Saturday 17 January 2015

Bill Gates History In Urdu | Bill Gates Biography In Urdu | Bill Gates Life History In Urdu | History OF Bill Gates In Urdu

Bill Gates History In Urdu | Bill Gates Biography In Urdu | Bill Gates Life History In Urdu | History OF Bill Gates In Urdu
 
 Bill Gates History In Urdu
 
 
 
 
 
 
 
 

Bill Gates Biography In Urdu
 
 Bill Gates Life History In Urdu
 
 Bill Gates

William Henry "Bill" Gates III was born on 28 October 1955 in Seattle, Washington, U.S. He have two sisters, Libby Gates and Kristi Gates. His father name is William H. Gates, Sr. and mother name is Mary Maxwell Gates. Bill Gates is a big business man and owner of Microsoft. Bill introduces windows system in computer market. He will gate married in 1st January 1984 with Melinda French. They have three children, two daughters and one son, Jennifer, Phoebe and Rory. In this page we provide you life history, personal life and biography of Bill Gates in Urdu and Hindi.

Biodata:

Name: William Henry "Bill" Gates III
Personality: Business man
Born (Birthday): 28 October 1955
Birth Place: Seattle, Washington, U.S
Fields: Computer (Microsoft)
Wife Name: Melinda Gates
Children: Jennifer, Phoebe and Rory
Parents: William H. Gates, Sr., Mary Maxwell Gates

Biography:

William Henry "Bill" Gates III 28 October 1955 ko American riyasat Washington ke shehar (City) Seattle ke aik ameer khandan mein peda howe. In ki do (2) behnein bhi hein jin ka naam Libby Gates aur Kristi Gates hai. Bill Gates ke walid nami girami wakeel thein in ki waleda aik bank mein director ke tour per kaam karti thein, secondary school mein Bill Gates ka talimi record shandar tha inhein ibteda he se math’s, science aur computer se gehri dil-chaspi thi inho ne esi dour mein computer software banane ka aaghaz kar diya tha.
 Bill Gates ne 1st January 1984 ko Melinda French se shadi ki jo Bill Gates ki Microsoft company mein mulazim thien in ke 3 bache hein jin ke naam Jennifer Katharine Gates, Rory John Gates aur Phoebe Adele Gates hein. Riyasat Washington ke nehayat khobsurat elaqe mein waqea Gates ka ghar duniya ke mehnge tareen makano mein se ek hai es ki qimat 12 caror 50 lakh dollar se zyada hai aur es property per tax salana 10,00000$ lakh dollar hai. sawari ke liye Bill Gates ne 8 salay (year) purani model ki ausat darje ki 911 Porsche car rakhi hoi hai. Bill Gates ko duniya mein sab se zyada peghamat bheje jate hein.
Bill Gates ne apna pehla software 17 saal (year) ki umer mein farokht kiya jo ibtedai noeyat ka tha high school mein he in ki mulaqat apne mustaqbil ke karobari saathi Paul Ellon se ho gai thi. 1973 mein Bill Gates ne Harvard University mein dakhla le liya ta-hum in ka zyada tar waqt university ke computer center mein he guzarta tha Harvard University mein in ki dosti Steve Ballmer se hoi jo aj tak qaem hai. Steve Ballmer in dino Microsoft ke Chief Executive officer ke tour per khidmat anjam de rahe hein Harvard University mein taleem hasil karne ke doran he Bill Gates aur Paul Ellon ne software development ki jado-jehad shoru kar di thi aur bil aakhir aik contract hasil kar liya, dono doston ne university se rukhsat li aur nay project per kaam shoru kar diya. inhone software development ki es company ko Microsoft ka naam diya ye company aage chal kar duniya ki chand bari companies mein se ek bani ta-hum Bill gates aur Paul Ellon dono he apni masrofiyat ki wajha se Harvard University graduation na kar sakein al-batta yeh zaror hai ke Bill Gates ko “Software King” ban jane ke baad ab tak 3 Universities ki janib se doctorate ki aezazi degree ata ki ja chuki hai.
1980 ke ashre mein Microsoft ne DOS aur baaz dosre marwaja system ke muqable mein window ko mutarof karaya aur sirf aik dehai ke arsey mein inho ne market mein mojod degar system ko computer ki duniya se be-dkhal kar diya.
1990 mein 3.0 window ne market mein kamyabi ke nay record qaem kar diye es software ki 1 caror copies sirf 2 saal (year) mein farokht ho gai aur es ki madad se Microsoft ko market mein sab se bala-dast company ka darja mil gaya dekhte he dekhte Microsoft duniya ki sab se bari company ban gai aur es ki aamdani ne Bill Gates ko duniya ka ameer tareen admi (rich man) bana diya. unh one 2000 tak Microsoft ke Chef Executive Officer ke tour per kaam karne ke baad ye ohda Stev Ballmer ke liye khali kar diya aur woh es company ke chairman ke tour per kaam kar rahe hein.
Personal computer mein Bill Gates inqalab laey magar 1998 mein Bill Gates ke liye khatarnak sorat-e-hal saamne aai jab American hokumat ne Microsoft ke khelaf software market mein apni ajara dari qaem rakhne ke liye na-jaez hath-kande ikhtiyar karne ka muqadma daer kar diya, Bill Gates ki janib se ilzamat ki tarded ke ba-wajod jaj ne in ki company ko quwaed wa zabit ke khilaf-warzi karne ka murtakab qarar diya aur bhari jurmana bhi aaed kar diya. Riyasat hay Muttahida America ba-khelaf Microsoft muqadme ki wajha se Microsoft per ilzamat lagne lage.
15 June 2006 ko Bill Gates ne Microsoft mein apni zimadariyon se ba-tad-reej alag ho jane ka ailan kiya aur es ke liye unho ne 31 July 2008 ki hatmi tarekh the ki. In ka kehna hai ko woh roz-marrah ki zimadariyon se faraghat pane ke baad “Bill and Melinda Gates Foundation” ko zyada waqt dena chahte hein.
2004 mein 40 lakh email rozana inhein bhejien gaien. 2000 mien inho ne apni wife ke sath mil kar 29 arab dollar maliyat ke founds ki madad se “Bill and Melinda Gates foundation” qaem ki jis ke tehat woh ab tak mukhtalif kherati kaamon, falahi aur sciencey tehqeq ke liye adaron ko atyat dete rehte hein. Ye atyat majmoi tour per Bill Gates ki dolat ke 52% ke masawi hein. Ye duniya ke sab se bare budget ka rafahi adara ha. Adare se taluq rakhne wale afrad ko taleemi wazaef farahum karne, Malaria, Aids, TB aur kum ghezaiyat ke shikar bachon ke liye mukhtalif mulkon ko imdad deti hai. Es adare ko dastiyab funds 2006 mein dogne ho gaye jab duniya ke dosre ameer tareen shakhs aur Bill Gates ke azez dost Warren Buffett ne 30.7 arab Dollar ka atiya diya jo tareekh ka sab se bara atiya hai.
American jaride Time ne Bill Gates ko sab se zyada ba-asar shakhsiyat qarar diya hai esey 3 saal (year) se duniya ke sab se ameer tareen shakhs ho ne ka aezaz diya. Duniya ke ameer tareen afrad ki fehrist mein Bill Gates 1993 se sar-e-fehrist hein. Malka-e-bartania ne inhein “Honorary Knights Commander of the Order of the British Empire” ka aezaz ata kiya.
Bill Gates aur in ke rafahi adare ko 2006 mein “prince of asturias award for international cooperation” se bhi nawaza gaya.



 










No comments:

Post a Comment