Shahrukh Khan Interview In Urdu
Shahrukh Khan
Shahrukh Khan was born on 2 November 1965 in New
Delhi India. He is 47 years old. Shahrukh Khan is an Indian actor who is
working in Bollywood film industry. He is also known as SRK and King
Khan. Shahrukh Khan married with Gauri Chibber and he has one Daughter
Suhana Khan and two Sons Aryan Khan and Abram Khan. Shahrukh has an
elder Sister Shehnaz. His wife is Hindu and Shahrukh Khan believes in
Islam strongly, but he respects both religions. Shahrukh started his
career from theatre in 1980 and then he made his film debut Deewana in
1992. He is also the owner of Indian Premier League Cricket team Kolkata
Night Riders.
Shahrukh Khan worked as a Television
presenter in the Game show Kaun Banega Crorepati in 2007. His new film
is “Chennai Express” with Deepika Padukone released on Eid ul Fitr. It
is action movie. His upcoming film is Happy New Year, directed by Farah
Khan. It will be release on 2014. There is a long list of Shahrukh
Khan’s hit films. Not only in acting but also he successful in
advertisement and in production . Here we are presenting you an
interview with Shahrukh Khan. Let us see what he is saying about his new
film "Chennai Express" and what Shahrukh’s planes about his life.
Shahrukh Khan Interview In Urdu and Roman Hindi.
Shahrukh Khan Interview In Urdu
Taj e Bartaniya ke bare mein
mashor tha ke is ke saltanat ka suraj kabhi ghurob nahi hota. Kich aesa
hi mamla Bollywood ke King Khan ka bhi hai jis ki shorat ka suraj aaj
bhi aab o tab ke sath pori duniya ko munawer keye hoye hai. Kamyabiyon
ka aik tawel silsila is ke sath sath chal raha hai. Aik taraf films
super hit ho rahi hain aur dosri taraf IPL mein is ki team ki karkrdagi
par shaiqeen ki nazarein markoz rehti hain.
Shahrukh Khan ishteharat (Advertisement) ki
nagri ka betaj badshah hai aur arab pati kharab pati apne ghar ki
shadiyon mein Shahrukh ka dance dekhne ke mutamani hote hain. Shahrukh
Khan ki nazar mein ye sab us ki rozi roti hai lekin film mein wo peson
ke liye nahi balke apne jazbe ki taskeen ke liye kaam nkarta hai. Shyad
bohat kam log is falsafe ko samajh sakein lekin Shahrukh Khan ke nazdek
yehi sab kuch us ke leye aham hai. Us ki ghuzishta releasefilm “Jab tak
hai jan” super hit sabit hoi the aur ab Eid ul Fitar par aik aur dhamaka
khez film "Chennai Express" release hoi hai jis se industry aur tread
ke logon ko bari umeedein wabasta hain. Isi silsile mein Shahrukh Khan
se aik interview kiya gaya jo pesh e nazar hai.
Shahrukh Khan Interview
Question: Chennai Express ko tumhara dream project kaha jaraha hai, kiya tum bhi yehi samajhte ho?
Shahrukh Khan:
Mere liye har film hi dream project hoti hai chahe wo zati production
ho ye dosre makers ki koi film. Pori mehnat aur imandari se apna kaam
karta huin. Jis kaam ke leye pese leye hain us mein beimani kese kar
sakta huin.rizq e halal par mera iman hai aur marte dam tak is par amal
karta rahun ga.
Question: Director Rohit
Shethi samet sab hi logon ne is film se bohat ziyadh tawaqoat wabasta
kar lein hain aur is ke block buster hone ki pesh goyi ki ja rahi hai.
Tum is bare mein kitne pur umeed ho?
Shahrukh Khan: Ye
baat to te hai ke agar Chennai Express fail hoi to Rohit Shethi ki nahi
balke Shahrukh Khan ki nakami ho gi. Wo to bari asani se keh sakta hai
ke us ne dosre logon ke sath kai hit films bana lein hain lekin Shahrukh
Khan ne nakam bana deya. Mujhe is film mein kaam kar ke khushi hai aue
samajhta huin ke wo bhi mere sath kaam kar ke khush howa ho ga. Wo
janta hai ke main is film mein nai baat le kar aon ga. Main khud bhi
kafi arsa se aik comedy film ke bare mein soch raha tha. Mujhe yaqeen
hai ke Dipeeka Padokon ne bhi is film mein acha kaam kiya hai.
