Sunday, 28 December 2014

Anar Benefits In Urdu | Pomegranate Benefits In Urdu | Anar Ke Faide | Pomegranate for weight loss | Anar ka Juice Ka Faide

Anar Benefits In Urdu | Pomegranate Benefits In Urdu | Anar Ke Faide 

Pomegranate (Anar)

Pomegranate (Anar) is a fruit. It is known as the fruit of Heaven. Pomegranate juice is rich in antioxidants. It has Vitamin C and folic acid. Pomegranate is a very healthiest fruit. It is very useful for making blood. Don’t use in throat problem, because it is very dangerous for throat problem. Kindly request to all of you, please first take advice to your Doctor then use any tips. In this page you will find the information about Pomegranate benefits In Urdu ( Anar Ke Faide) In Hindi.

 
 
 
 
 
 
 
 
 

 


Pomegranate (Anar)

Pomegranate (Anar) is a fruit. It is known as the fruit of Heaven. Pomegranate juice is rich in antioxidants. It has Vitamin C and folic acid. Pomegranate is a very healthiest fruit. It is very useful for making blood. Don’t use in throat problem, because it is very dangerous for throat problem. Kindly request to all of you, please first take advice to your Doctor then use any tips. In this page you will find the information about Pomegranate benefits In Urdu ( Anar Ke Faide) In Hindi.

Pomegranate Benefits In Urdu


Anar Ke Faide ( In Urdu)

Anar (Pomegranate) jise jannat ka phal bhi kaha jata hai. Qadeem tehzebon mein bhi is ka istemal kiya jata raha hai. Yeh shifai phal hai, Anar ke beshbaha fawaid hain. (Pomegranate) Anar ka dane khaya jaye ya anar ka juice piya jaye, dono soorton mein anar (pomegranate ) intehai faide mand hai. September se February ke awaiyl tak yeh fruit ba aasani dastiyab hota hai. Duniya ke beshtar mumalik mein anar (pomegranate ) ki kasht ki jati hai. Pomegranate (Anar) ke juice mein black namak daal kar piya jaye to hazma bhi behtar hota hai aur dauran e khoon mein bhi izafa hota hai. Anar (Pomegranate) naya khoon banana ki aehliyat rakhta hai.
American University of Wisconsin ne tehqeeq se sabit kiya ke anar (pomegranate) ka juice pine se males mein batadreej prostate cancer ke imkanat zaiyl ho jate hain. Amraaz e qalb aur high blood pressure ke patients ke liye bhi yeh amrit dharey ki hesiyat rakhta hai. Anar (Pomegranate) se jiam mein viral infection ke khilaf mudafat paida hoti hai. Teeth mein Plock jama hone ki soorat mein yeh mou ki bimariyon se bachata hai. Green tea ke muqabley mein anar (pomegranate) 3 guna zaiyd antioxidant par mushtamil hai. Amraaz e qalb mein mubtila mareez daily (pomegranate) anar ka juice piye to dil tak khoon ki rasd barhne lagti hai. Vitamin C aur folic acid ki bharpor miqdar ki wajah se pomegranate cholesterol ghatane mein madad deta hai.
Methe (pomegranate) anar se kamzori meyda, jigar, dast aur qey jaldi door ho jati hai. Anar qadrey qabiz hai. Jism ko mota karta hai. Khoon saaf karta hai. Piyas aur bechaini ko door karta hai. Garmi door karne ko methe aur khatte dono qisam ke anaar faiydemand hain. (Pomegranate) Anar ka juice nihayat thanda aur mufarrah hota hai aur tamam safrawi shikayaton mein nafaa deta hai. Fever aur shadid piyas ki halat mein thandak pohchata hai. Sozaak mein mufeed hai.
Tursh pomegranate sard khushk hota hai. Meyde aur seene ki sozish ko rafaa karta hai. Josh khoon garmi ke dauran sir, yarqan aur kharish mein mufeed hai. Albatta throat ke liye muzir hai aur balgham ko bigharta hai. Anar (Pomegranate) qabz, maqwi meyda aur ishteha aawar hai.
 

