan mein rakha jaye to main apne dees ka sab se bara sarmayadar hun, bazahir madi nuqta e nazar se aik star jesi zindagi ghuzar arha hun lekin main ne kabhi apni rooh ko nahi becha.

Question: Jab ye kehte ho ke rooh ko nahi becha to is se tumhara kiya matlab hota hai?

Shahrukh Khan: Main ne aaj tak koi aesa kaam nahi kiya jo nahi karna chahta tha.peson ke leye kabhi kisi film mein kaam nahi kiya, ye baat fakhariya nahi keh raha lekin main ne kabhi kisi se kaam nahi manga. Ye zaroor howa ke agar kisi producer ya director ki film achi lagi to usse mubarakbad ka phone kar dala lekin kabhi roll nahi manga.

Question: Kiya tum samajhte ho ke is mein koi borai hai?

Shahrukh Khan: Baat sahi ya ghalat ki nahi hai. Main ne nujawan adakaraon se bohat kuch sekha hai aur ye dekh kar kushi toi hai ke wo kis tarah apna carrier bana rahi hain. Hamesha apni heroines se bohat qareb raha hun lekin kabhi un se carrier ke bare mein ghuftughu nahi ki. Madhuri, Juhi aur Kajol apne apne raste par chalte rahe. Ye nahi keh sakta ke is se acha natija nikla ya bora albata aaj ki larkiyon ki bohat tarif karon ga ke unhon ne duniya mein hone wali tabdiliyon ko qabol kar leya hai. Haumare darmiyan kai martab is mozu par bahas hoi hai ke films mein kaam mangana sahi hai ya ghalat, agar main ne aesa nahi kiya to is ka ye matlab nahi ke is mein koi borai hai. Mera kehne ka matlab sirf ye tha ke peson ki khatir apnirooh aur jazbon konahi bech sakta jab ke dosri janib peson ke leye har wo istahar kar leta hun jis ki mujhe offer ho. Main ne apne manager se keh rakha tha ke kuch logon ke sath kisi qemat par bhi kaam nahi karon ga chahe wo mujhe kitni hi bari raqam ki offer kyun ka karein. Main ne kabhi aese logon ke sath kaam nahi kiya ji mujhe mumainna kar sakein. Lehaza sedhi se baat hai ke us shakhs film nahi kar sakta jo mujhe pasand nahi.

Question: kiya is rawaye ke sabab tum ne apnea p ko mehdod nahi kar leya?
Shahrukh Khan: Ji nahi kabhi films ko apni rozi roti ka zarya nahi samjha, mujhe shadi mein dance kar ke thekh thakh pese mil jate hain,is mein koi shram mehsos nahi hoti balke main ne to aik shadi mein dance karne ke bad mezban se yahan tak keh deya ke jab is jore ke han phela bacha ho to mujhe zaroor dance ke leye bolana. Ye mera job hai aur is ke leye main logon se khe sakta hun yehi sorat e haal isteharat ki bhi hai lekin ab films mein kaam karna mera job nahi raha. Ap ko job aur kaam mein faraq mehsos karna chahiye. Jis tarah main apne bachon ko kush karne ke leye kaam karta hun ya apni beti ko lekhne mein madad deta hun to ye kaam dil se hota hai isi tarah films mein bhi dil se kaam kiya jata hai ise mulazmat nahi samajhni chahiye.