Tuesday 19 February 2013

Ptcl Evo Internet Share on Wifi

 Ptcl Evo Internet Wifi Pe Share Karain
Agar app ka pass wifi mobile , ipod , psp ya koi device hai aur app ptcl evo usb ka internet us par share karna chahtay hain to app ko sab sa pahlay aik
3g usb wifi router khareedna ho ga! Maslan ye dekhen... 

 

3g router ma app apni usb attach kar saktay hain aur yeh app ka internet wifi ka zariay share karta hai.
Jab app pahli dafa router ko chalayain ga to app ko kuch settings save karni ho gi.

username : vwireless@ptcl.com
password: ptcl
Phone : #777

bus app ko yeh router ki configuration ma save karni hain aur app wifi internet use kar sakay hain

__________________________________________________ _
Update :

Bohat sa doston ko ye post samajnay ma mushkil arahi hai . Mai kuch mazeed tafssel btata hun.

Ptcl evo usb device sa app sirf aik waqt mai aik PC par internet use kar saktain hain . Lakin agar app apna PTCL evo usb ka internet apnay mobile aur laptops waghira ka sath share karna chahtay hain , takay sari devices aik waqt ma use kar sakein to app ye wifi router ka zariay kar saktay hain . Lakin is ka liay app ko special 3g router, jis ma usb ki port hoti hai wo lena ho ga , jo market ma available hain.
3g router lena ka bad app ko is ko configure karna ho ga , aur kuch details enter karni ho gin jo main upar da chuka hun .
Us ka bad apni PTCL evo router ma insert karain aur apni sari wifi enabled devices par internet use karain.

Note: Aik aur cheez ka dhian rakhain , pahli dafa usb router ka sath use karnai sa pahlay , ptcl evo lo apnay computer par chailain aur PTCL evo ka software ki settings ma jain wahan mode ko *Only EVDO * pa karain aur settings save kardain .

Ye is liay ka 3g router sirf evdo mode ma kam kartain hain Hybrid ya X1 par kam nahi karain ga.

Umeed hai ab app logon ko samaj aa jai gi! 


No comments:

Post a Comment