Yeh tulba aur kamzor yad dasht rakhne wale afrad key liye buhat mufeed hai. Jo log bhool jane key marz mein mubtila hon in key liye anar buhat sood mand hai. Yeh yad dash teiz aur bahal karta hai.

Anar key phoolon ka juice nakseer rakne key liye buhat kar aamad hai. Moasar afadyat key liye anar ka juice aur shehad mila kar istemaal karein to yaddash tez ho jati hai. Is mqsad key liye 250 ml anar key juice mein 5 se 10 ml shehad milate hain. Yahi mashroob raham ki be qaidgiyan aur raham key zakhmon key ilaj mein bhi mufeed hai.
Yeh pait key kire kharij krta hai. Typhoid mein shafa deta hai. Bronchiectasis aur gale ki kharash ka ilaj hai. Umdah qisam ka ishteha angeiz hone key sath sath nizam hazam ko taqwiyat deta hai. Is key mahereen ka kehna hai keh agar medeah kharab aur bimar hai to yeh in ginat bimaryon ko janam de ga anar aisa phal hai jo meday aur degar aazaye hazam ko theek halat mein rakhta hai. Chunan chah yeh buhat si bimaryon key ilaj key liye istemaal kia jata hai.

Nakseer key Liye:

Nakseer rokne key liye anar ka juice 2 se 4 qatron tak naak mein tapkayein. Adha cup anar key juice mein chini milakar pilane se fori aaram milta hai. Agar yeh mashroob kuch dinon tak baqaidah piya jata rahe to nakseer phutne ki shikayat hameishah key liye door ho jati hai. Kuch logon ka kehna hai keh tazah anar ka chilka soonghne se bhi yeh kaifyat foran khatam ho jati hai.

Piyas Mitata Hai:

Anar ka juice piyas mitata hai. Jism ki hiddat door karta hai aur bukhar kam karta hai. Khasoosan aise bukhar mein mufeed hai jo garmiyon mein maosam ki shiddat key natije mein charha ho. Bukhar key doran agar mareez ko sirf anar ka juice dia jaye to yeh bukhar utar ne key sath sath jism ki ghizayi zarooryat bhi mukammal tor par puri karta hai.

Tilli :

Tilli barh jaye to anar ki khushk jaron ka juice ( pani mein jarein bhigoye rakhne se hasil kia jata hai) doodh key sath pilane se masbat nataij hasil hote hain. Is se amoomi kamzori bhi door ho jati hai.

Typhoid ka Bukhar

Typhoid bukhar ka ilaj karne key liye tazah anar ka sharbat patla kar key waqfay waqfe se dete hain. Is se damme key bukhar aur mede key masail bhi khatam ho jate hain.

High blood Pressure:


High blood pressure maamol ki satah par lene key liye anar ka tazah juice adha cup din mein do bar piya jata hai.

Yad dasht Kamzor :

Yad dasht kamzor ho jaye to anar ka tazah juice aur shehad mila kar pilana mufeed rehta hai. Is se yad dash bahal ho jati hai aur faham teiz ho jata hai.

Pait ki Bimari key Liye:

Anar key 20/25 ml fresh juice mein bhune huye zeray ka safoof aur chutki bhar namak dal kar pine se badhazmi tezabyat , khatti dekarein, tabkheer pait mein gurgurahat aur patle daston ki shikayat door ho jati hai. Agar is key beej yani anar key dane kali mirch aur namak chirak kar rozanah khaye jayein to mede ka dard lahaq nahi hota.