Question: Tum
ne hamesah mashhor film directors ya apne doston ke sath kaam kiya hai.
Ye batao ke naye film makers tum tak rasai kis tarah hasil kar sakte
hain?
Shahrukh Khan: Main
ne apnea p ko kaam ke zarye sabit kiya hai tabhi Yesh Chopra aur bare
banners ki nazar mein asaka lehazah naye directors ko bhi esa hi karna
chahiye. Sawal ye nahi ke wo hit films banate hain balke mere leye
ziyadah ahem ye hai ke wo kis tarah films banate hain. Kundan Shah ke
sath kaam karne ka khayal le kar Mumbai aya tha aur us mein kamyab ho
gaya. 6 saal tak mehnat se kaam kiya aur us ke bad Subhash Ghai ne phone
kar ke mujhe bolaya, Three Idiot aur Munna Bhai ki bhi offer hoi lekin
kisi wajha se main ye films na kar saka, isi tarah Anurag Baso mujhe No
smoking mein cast karna chah rahe the lekin date problem ki wajah se
mujhe mazrat karni pari.
Question: Kiya ye sach hai ke Rakesh Om Parkash Mehra ne tumhe “Bhag Malkha Bhag” mein kaam karne ki offer ki thi?
Shahrukh Khan:
Ji han unhon ne mujhe is film mein kaam karne ki pesh kash ki thi, kash
main ye film kar sakta. Malkha Singh humare mulk ke namwar Athlete
hain,is ke bare mein bohat kuch janta huin lekin ye film mere leye nahi
thi. Acha howa ke is mein kaam nahi kiya warna is film ka impact khayam
ho jata. Mujhe kushi hai ke Farhan Akhtar ne Bhag Malkha Bagh mein kaam
kiya. Aesi film ke leye bohat ziyadah kholos aur waqt darker hota hai.
Farhan Akhtar jismani tor par bhi Malkha Singh jesa lagta hai.
Question: Tum ne ab tak jitni films ki hain un mein se sab se ziyadah konsi pasand hai?
Shahrukh Khan: Sab se ziyadah Don, My name is Khan aur Chak de mein apni performance achi lagi.
Question: Kiya tum ne Chennai Express ki shooting ke doran tamil zaban ke kuch alfaz sekhe?
Shahrukh Khan: Ji
han wilan ne kuch kaha to main ne bhi josh mein akar tamil mein mukalma
bool deya, ye bilkul riwayati punch dialog jesa tha. Is se phele jab
Hai Ram mein Amjad Ali Khan ka roll paly kar raha tha to mujhe tamil ki
aik line bolna thi, is ke leye main ne 43 retake karwaein,kaml ne kaha
jitna waqat chiye le lo lekin dialog ki adaigi perfect honi chahiye.
Sirf mere, Dipeeka aur Niketan ke elwa Chennai Express ke set par 99
fisad log tamil bolte the. Is leye kabhi kabhi un se baat karne mein
dushwari hoti thi lekim behar haal ye aik khushgawar tajurba tha.
Question: Aik ghalat propaganda kiya ja raha hai ke tum ne is film mein tamil boolne walon ka mazak uraya hai?
Shahrukh Khan:
Ye bohat afsosnak baat hai ke log aesa soch rahe hain agar aap logon ke
kuch logon ke sath taluqat ache hain to un se mazaq kiya ja sakta hai,
mere bache bhi ye baat jante hain ke main adha South Indian hun, mery
maa Haiderabadi aur walid Peshawar ke rehne wale the. Is industry mein
22 saal nahi guzra sakta tha agar logon ka mazaq urane ke irade se films
banata.
Question: Aaj kal log porani ye South Indian films ka remake banana dilchspi le rahe hain, tum abhi tak is janib mutawajah nahi hoye?
