Nails Care In Urdu | Nakhun Ki Hifazat | Nails Care In Urdu | Nails Tips in Urdu
Nails (Nakhun)
Nails is a very
important and sensetive part of our body. We should maintain and care
of our nails. We can take hand massage for the nails. We should take
Manicure and Padicure of our hands and Foots. If you have pain in your
nails and any other problem about nails, so you should go to the Doctor.
Then apply any treatment of nails. In this page you will read Nail Care in Urdu and Roman Hindi.
Nails Care In Urdu
Insaani jism mein do chezen sab se ziyada mazboot aur aehmiyat ki hamil
hain. Hairs aur Nails. Nails hathon ki khobsurti mein izafa karte hain
aur nails ungliyon ki shape ke mutabiq ho to nails bohat ache lagte
hain. Nails ki shaklen bohat mukhtalif hoti hain, aik nail androoni
shakal se ungli ki por tak 6 maah mein mukammal hota hai.
Nail ka zinda hissa hamesha ungliyon ke niche wala hota hai. Nakhun hamari ungliton ki tips yani por ki hifazat
karte hain aur jo hissa bahar nazar aata hai wo mard hota hai , is liye
jab hum barhe hue nails kat’te hain to taklif nahi hoti hai. Hairs aur
Nails he hamari sehat ka pata dete hain, sehatmand saaf suthre chamkeele
be daagh ache hote hain, un ki rangat gulabi hoti hai, agar Nails ke
darmiyan safed daagh peyda ho jae to ye bemari ya chot ki alamat hai. Is
ke liye Doctor se mashwara karna chahiye, waise Calcium ki kami se bhi
yeh nishan ho jate hain.
Kinds of Nails
Nails ki mundarja zel iqsaam hoti hain.
Khasta Nails, kamzor Nails, cahabae hue Nails, Bad rang Nails.
Khasta Nakhun ( Broken Nails)
Gharilo kaam kag karnay se
aksar nakhun ke kinare toot phot jate hain aur iss tara khasta hojate
hain iss ke liye zaroori hai ke nakhun mehfooze rakhne ke liye lehsan
(garlic) lagana chahiye .
Kamzor Nakhun ( Weak Nails)
Kamzor nakhun (weak nail)
patle hote hain agar inein ziyada dair tak pani mein rakha jaye to ye
naram par kar kharab ho jate hain aise nakhuno par nail hardener lagana
chahiye.
Cahabae Hue Nakhun ( Bitten Nails)
Aksar logon ko nakhuno ko
chabane ki aadat hoti hai aur zahir hai ke chabaye hoye nakhun badnuma
hote hain aise logon ke nakhuno par ghere rang ki nail polish ya phir
nail losion lagana chahiye.
Badrang Nakhun. (Fade Nails)
Baz khawateen musalsal nail
polish lagaye rakhti hain gis ki waja se inke nakhun badrang hojate
hain aur aksar bemari ke bais bhi nakhun badrang hojate hain inhain
chahiye ke nail polish se pehle base coat lagayein.
Parts of Nails
Nails ke mundarja zel hisse.
Matrix, Mantle, Nail bed, Nail Grooves, Nail Walls, Nail
Plate, Hyponychium, Cuticle, Lunula, Free Edge, Nail Growth.
Nails Growing
1-Har week nails ka average rate 0.5 se le kar 1.2 mm hota hai.
2-Nails har umar mein barhte hain, magar barhti hui umar ke sath sath nails ki umar kam ho jati hai.
3-Agar blood ki raftar ziyada hai to nails jaldi barhte hain.
4- App ki sehat ka asar aap ke nails par bhi parhta hai,
agar aap bimar hain to jild aur baalon ki tarha nails bhi asar andaz
hote hain.
Shapes of Nails
Nails ki shape ka taaluq ap
ki ungliyon ki shape ke lihaz se hota hai. Agar nails taqatwar hai to
ziyada long nails rakh sakti hain, magar nails kamzor hain to short he
rakhe, kyun ke aese nails ziyada der tak qaiym nahi reh sakte. Agar
ungli patli aur lambi hai to nails round shape mein hone chahiye. Agar
ungli choti aur moti hai to nails ka skape bezwi rakhe. Nails sqaure
shape mein bhi rakhe ja sakte hain, aese nails gharelo khatoon aram se
rakh sakti hain.
Manicure & Pedicure
*Manicure latin word hai,
jis ka matlab hai, hathon ki care. Manicure hath+on ki khobsurti mein
izafa karta hai. Maincure se hath kafi mulaiym ho jate hain. Hathon ka
meyl aur dead skin bhi saaf ho jati hai. Nails ko khobsurat banane ke
liye manicure se faiyda uthaya jata hai.
*Pedicure bhi latin word
hai, jis ka matlab hai, peron ki care. Pedicure peron ki hifazat aur
khobsurti mein izafa karta hai. Padicure se hamare peron ki thakan utar
jati hai. Chalne phirne aur dabao ki wajah se paon thak jate hain to un
ke sukoon ke liye bhi padicure karwaya jata hai. Padicure mein aerhiyon,
nails aur panjon ki safai bhi shamil hai.
Hand And Massage
Thora sa lotion len aur
hathon aur paon par laga len. Dono hathon ke thumb se massage karen.
Ungliyon ke jorhon par golaai mein massage karen. Apni ungliyon mein aik
aik kar kar har ungli ko daba kar nikalen. Sab se aakhir mein hathon
aur peron ke nails saaf kar ke nails par base coat lagaen, phir nail
color aur phir top coat lagaen.
Nakhun Ki Hifazat In Urdu
Nails Care
Weather
khuwah garam ho nakhun ki hifazat or dekh bhaal intahai zaroori hai or
is maqsad ke liye important tareen amar regularly nakhun ki safai hai.
Nakhuno ke ird gird thoray se neem garam oil ki malish karein or phir
ise achi tarah saaf kar lein takay skin par jama huwa mail kuchail door
ho jaye phir hydrogen peroxide ke 3 spoon, ammonia ke 1 spoon mein mix
karein or is mixture of cotton pieces ki madad se hands or nails par
lagayen. 2 ya 3 minute k baad hands ko dho kar khushk kar lein. Agar aap
ke nails kharab hein or aap in ko numaya karte waqt inferiority complex
ka shikar ho rahi hein to thori se care se aao ke nails khoobsurat ban
saktay hein. Nakhun ki munasib or khoobsurat kharash tarash kar ke in ki
khoobsurti ko barqarar rakha ja sakta hai. Is liye nakhun ko nail
polish se arasta karte waqt sab se pehlay shafaf base coat nakhun par
lagayen. Jab yeh khushk ho jayen to natural pink color polish use
karein. Sone se qabal apne hands par cream lagayen apne hatho or nails
par olive oil ya cream achi tarah malein hatho par gloves pehnein or so
jayen aap ke nails or hands dono dilkash ho jayengay.
Totkay For Nails In Urdu
Nakhun lambay karna
Nakhun lambay kerme ke liye rozana nails per lehsan mala karain.
Nakhun ki kharab rangat theek karna
Bhains ke dood main chand drop lemon ke daal dain phir is main nails dip ker lain nakhun ki rangat theek ho jae ge.
Nakhun ka totkan
Aik tola pisi hoe phitkari main aik
lemon ka ras mila lain is paste ko roi ki madad se nails per lagaen
chand dinon main nakhun totna band ho jaen ge