Ishal aur Pechish:

Ishal aur pechish mein 20 se 70 ml anar ka juice lein. Is mein do long(clove) pees kar in ka safoof shamil karien. Yeh juice 6-8 ghante key waqfe key baad lein. Mutbadil noskhah mein anar key phal ka khushk chilka pees kar is key hum wazan tirflah mein milayein aur in donon bimaryon mein se jab bhi kisi ka ilaj maqsood ho ise dahi key pani key sath 1 tsp mareez ko dein. Fori afaqah hoga agar mareez ko dahi ka pani mawafiq na ho to yeh safoof anar key juice key sath khelayein. Anar key tazah patton(leaves) ka juice aur adhure pake anar ka juice key sath khelayein. Anar key tazah patton ka juice aur adhoore pake anar ka juice mila kar pilane se bhi pechish door ho jati hai.

Pait key kire:


Pait aur antriyon key kire kharij karne key liye anar ka khushk chilka pees lein. Halki aanch par boil karein aur thanda hone par 15-20 ml moqdar mein din mein teen martabah pilayein. Aik aur noskhah key mutabiq malte aur anar key chilke achi tarah pees kar 5 mg khorak mein chutki bhar namak mila kar khane se bhi kere kharij ho jate hain.

Anar ka istemaal anar dane ki surat mein gharon mein chatni ki taiyari key liye aik mamool hai. Is key ishtarak se kayi masalae aur pakwan bhi taiyar kiye jate hain. Is ki shamoolyat pakwan ki lazzat barha deti hai. Agar aap apni bhook barhana chahte hain to anar ka juice hameshah dopehar aur raat key khane se pehle piya karein. Anar ka juice sharab ki talab kam karta hai aur nizam hazam ko behtar bana ta hai. Chunan chah anar ka istemaal sehat o tandrusti bar qarar rakhne ka mowassar zriyah hai.

Warning: This site provides general information about your health. for more information and treatments please contact your doctor.


 









Jild Ki Hifazat In Urdu | Skin Care Tips | Jild Ki Hifazat | Dry Skin Care Tips | Khushk Jild Ki Hifazat | Chikni Jild Ki Hifazat In Urdu | Jild Ki Hifazat Ke Liye Desi Tootkay in Urdu | Jild Mein Tanao Peda Karna | Jild Ki Hifazat Ka Tarika

Jild Ki Hifazat In Urdu | Skin Care Tips | Jild Ki Hifazat |

Skin Care (Jild Ki Hifazat)

Natural Beauty is essential for our life. So take good care of your skin. Use moisturizers with Vitamins and Minerals. Use branded lotion and cosmetics. Beauty tips for your skin care ( Jild Ki Hifazat), homemade tips for your damage and dry skin, wrinkles, dark circle, patches, tight skin. But please first you discuss your problem with Doctor then use any tips about your skin. In this page you will read beauty tips Skin Care (Jild Ki Hifazat) in Urdu and Roman Hindi.

Jild Ki Hifazat In Urdu

 Mausam e sarma mein aap ki jild ki hifazat aur dekh bhal ke liye jo normal routine ke products hain, in mein tabdeeli karne ki zaroorat hoti hai. Sardiyon mein hawa mein nami ka tanasub kam ho jata hai aur is mausam mein hawa sard hone ke sath sath khushk nhi hoti hai. Jis se jild par manfi asraat murattab hote hain aur nateeje mein jild khushk ho kar phatne lagti hai. Yeh baat takleef dey aur pareshan kun hoti hai. Magar kuch aesi baten hain ke jinhe tawajja se kiya jae to mazkoora bala masaiyl par qaboo paya ja sakta hai.
 

Aksar aurtain aik Moisturizers khreedti hain aur usi mein pora saal nikal deti hain. Sardiyon mein jild ki Hifazat ka aik behtreen usool ye hai ke apni products ko mausam ke badalte andaaz ke sath hum aahang karen. Conditioner ke bajae sardiyon mein cold cream ka istemaal kiya jae jis mein oil aur cream ka istemaal kiya jata hai. Yeh garha hota hai aur jild ki nami ko zaya hone se rokta hai. Apne moisturizers se ziyada se ziyada faiyda hasil karne ke liye zaroori hai ke wo moisturizer istemaal karen jin mein Vitamins aur Madniyaat ka bhi istemaal kiya gaya ho. Jild ko khushk hone se bachane ke liye deegar baton par bhi tawajja di ja sakti hai. Sardiyon mein aik routine bana liya jae, jis par sakhti se amal kiya jae. Sab se pehle to ye karen ke garam pani se jild ko ziyasa na dhoey. Dosra bath ya shower lene ke bad forun moisturizers laga liya karen ta ke jo nami pani ke zariye jild mein pohnchi hai wo wahin ruk jae. Teesre haftey mein ek baar apni jild ko slow slow zaroor ragrhen ta ke murdah khaal utar jae aur nae khaal oper aa jae.