Shahrukh Khan: Main
samejhta hon ke South Indian Cinema Bollywood ko lead kar raha hai aur
waha ki kai kahaniyon ko yaha dhoraya ja raha hai, agar ap mujh se
pochein ke main kis film ke remake ka hisa bana chaun ga to mera jawab
ho ga ke Kamal ki “Apu Raja” aur Rajni Kant ki “Robot”. Main remake
banana walon ki bohat izzat karta hun lekin mere khayal mein unhen
original films ke script lekhne ki koshish karne chahiye. Alsar logon se
kheta hun ke wo naya script den, us par film banon ga.
Question: Chaiya Chaiya ke gane ke bad train ke sath tumhari chemistry kafi mazbot ho gayi is ki koi khas wajah?
Shahrukh Khan: Mera
taluq aik middle class family se hai jo hamesh train mein safar karti
thi aur mujhe bhi wo din bohat yaad aate hain. Chaiya Chaiya mere dil se
bohat qarib tha aur hum log Chennai Express mein bhi aik train dance ke
bare mein soch rahe the lekimain ne mana kar deya kyun ke janta tha ke
ye Chaiya Chaiya hi ki naqal ho gi aur logon ko is mein koi nayi baat
nazar nahi aye gi.
Question: Amitabh Bachan aur Anupm Kher ne Hollywood ka darwazah dekh leya hai, tumhar bhi aesa koi plane hai?
Shahrukh Khan:
Mujhe Hollywood se ziyadah yahan mil raha hai. Kamyabi aur nakami sath
sath chalti rehti hai lekin main yahan ke logon ka shukar guzar hun
jinhon ne mujhe itni izzat aur muhabt di aur is position mein hun ke
aaindah 20 saal tak films banata rahun. Mujhe Hollywood ke alawa
Germany, Peru aur Morocco se bhi offers aeinhain lekin main sirf Indian
film banane ko tarjhi donga.
Question: Tum kahan se inspiration lete ho?
Shahrukh Khan: Mera
khayal hai ke jo kuch dekhta hun aur jo mujhe tajurbat hoye hain unhi
se mutasir ho kar apni films mein porte karta hun. Yahan tak ke Chak De
ka character bhi apne aik teacher se mutasir ho kar kiya.
Question: Kiya tum ne 50 saal ki umar ko pohanchne ke bad apni planning ki hai?
Shahrukh Khan:
Main ne kabhi ye plane nahi kiya ke 20, 40 ya 50 saal ki umar ko
pohanchne ke bad main kiya karon ga. 2013 main 47 ka ho raha hun lekin
mere nazdik apni umar ke bare mein sochna mehaz aik himaqat hai. Us
waqat bohat ghusa ata hai jab film ki shoting ke doran ye pocha jaye ke
kiya main amarat se chalang laga sakta hun aur mera jawab hata hai ke
kyun nahi. Meri nazar mein umar ki koi hasiyat nahi.
Question: Kiya tumhe apne carrier mein kabhi jid o jehad ka mun dekhna para?
Shahrukh Khan: Mumbai
aur film industry hamesha se mujh par meharban rahi hai aur muhje apne
carrier ke silsile mein koi jid o jehad nahi karna pari. Main industry
ke logon ka shukarghuzar hun jinhon ne mujhe khole dil aur bazoon ke
sath qabol kiya. Is lehaz se apnea p ko bohat khush qismat samajhta hun.
Question: Tun
is waqat apne carrier ke urooj par ho, beshumar kamyab films ke elawa
tumhari guzishta releas “Jab tak hai jan” super hit rahi aur ane wali
film Chennai Express se bhi logon ko bari tawaqoat qabasta hain,tumhari
team IPL jeet chuki aur ishteharat ki duniya par bhi tumhara raj hai ab
kiya karna chate ho?
