Sunday 18 January 2015

Abu Rayhan Al Biruni History in Urdu | Abu Rayhan Al Biruni Biography In Urdu | Al Biruni Full History in Urdu | The Life Of Abu Rayhan Al Biruni In Urdu

Abu Rayhan Al Biruni History in Urdu | Abu Rayhan Al Biruni Biography In Urdu | Al Biruni Full History in Urdu | The Life Of Abu Rayhan Al Biruni In Urdu
 
 Abu Rayhan Al Biruni History in Urdu
 
 


Abu Rayhan Al Biruni

Abu Rayhan Al Biruni was born 5th September 973 AD in Khwarizmi. He was a great Muslim scientist, scholar and polymath. Al Biruni wrote more than 150 books on Mathematics, History, Chemistry, astronomy, chronologist, natural science and Geography etc. Al Biruni died in 13th December 1048 in Ghazni, Afghanistan. In this page you can see the information about Abu Rehan Al Biruni.

Al Biruni Biography In Urdu 

Abu Raihan Muhammed Bin Ahmad Al Biruni Almaroof Al Biruni aik aur bohat barhe mohqiq aur scientist the. Wo Khwarizmi ke mazafaat mein aik qarya, beron mein paida hue aur isi ki nisbat se Al Biruni kehlae. Al Biruni Bu Ali Sina ke hum asar the. Khwarizmi mein Al Biruni ke sar pariston yani aal e Iraq ki hukomat khatam hui to inho ne Jorgen ki janib rakht safar bandha aur wahin apni azeem kitab “ Aasar ul Baqia ” mukammal ki. Halaat sazgaar hone par Al Biruni dobara watan laute aur wahin darbar mein azeem Bu Ali Sina se mulaqat hui.
Al Biruni ne riyazi, ilm hiyat, tareekh aur geography mein aesi umdah kitabein likhen, jo ab tak parhi jati hain. In mein kitab “ Al Hind ” hai, jis mein Al Biruni ne hindoun ke mazhabi aqaiyd, in ki tareekh aur barre sagher Pak o Hind ke geographic halaat barhi research se likhe hain. Is kitab se hindoun ki tareekh se mutalliq jo malomaat hasil hoti hain, in mein bohat si malomaat aesi hain jo aur kahin se hasil nahi ho sakti. Is kitab ko likhne mein Al Biruni ne barhi mehnat ki. Hindu Bahaman apna ilm kisi dosre ko nahi sikhate the, lekin Al Biruni ne kae saal Hindustan mein reh kar Sanskrit zaban seekhi aur hindoun ke uloom mein aesi maharat paida ki ke Bahaman tajjub karne lage. Al Biruni ki aik mashoor kitab qanoon masoodi hai, jo inho ne Sultan Mehmood Ghaznavi ke ladke Sultan Masood ke naam par likhi. Yeh ilm falkiyat aur riyaz ki barhi aeham kitab hai. Is ki wajah se Al Biruni ko aik scientist aur riyazidaan samjha jata hai. Ilm hiyat o riyazi mein Al Biruni ko maharat hasil thi.
Al Biruni ne riyazi, ilm hiyat, tabiyat, tareekh, tamaddun, mazahib aalim, arziyat, chemistry aur geography waghera par 150 se zaiyd books aur maqalajaat likhe. Al Biruni ke karnamon ke pesh nazar Chand ke aik dahane ka naam Al Biruni Creator rakha gaya. Islam ke daryae rehmat ka sailab pehli saddi hijri mein wadi Batha se nikla to inho ne dekhte he dekhte lakhon murabba meel par muheet bohat se khitta hae arz ko apni lapait mein le lia. In khitton mein wast Asia ki wasee o areez sar zameen bhi thi. Islam ke warood ke bad is mardam zarkhez sir zameen mein aise aise ashaab fazal o kamal aur arbaab hunar o Danish paida hue, jin ke ilmi aur tehqeeqi kamalaat ne aik duniya ko musakhir kar liya aur aaj bhi duniya bhar ke aehle ilm o Danish in ki research aur inkehsfaat ke mutarrif aur khosha China hain. Wast Asia ke in farzandan Jaleel mein aik maroof naam Abu Rehan Mohammed Bin Ahmad Al Biruni ka hai.
Dosre uloom ke ilawa Al Biruni adbi uloom ka bhi zauq rakhte the. Yaqoot hamvi ne majam ul adbaa mein in ka isi hesiyat mein tazkira kiya hai aur likha hai ke, wo aik buland paya adeeb aur lahwi the aur in uloom mein in ki mutadid tasaneef hain, jin ko main ne khud dekha hai. Inho ne aik morakh ki hesiyat se bhi barha naam paya hai. Al Biruni ke tamam sawanah negaron ka is baat par ittefaq hai ke wo nihayat bharpor zindagi guzarte the.
Al Biruni ke ikhlaq o aadat ke barey mein tazkara nigar khamosh hain. Sirf yaqoot hamvi ne Maujam ul Adbaa mein is qadar likha hai ke in ki muaashrat pakeeza thi. In ke alfaaz be bakana hote the. Lekin afa’al pakbazana the. Al Biruni ke aqaiyd aur mashrab ke barey mein do raae hain. Aik raae to yeh hai ke in ka mazhabi rujhan islam ke thet aqaiyd ke mutabiq na tha, bal ke wo agnostic nazariya rakhte the. Al Biruni lasani the aur tarz e tehreer aur qabliyat mein apne zamane ke tamam logon se afzal the. Wo haqiqat pasand the aur har chez mein haqiqat aur sachai ke matlashi the.
Al biruin ne apne peeche tasnifaat ki aik kaseer tadad apni yadgaar chor si. Yeh tadad 200 se 300 tak hai, lekin in mein se beshtar kitabein napaid ho chuki hain aur kuch Europe aur duniya ke dosre kutub khano mein mehfooz hain. Yeh tamam kitabein Arabic aur Persian zabano mein hain. Wi Arabic aur Persian ke ilawa Sanskrit, Ibrani aur saryani zabano se bhi waqfiyat rakhte the. In ki chand maarka kitabein jo dastiyab hain ya jin ke tarjume duniya ki mukhtalif zabano mein ho chuke hain, un ke naam yeh hain.
Aasar ul baqia, yeh kitab Bharat mein print ho chuki hai.
Al qanoon al masoodi, yeh kitab daera tul ma’arif Hyderabad se 1960 mein 3 jildon mein shaey ho chuki hai.
Kitab ul faheem, yeh kitab bhi daera tul ma’arif Hyderabad se shaey ho chuki hai. Is mein Al Biruni ne dhaton ki specific gravity par research ki hai aur 18 dhaton aur jawahir ki kasafat bilkul sahi maloom ki hai.

