Sunday, 8 December 2013

Ben 10 Games 7 in 1 PC Game Full Version Free Download

Ajj mein app ke Ben 10 ki games le kar aaya hon..
System Requirments:Processor= 233MHz
RAM= 32MB
Graphics= 16MB

 DOWNLOAD NOW

Salman Khan Interview In Urdu

  Salman Khan Interview In Urdu

  Salman Khan Interview In Roman Hindi

Salman Khan

Salman Khan was born on 27th December 1965 in Indore. He is 47 years old. Salman Khan is an Indian Film Actor, he is a Producer and Television Presenter. Salman Khan is also known as now Chulbul Pandey and Dabangg hero. He is very talented and all rounder Actor. Salman Khan is a very good Painter. In this page you will find Salman Khan Interview In Urdu and Roman Hindi. 

Salman Khan Interview
22 January ko Salman Khan checkup ke liye US chale gaey the. Muamla bohat nazuk tha, Salman Khan jis problem mein the, un ki talkeef ya to KHUDA janta hai ya khud Salman. Khabar ke mutabiq Back Bone ke paas jo Spinal Cord hoti hai, wahan problem thi, jise jancha ya operate karna mumkin nahi. Is liye medicine se he takleef door karne ki koshish ho rahi thi. Magar yeh sirf aisa masla tha jo sirf Salman Khan ka he nahi, bal ke is duniya mein kae aise insaan is problem ka shikar hain. Aur US mein is ka kafi behtar ilaaj ho jata hai.

11 August ko Salman Khan aik operation karwa chuke hain. Jis se kafi had tak Salman ka masla hal hua aur Salman is qabil ho sake ke tough shootings karwa saken.
Khan House ki taza peshkash Dabangg 2 ne aik ordinary bal ke kamzoor film hone ke ba wajood record breaking business kiya aur release ke dosre he hafte mein 150 crore ka target cho gae.

Question : Dabangg 2 ki kamiyabi ke bad kaha jar aha hai ke Salman Khan patthar ko cho len to wo bhi sona ban jae ?
Salman Khan : Are Baaap rey…….. aisa bilkul nahi magar jo sawal pocha hai aesi khuwahish kar sakta hoon ke kaash isi tarha ho jae ta ke script, direction, acting ke liye pareshan na hona parhe. Mere bhai hargiz nahi hai. Kamiyabi aur na kamiyabi oper wale ke hath mein hai. Magar bohat mehnat karta hoon. Mere sath director, cameraman, spot boys aur baqi sab bhi dil o jaan se kaam karte hain. Haan itna hai ke oper wala ziyada meharban hai aur fans bhi choti moti ghaltiyan nazar andaaz kar dete hain.
Question : Aaj aap ki films lagatar hits ho rahi hain, soorat e haal taqreeban wesi he hai jaisi aap ke career ke shuru mein thi ?
Salman Khan : Haan bilkul thek, main ne pyar kiya ke bad baaghi, qurban, sanam bewafa, sab hit hui thin. Kuch log kehte hain ke kamiyabi ki wajaha se mera dimagh kharab ho gaya hai. Agar aisa hona hota to maine pyar kiya, ke time se he mera dimagh kharab ho jata, jab sirf 22 saal ka tha. Is ke bad Hum aap ke hain kaun? Ne to sare records torh dale the, magar mera dimagh phir bhi apni jagah par he raha.
Question : Aik arsey tak aap apne filmi kirdar Prem ki wajah se mashoor rahe, magar ab chulbul pandey ne prem ko over shadow kar diya hai ?
Salman Khan: Is bech radhey bhi aata hai aur yeh aik aisa kirdar hai, jise kabhi bhi faramosh nahi kar paonga. Phir Tiger ko aap kaise nazar andaaz kar sakte hain ? asal baat yeh hai ke loog mujhe action roles mein he nahi, bal ke romantic aur comedy roles mein bhi dekhna chahte hain. Yeh director aur writer par munhasir hai ke kis tarha mera istemaal karte hai.
Question : Aap ka stardom aur supreme position, personal relationship par kis had tak asar andaaz hoti hai ?
Salman Khan : Bilkul nahi, apne rishtey ke logo mein wesa he hoon jaisa pehle tha. Sab mujhe Salman Khan ki tarha treat karte hain. Koi Radhey, Pandey ya chulbul nahi samajhta. Hum sab asli zindagi mein rehte hain aur jante hain ke film ki duniya asal duniya nahi. Behan Bhaiyyon ke liye agar main chulbul ya radhey ban jaonga to khud ko pagal samjhonga. Ab bhi Maa ki godh mein sir rakh ke sona pasand karta hoon aur jab meri Maa kehti hain ke bilkul bachey jaisa hoon to waqai bachon jaisi khushi mehsoos karta hoon.
Question : Aap ki Maa aap ki shadi ke liye bhi fikarmand hongi ?
Salman Khan : Sirf wohi….. ? are bai pora media, bal ke sara desh is baat ko le kar peetey chala ja raha hai. Meri shadi ka mujhe itna intezar nahi jitna media aur desh ko hai. 47 saal ka ho chukka hoon. Pata nahi shadi naseeb mein hai bhi ya nahi. Magar haan ab itna batane laga hoon ke 12 baras pehle shadi ke bohat qareeb tha, jab oper wale ko manzoor na ho to koi kya kar sakta hai. Meri shadi hote hote reh gait hi aur bas isse ziyada aur kuch nahi bataonga.
Question : 47 saal ka hero ! kya hindi cinema ke liye hero ki yeh umar ziyada nahi, naey aane wale ladkon se khatra mehsoos karte hain ya nahi ?
Salman : Khatra to hamesha mehsoos karna chahiye warna apne aap mein gum ho kar aap manzar se he ghayab ho jaenge. Umar nahi rukti aur isi tarha naey aane wale aate rahenge.
Question : Is umar mein aane ke bad kiya aap kuch miss kar rahe hain ?
Salman : Bohat kuch mila hai, talent to shayad bilkul bhi nahi, is liye saaf kahonga ke kuch bhi miss nahi kara raha. Bohat khush hoon ke aik taraf family members hain aur dosri taraf mukhlis fans ki bohat barhi tadad sath khari hai. Mujhe ba aasani qabool kiya ja raha hai. Bohat kam jaddujehad karni parhti hai. Is liye jo kuch naseeb se mil raha hai, khush dili se qabool kar raha hoon.
Question : 2014 mein aap industry mein apni silver jubilee pori kar lenge ?
Salman Khan: Thek hai paisa bohat kamaya, magar is industry aur kaam ne paise se hat kar bhi bohat kuch diya hai. Jo pyar mila hai anol hai. Films to aik Friday ko aati hain, hit ho ya flop waqt ke sath bhula di jati hain. Lekin logon ka jo pyar mil raha hai wo zindagi bhar sath rahega aur is baat ki qadr-o-qeemat naapi nahi ja sakti.