TIGHT JILD ( Tight Skin)

Mahir jild, jild ko kasne aur tang karne ke liye kai tarike istemaal karte hain, magar kuch aese nuskhajaat bhi hain jinhe aap ghar mein bhi istemaal kar sakti hain, agar aap kisi mahir ki khidmaat hasil nahi karna chahti hain to ghar par hesab kuch ho sakta hai. Yeh tareeqa kaar Lotion se le kar Vitamin aur kolchin products tak mushtamil hai aur is mein cosmetics surgery bhi shamil hai. Skin ko kasne yani tight rakhne wali cream ko aap sari zindagi istemaal karen, magar dekhne wali baat ye hai ke aap is ka istemaal karen ya na karen. Ek waqt mein app ki umar app ki jild ko behraal mutassir karegi. Dhoop aur umar ki barhti hui jild mein colchin ko kam kar deti hai. Jo app ki jild ko narm aur mulaiym rakhta hai aur aik bharpoor look deta hai. Jaise jaise is ki miqdaar kam hone lagti hai.isi munasbat se app ko jild kasne ke tarikey par amal karne ki zaroorat parhne lagti hai.
Bila shuba is mein sab se behtreen intekhabaat cosmetic surgery hai. Khush qismati se jo khuwateen syrgery nahi karwana chahti hain un ke liye kuch mutabadil ka intezaam ho gaya hai. Misaal ke taur par Botox injection hai jis ko laga diya jae to jild khinch jati hai aur shikney door ho jati hain aur bhi dosrey tareeqe hain, wo bhi injection ke zariye khaal mein dale jate hain. Jild se lakeeren door karne ke liye edio views ka bhi istemaal kiya jata hai. Is process ko Therm age kaha jata hai. Aik aur tareeqa ti teen kehlata hai, jis mein infraaid shoaaeyn istemaal ki jati hain. Lazers technology mein musalsal izafa ho raha hai aur deegar shobon ke sath sath surgery mein bhi is ka istemaal kiya ja raha hai. Is technology se fiayda uthane se pehle kisi mahir jild se lazmi mashwara kar len. Bohat se ache lotions aur cream products hain jo chehre aur jism par lagai jaen to bohat faiyda hota hai. Surgery aakhri operation hai aur amooman Pait, Raan ( thigh ) aur face lift ke liye surgery karwai jati hai aur is se mard aur aurat dono yaksan faiyda utha sakte hain.

JAMI HUI JILD

Qudrat ne jild ko androoni zaraye se tawanaai ke husool ka zariya banaya hai, magar hota ye hai ke 25 saal ke bad is tawanai mein kami hone lagti hai. Is ki wajah jild ki umar main izafa, wazan mein kami aur kuch beyroni ansar hai. Maslan dabao aur tanao aur dhoop waghera. Yeh sab jild ki fibre mein kami kar dete hain, jis ke bad jild ka pakka pan dheela parhne lag jata hai. Khush qismati se is kami ko hum dunyawi zaraey se pora kar sakti hain. Magar koshish ye karni chahiye ke waqt guzarne se pehle pehle bachao ka rasta apna lena chahiye, warna jild ko naqabil talafi nuqsan pohanch sakta hai. Aese mein aik aam aur rewayati moisturizers karaamad sabit nahi ho sakta.
Agar app ko apni jild ko pakka karne ki ziyada zaroorat hai to phir app ko “ orange skin ” ka masla hai. Jild ko pakka karne ke liye cream ko daeyre ki shakal mein lagaen aur us jild par ziyada lagaen jahan Jild jaldi loose ho jati hai.
Paon par bhi isi andaaz mein lagaen magar thore ziyada dabao ke sath. Ye amal app ki jild ke tanao ko khatam kar dega. Khoon ki gardish mein izafa karega aur khaliyon ke qudrati andaaz mein faal kar deta hai. Is se raan ko shape milti hai. Pait flat ho jata hai.