Kitab ul Sidla, yeh kitab ilm tib par hai.
Kitab ul majmahir fil jawahir, jawahir ke khuwas ke barey mein hai.
Kitab ul hind, barko chak Pak o Hind ke hawale se yeh Al Biruni ki sab se aeham tasneef hai. Inhe in ki saleha saal ki research, siyahat aur mehnat ka nichore kehna chahiye. Is kitab ka jo Arabic zaban mein likhi gai hai, na sirf angrezi aur French zabano mein tarjuma ho chukka hai, bal ke is ka urdu tarjuma bhi 2 jildon mein shaey ho chukka hai. Is kitab ka mawad jama karne ke liye Sanskrit zaban ka seekhna nagurez tha, chunache inho ne din raat mehnat kar ke yeh zaban seekhi. Is silsile mein in ko jo mushkilat pesh aai, in ka zikar inho ne is tarah kiya hai.
Hindoun ki ilmi itabein ziyada tar nazam mein thin aur nazam ke takallufat se in ke matlab o mafhoom ko samajhna bohat mushkil tha.
Hindo apne siwa dosri qaumon ko najis samajhte the, is liye in ke sath khane peene, uthne bethne aur mail jol ke gehre talluqat qaiym karna na mumkin tha.
Mohammed Bin Qasim se le kar Mehmood Ghaznavi ke zamane tak Hindustan mein musalmano ko jo fatohaat hasil hui, un ki wajah se hindo, musalman ko apna dushman samajhte the.
Hindo apni maashrat, rasom o riwaj mein musalamano se bilkul mukhtalif the, wo musalman ki wazaa o qataa se apne bachon ko darate the aur in ko shaitan samajhte the.
Wo duniya mein Hindustan he ko wahid mulk aur hindo qaum ko duniya ki wahid qaum samajhte the aur yeh tasleem nahi karte the ke duniya mein in ke ilawa aur mulk aur qaumein bhi hain aur kisi dosri qaum ke pas bhi ilm hai.
Al Biruni ne apni siyahat ke dauran mein aisa tarz e amal ikhyteyar kiya. Sjis ki badaulat wo hindu panditon se hindo falsafa aur dosre uloom o nazariyat se aagahi hasil karne mein kamiyab ho gae. Yehi nahi bal ke hindo panditon ko inho ne mutassir kar diya, ke khud inho ne un se kae uloom mein istefada kiya aur in ko ilm ka behar zakhar ka laqab diya. Al Biruni ki raae mein hindo muaashre mein taqriban har muaamle mein to hum parasti ko barha dakhal diya. Bil khusoos apne mazhab mein inho ne aesi aesi batein shamil kar li thin, jin ko aqli tojiha karna dushwar he nahi, na mumkin hai. Nez hindu log science aur logic se kam aur wahma se ziyada kaam lete hain. Kitab ul hind mein jahan hindoun ki asal kitabon ko pesh nazar rakh kar in ke ooham o kharafaat ka pardah chaak kiya hai, wahan riyazi aur hiyat ke masaiyl par bhi sair hasil behas ki hai.inho ne apni siyahat ke dauran mein hindoun ko musalmano ke uloom o fanon se bhi waqif karwane ki bharpor koshish ki hai. Chunache inho ne baaz Arabic kitabon ka Sanskrit mein tarjuma kiya. Isi tarah musalmano ko hindoun ke uloom o fanon se waqif karwane ke liye in ki baaz kitabon ka Sanskrit se Arabic mein tarjuma kiya.
Al Biruni ne kitab ul hind mein yeh bhi bataya hai ke jis tarah Islam ne Arab mein zamana jahliyat ki buraiyon ko mitaya, usi tarah Hindustan ke jin ilaqon mein logon ne Islam qabool kiya, unho ne un butaiyon ko mitaya jo hindoun mein paai jati thi. Inho ne Hindustani hindson ki jis khobi se tashrih ki, kisi aur ne nahi ki. Shatranj ki bisaat ke 64 khano mein is tarah rakhi jane wali chez ki jo har khane mein pichle khane se dugni hoti jae. Miqdar maloom karna sakht mahaal tha. Al Biruni ne yeh miqdar maloom karne ka nihayat aasaan tariqa daryaft kiya. Is ke liye inho ne yeh mukhtasir formula banaya. 16-1 is ko solve karen to is ki yeh shakal samne aaegi.
18, 646, 744, 673, 709, 551, 619.
Yeh aik naqabil inkaar haqiqat hai ke Al Biruni tareekh aalim ki in hum geer shakhsiyaton mein se aik hain, jinho ne zindagi ka har lamha uloom o fanon ki khidmat aur asha’at mein guzara. Aalim Islam baja taur par is par fakhar kar sakte hain. 