Shahrukh Khan: Bohat
se log mujh se is tarah ke sawalat karte hain ke mujhe aur kiya
chahiye. Agar main is ke jawab mein apni khuhishat ka izhar karon to is
ka ye matlab ho ga ke in khuhahishat ki takmil ke bad mera safar khatam
ho jana chahiye aur is baat ki kia guaranty hai ke main mazid koi
khuahish bayan nahi karon ga. Mujhe zindagi mein sab kuch mil gaya
dolat, shuhrat aur izzat. Usolan to mujhe retire ho jana chahiye tha
lekin kiya aesa karna aqalmandi hoti. Main to un logon ko bhi bewaqof
samajhta hun jo Tandulkar ki retirement ke bare mein fikar mand hain
agar wo jazbe mein aakar waqat se pehle retire ho jata to 100 centuries
ka ezaz kese hasil kar pata? Agar wo kheelta rahe to mumkin hai ke is
tadad mein khatir khua izafa ho jaye. Hum usse 100 centuries tak kyun
mehdod karna chahte hain. Mera taluq Dehli ke aik mutawasit tabqe se hai
jab Mumbai aaya to meri jeeb mein sirf 1500 rupe the aur samajh raha
tha ke 100,000 rupe kama lon to bohat bara admi ban jaon ga, phir jab
kaam shuru kiya to malom hoa ke pese aur kaam ki koi sarhad nahi. Mera
yaqeen hai ke zati kamyabiyon ke aage pesa koi ahmiyat nhai rakhta. Agar
is pehlo ko zahan mein rakha jaye to main apne dees ka sab se bara
sarmayadar hun, bazahir madi nuqta e nazar se aik star jesi zindagi
ghuzar arha hun lekin main ne kabhi apni rooh ko nahi becha.
Question: Jab ye kehte ho ke rooh ko nahi becha to is se tumhara kiya matlab hota hai?
Shahrukh Khan:
Main ne aaj tak koi aesa kaam nahi kiya jo nahi karna chahta tha.peson
ke leye kabhi kisi film mein kaam nahi kiya, ye baat fakhariya nahi keh
raha lekin main ne kabhi kisi se kaam nahi manga. Ye zaroor howa ke agar
kisi producer ya director ki film achi lagi to usse mubarakbad ka phone
kar dala lekin kabhi roll nahi manga.
Question: Kiya tum samajhte ho ke is mein koi borai hai?
Shahrukh Khan:
Baat sahi ya ghalat ki nahi hai. Main ne nujawan adakaraon se bohat
kuch sekha hai aur ye dekh kar kushi toi hai ke wo kis tarah apna
carrier bana rahi hain. Hamesha apni heroines se bohat qareb raha hun
lekin kabhi un se carrier ke bare mein ghuftughu nahi ki. Madhuri, Juhi
aur Kajol apne apne raste par chalte rahe. Ye nahi keh sakta ke is se
acha natija nikla ya bora albata aaj ki larkiyon ki bohat tarif karon ga
ke unhon ne duniya mein hone wali tabdiliyon ko qabol kar leya hai.
Haumare darmiyan kai martab is mozu par bahas hoi hai ke films mein kaam
mangana sahi hai ya ghalat, agar main ne aesa nahi kiya to is ka ye
matlab nahi ke is mein koi borai hai. Mera kehne ka matlab sirf ye tha
ke peson ki khatir apnirooh aur jazbon konahi bech sakta jab ke dosri
janib peson ke leye har wo istahar kar leta hun jis ki mujhe offer ho.
Main ne apne manager se keh rakha tha ke kuch logon ke sath kisi qemat
par bhi kaam nahi karon ga chahe wo mujhe kitni hi bari raqam ki offer
kyun ka karein. Main ne kabhi aese logon ke sath kaam nahi kiya ji mujhe
mumainna kar sakein. Lehaza sedhi se baat hai ke us shakhs film nahi
kar sakta jo mujhe pasand nahi.
Question: kiya is rawaye ke sabab tum ne apnea p ko mehdod nahi kar leya?
Shahrukh Khan:
Ji nahi kabhi films ko apni rozi roti ka zarya nahi samjha, mujhe shadi
mein dance kar ke thekh thakh pese mil jate hain,is mein koi shram
mehsos nahi hoti balke main ne to aik shadi mein dance karne ke bad
mezban se yahan tak keh deya ke jab is jore ke han phela bacha ho to
mujhe zaroor dance ke leye bolana. Ye mera job hai aur is ke leye main
logon se khe sakta hun yehi sorat e haal isteharat ki bhi hai lekin ab
films mein kaam karna mera job nahi raha. Ap ko job aur kaam mein faraq
mehsos karna chahiye. Jis tarah main apne bachon ko kush karne ke leye
kaam karta hun ya apni beti ko lekhne mein madad deta hun to ye kaam dil
se hota hai isi tarah films mein bhi dil se kaam kiya jata hai ise mulazmat nahi samajhni chahiye.