TAKIYE KI LAKEEREN (Pillow Creases)

In lakeeron ko pillow crease kaha jata hai. Jin ka chehre par namoodar hona khatre ki alamat hai. Ap subha sou kar uthti hain aur chehre par ek lakeer ko pati hain, jo ke guzishta kal maujood nahi thi. Ye lakeeren is takiye ki wajah se banti hain, jis par shikney parhi hoti hain aur ye bad mein sone ke dauran chehre par muntaqil ho jati hain. Achi baat yeh hai ke ye koi mustaqil lakeer nahi hoti aur chand ghanton mein ghayab ho jati hai, magar jab app mulazmat pesha hain to ghanta do ghanta kaise intezar kar sakti hain ?
Jis waqt app sou rahi hoti hain to app ki jild din bhar ki toot phoot ki murammat kar rahi hoti hai aur khud ko taza dam bhi. Der tak jild agar takiye ke sath ek he andaaz mein rahe to khoon ki gardish ruk jati hai. Aik wajah ye bhi hai ke jab log sou kar uthte hain to unhe chehre par lakeer nazar aati hai aur chehra sooja hua nazar aata hai. Jild surkh ho jati hai, aese mein app apni jild ko garam pani se dhoey aur moisturizer thora raghar kar lagae. Takiye se banne wali lakeer se bachne ka ek tareeqa yeh bhi hai ke app bilkul seedha soye, agar pehlo mein sona hai to takiya silk ke ghilaaf wala istemaal karen, jin par kam se kam shikney banti hain. Daily moisturizer lagaen ta ke jild ko zaroorat ke mutabiq nami milti rahe. Agarcha takiye se banne wali lakeeren mustaqil nahi hoti hain magar yeh bad mein jild ke liye masaiyl peyda kar sakti hain. 

                                 Jild Ki Hifazat

Kwateen apni jild ki hafazat or khubsurat nazar any k liye kai jatan karti hein or hamesha sab se mufarid nazar ana chahti hein. yahan kuch gharelu totky hein jin ki madad se aap khubsurat nazar a sakti hein.
 

 

Jild Ki Hifazat In Urdu

 

Chikni Jild Ki Hifazat In Urdu

 
 Jild Mein Tanao Peda Karna
 
Jild Ki Hifazat Ka Tarika


 




Nails Care In Urdu | Nakhun Ki Hifazat | Nails Care In Urdu | Nails Tips in Urdu | Nails infection | Kinds of Nails

Nails Care In Urdu | Nakhun Ki Hifazat | Nails Care In Urdu | Nails Tips in Urdu

Nails (Nakhun)


Nails is a very important and sensetive part of our body. We should maintain and care of our nails. We can take hand massage for the nails. We should take Manicure and Padicure of our hands and Foots. If you have pain in your nails and any other problem about nails, so you should go to the Doctor. Then apply any treatment of nails. In this page you will read Nail Care in Urdu and Roman Hindi.

Nails Care In Urdu

 Insaani jism mein do chezen sab se ziyada mazboot aur aehmiyat ki hamil hain. Hairs aur Nails. Nails hathon ki khobsurti mein izafa karte hain aur nails ungliyon ki shape ke mutabiq ho to nails bohat ache lagte hain. Nails ki shaklen bohat mukhtalif hoti hain, aik nail androoni shakal se ungli ki por tak 6 maah mein mukammal hota hai.
 