                    Abu Rayhan Al Biruni History in English

 Al Beruni, the great master of earths, history, languages, math and palmistry was a great Muslim scientist and scholar. Biography of Abu Rehan Al Beruni is as given below. Al Beruni was born on 3 zilhaj 362 hijri, September 4 year 973. Mohammad Bin Ahmad Al Khuarzmi Al Beruni was his full name. He was born in an outside village of Geneva (Khuarzm) which was a state of central Asia. Abu Nasar Mansoor Bin Ali the son of the king of Khuarzm Ahmad Bin Mohammad’s uncle adopted Al Beruni and educated him as well. After some time when the kingdom of Iraq fell down, Al Beruni left the country and moved to the shrine of Qaboos Bin Washamgeer in the state Jarjan. He wrote his first great book while staying in Jarjan named “Asar Al Baqia” in the year 1000. When the severe situation was controlled in Khuarzm, Al Beruni returned from Jarjan and started living in the shrine of Ali Bin Mammon. He also met Bu Ali Sina there. Both were the great scholars of that time. After the death of Ali Bin Mammon, they moved to the shrine of Mmmon’s brother Abu Al Abbas Mammon in year 1009 until he was murdered in year 1016 and Mahmood Ghaznavi take over the Khuarzm to under his kingdom. After that, Al Beruni went to Hindoostan and learned their ancient knowledge, which was considered very difficult to get. He also learned the Sanskirt language of Hindoos. At this time, hindoos were on the peak of the knowledge and it was impossible to learn it but Al Beruni amazed Indians by getting their knowledge and he also translated their religious book “Bhagwat Gita” into Arabic. He also wrote a book named “Kitab Al Hind” about Hindu culture. Hindoos were impressed by the knowledge of Al Beruni and gave him the title of “Vidya Sagar” means “ocean of knowledge”. In year 1029, Al Beruni returned from Hindoostan and a year after Mahmood Ghaznavi died. Al Beruni kept related to the shrine of Ghaznavi’s son and died on Rajab 440 Hijri, September 11 year 1048

No comments:

Post a Comment