Nail ka zinda hissa hamesha ungliyon ke niche wala hota hai. Nakhun hamari ungliton ki tips yani por ki hifazat karte hain aur jo hissa bahar nazar aata hai wo mard hota hai , is liye jab hum barhe hue nails kat’te hain to taklif nahi hoti hai. Hairs aur Nails he hamari sehat ka pata dete hain, sehatmand saaf suthre chamkeele be daagh ache hote hain, un ki rangat gulabi hoti hai, agar Nails ke darmiyan safed daagh peyda ho jae to ye bemari ya chot ki alamat hai. Is ke liye Doctor se mashwara karna chahiye, waise Calcium ki kami se bhi yeh nishan ho jate hain.

Kinds of Nails


Nails ki mundarja zel iqsaam hoti hain.
Khasta Nails, kamzor Nails, cahabae hue Nails, Bad rang Nails.

Khasta Nakhun ( Broken Nails)


Gharilo kaam kag karnay se aksar nakhun ke kinare toot phot jate hain aur iss tara khasta hojate hain iss ke liye zaroori hai ke nakhun mehfooze rakhne ke liye lehsan (garlic) lagana chahiye .

Kamzor Nakhun ( Weak Nails)


Kamzor nakhun (weak nail) patle hote hain agar inein ziyada dair tak pani mein rakha jaye to ye naram par kar kharab ho jate hain aise nakhuno par nail hardener lagana chahiye.

Cahabae Hue Nakhun ( Bitten Nails)


Aksar logon ko nakhuno ko chabane ki aadat hoti hai aur zahir hai ke chabaye hoye nakhun badnuma hote hain aise logon ke nakhuno par ghere rang ki nail polish ya phir nail losion lagana chahiye.

Badrang Nakhun. (Fade Nails)


Baz khawateen musalsal nail polish lagaye rakhti hain gis ki waja se inke nakhun badrang hojate hain aur aksar bemari ke bais bhi nakhun badrang hojate hain inhain chahiye ke nail polish se pehle base coat lagayein.

Parts of Nails


Nails ke mundarja zel hisse.
Matrix, Mantle, Nail bed, Nail Grooves, Nail Walls, Nail Plate, Hyponychium, Cuticle, Lunula, Free Edge, Nail Growth.

Nails Growing


1-Har week nails ka average rate 0.5 se le kar 1.2 mm hota hai.
2-Nails har umar mein barhte hain, magar barhti hui umar ke sath sath nails ki umar kam ho jati hai.
3-Agar blood ki raftar ziyada hai to nails jaldi barhte hain.
4- App ki sehat ka asar aap ke nails par bhi parhta hai, agar aap bimar hain to jild aur baalon ki tarha nails bhi asar andaz hote hain.

Shapes of Nails


Nails ki shape ka taaluq ap ki ungliyon ki shape ke lihaz se hota hai. Agar nails taqatwar hai to ziyada long nails rakh sakti hain, magar nails kamzor hain to short he rakhe, kyun ke aese nails ziyada der tak qaiym nahi reh sakte. Agar ungli patli aur lambi hai to nails round shape mein hone chahiye. Agar ungli choti aur moti hai to nails ka skape bezwi rakhe. Nails sqaure shape mein bhi rakhe ja sakte hain, aese nails gharelo khatoon aram se rakh sakti hain.

Manicure & Pedicure

*Manicure latin word hai, jis ka matlab hai, hathon ki care. Manicure hath+on ki khobsurti mein izafa karta hai. Maincure se hath kafi mulaiym ho jate hain. Hathon ka meyl aur dead skin bhi saaf ho jati hai. Nails ko khobsurat banane ke liye manicure se faiyda uthaya jata hai.

*Pedicure bhi latin word hai, jis ka matlab hai, peron ki care. Pedicure peron ki hifazat aur khobsurti mein izafa karta hai. Padicure se hamare peron ki thakan utar jati hai. Chalne phirne aur dabao ki wajah se paon thak jate hain to un ke sukoon ke liye bhi padicure karwaya jata hai. Padicure mein aerhiyon, nails aur panjon ki safai bhi shamil hai.

Hand And Massage

Thora sa lotion len aur hathon aur paon par laga len. Dono hathon ke thumb se massage karen. Ungliyon ke jorhon par golaai mein massage karen. Apni ungliyon mein aik aik kar kar har ungli ko daba kar nikalen. Sab se aakhir mein hathon aur peron ke nails saaf kar ke nails par base coat lagaen, phir nail color aur phir top coat lagaen.

                                           Nakhun Ki Hifazat In Urdu
 

                                             Nails Care
Weather khuwah garam ho nakhun ki hifazat or dekh bhaal intahai zaroori hai or is maqsad ke liye important tareen amar regularly nakhun ki safai hai. Nakhuno ke ird gird thoray se neem garam oil ki malish karein or phir ise achi tarah saaf kar lein takay skin par jama huwa mail kuchail door ho jaye phir hydrogen peroxide ke 3 spoon, ammonia ke 1 spoon mein mix karein or is mixture of cotton pieces ki madad se hands or nails par lagayen. 2 ya 3 minute k baad hands ko dho kar khushk kar lein. Agar aap ke nails kharab hein or aap in ko numaya karte waqt inferiority complex ka shikar ho rahi hein to thori se care se aao ke nails khoobsurat ban saktay hein. Nakhun ki munasib or khoobsurat kharash tarash kar ke in ki khoobsurti ko barqarar rakha ja sakta hai. Is liye nakhun ko nail polish se arasta karte waqt sab se pehlay shafaf base coat nakhun par lagayen. Jab yeh khushk ho jayen to natural pink color polish use karein. Sone se qabal apne hands par cream lagayen apne hatho or nails par olive oil ya cream achi tarah malein hatho par gloves pehnein or so jayen aap ke nails or hands dono dilkash ho jayengay.

 


                                Totkay For Nails In Urdu
 Nakhun lambay karna Nakhun lambay kerme ke liye rozana nails per lehsan mala karain.
Nakhun ki kharab rangat theek karna Bhains ke dood main chand drop lemon ke daal dain phir is main nails dip ker lain nakhun ki rangat theek ho jae ge.
Nakhun ka totkan Aik tola pisi hoe phitkari main aik lemon ka ras mila lain is paste ko roi ki madad se nails per lagaen chand dinon main nakhun totna band ho jaen ge


Butt Sweets And Bakers Jobs 2014

Butt Sweets And Bakers Jobs 2014
 


Punjab Public Service Commission Lahore Jobs 28 Dec 2014

Punjab Public Service Commission Lahore Jobs 28 Dec 2014


Saturday, 27 December 2014

Warid Officially Launch 4G LTE Services in Pakistan

Warid Officially Launch 4G LTE Services in Pakistan

After offering free LTE trials for over a month, Warid has now officially announced the launch of its LTE services in Pakistan.
Starting today (December 26th, 2014) Warid’s LTE services will be available commercially in following six cities:
  • Lahore
  • Islamabad
  • Karachi
  • Rawalpindi
  • Faisalabad
  • Gujranwala
Warid has said that all customers will be given a free LTE trial for 7 days after the commercial launch, after which Rs. 5/MB will be charged for all data transactions.
Warid users can expect some handy data bundles for LTE services in days to come.
 
Group Photo of Warid Management Team:  From right – Mr. Suhail Jan (CCO), Mr. Adeel Bajwa (Board Member), Mr. Muneer Farooqui (CEO) , Mr. Tariq Gulzar (CFO) and Mr. Muhammad Irfan (CTO/CIO) Warid Telecom. 
Warid has notified its LTE customers about the end of unlimited LTE trials. Customers were sent SMS messages, automated calls and emails notifying them about the end of trials and the tariffs for data transactions.

 
After starting LTE trials for corporate and postpaid users in November, company had announced free unlimited trials for prepaid users earlier in December.
Not to be mentioned, Ericsson — a market leader for wireless data traffic all around the world — is Warid’s sole technology partner in Pakistan for the rollout of the LTE network.
To ensure that the company continues to offer its users the most advanced technologies, Warid will be investing around US$500 million over the next five years to expand its network across the country.
Commenting on the launch, Mr. Muneer Farooqui, CEO Warid Telecom, said,
“Over the years, Warid Telecom has developed a reputation for breaking new ground in Pakistan’s mobile landscape. We have always remained at the forefront of innovation: our decision to transform directly from 2G to LTE technology is a reflection of this spirit of innovation.
With this move, Warid becomes the first mobile operator in Pakistan to transform directly from 2G to LTE technology.
Moving forward to 2015 and beyond, we will continue to invest in premium technologies and network infrastructure to ensure service excellence to our patrons who have always held us close to their hearts.
I am confident that with the trust and loyalty by our customers, Warid Telecom will rise to stellar heights within this new telecoms paradigm.”

Warid LTE Packages

As mentioned above, the base rate for Warid LTE services is Rs. 5 per MB. This rate will apply if there’s no data bundle added for your number. But naturally, this is expensive and you will tend to add data bundles available for prepaid and postpaid users. Keep reading to know the details:
Prepaid Plans
  • Weekly 250 MB: Rs. 50
  • Monthly 300MB: Rs. 100
  • Monthly 750MB: Rs. 200
  • Monthly 1.5GB: Rs. 300
  • Monthly 5GB: Rs. 500
  • Monthly 8GB: Rs. 800
Dial *777# for LTE menu to subscribe to any package and check your internet balance.
Postpaid
  • Monthly 750MB: Rs. 200
  • Monthly 1.5GB: Rs. 300
  • Monthly 5GB: Rs. 500
  • Monthly 8GB: Rs. 800

Coverage Map

Warid has managed to cover well the areas in major cities of Pakistan. As we told you before, Lahore is pretty much covered and strongest hold for LTE services from Warid. Same is the case with other cities and coverage is only bound to get better with time.
You can go ahead and see coverage map yourself: http://www.waridtel.com/lte/coverage-map

LTE Handsets

It merits mentioning here that Warid has partnered with various smartphone brands for procurement of 4G LTE handsets in the country. Company also entered into an agreement with Daraz to offer 4G compatible handsets for online purchasing.
Warid has also setup its online handset portal where you can find number of deals available with various handsets. Here’s the link: http://www.waridtel.com/lte/lte-handset-portal/handset-deals/smartphone-deals
Below is the official press release for Warid’s 4G launch:
Warid Telecom, Pakistan’s most trusted and innovative mobile service provider, proudly announces the official launch of LTE services in Pakistan.
Starting from 26th December, 2014, Warid customers will be able to enjoy 7 days of free customer trials of LTE services in Lahore, Islamabad, Rawalpindi, Karachi, Faisalabad and Gujranwala.
Warid has always taken great pride on putting its consumers first; to this end, the company has always focused on introducing innovative and creative services to its customers.
The company’s focus on exceptional services has brought it great acclaim for amazing customer care, exceptional network quality, transparency, and innovation in products and services.
With the introduction of 4G services in Pakistan, Warid has maintained its position as the leading innovator by launching LTE technology in the country. This makes Warid Telecom Pakistan’s first operator to transform from 2G to LTE technology.
To ensure that the company continues to offer its users the most advanced technologies, Warid is investing around US$500 million over the next five years to expand its network across the country.
Warid has a reputation for using only the very best of telecoms technologies; continuing in this tradition, Warid has selected Ericsson, the world leader in LTE/wireless broadband technology, as its sole technology partner for the rollout of its LTE network.
Warid Telecom possesses Pakistan’s largest postpaid customer base, as well as ‘Glow by Warid’ the country’s leading cellular youth brand. Warid Telecom is also committed to giving back to society via its active Corporate Social Responsibility program.