Salman Khan Interview No 2 In Urdu

The bollywood super stars Salman Khan was born on 27 December 1965. Salman Khan paternal grandfather was a Muslim from Afghanistan who came to India and settled in Madhya Pradesh. His mother is a Marathi Hindu. His stepmother is Helen (film actress). He has two brothers and two sisters. Khan finished his schooling through St. Stanislaus High School in Bandra, Mumbai.
Salman khan nay apni phali film say hi Bolliwood main tahalka macha dia tha.Un ki film “Main Nay Payar Kia” aik kamyab film sabit hui jis nay Salman Khan shohrat ki bulandeon par punhcha dia. Salman key walid aik film writer hain. Jinhon nay beshumar super star thakleeq kiey hain.Us key 2 bhai Arbaz aur Suhail hain, bhi mushoor actor aur film producer hain.

SALMAN KHAN ke personal aur profeshion life itni bharpur aur hungamakhez hai ky us par aik kitab likhy ja sakty hai.US nay 1988 main aik dramay ‘Biwi ho Ho To Aisi’ main mukhtasar role play kiya aur 1989 main “Main Nay Payar Kiya” key zarye industry main dhuwandar intry de aur film fair ka best mail debut award jitnay main kamyab hogia. Us kay bad Salman nay pichay
mur kar nahi dekha! Umar key 46 baras main bhi woh phelay din ki tarah taro taza aur fit nazar aata hai aur apnay say adhy umar ke heroines ke sath bhi bare parday par romance lara raha hai. Profesional front par us ki kamyabi ka andaza aisay bai lagaya ja sakta hai k guzashta baras us ki aik nahi bulkay aik sath 3 films zabardast kamyabi say humkinar hui. Arbaz, aur sohail key sath tumhari talluqat kaise hain?

Hum aapas mein dost hain hala keh Sohail mujh se 5 saal chota hai lekin jawan hone key baad yeh farq khatam ho jata hai! Haqiqat to yeh hai keh daddy key doston se bhi hamari dosti hai aur daddy hamare doston se free hain.

Kia tum apne bahiyon ko koi mashwarah dete ho?

Nahi woh kafi samjhdar hain aur mujh se ziadah dunya key muamlat ko samjhte hain balkeh baaz auqaat to mujhe un se mashwarah lena parta hai!

3 hit filmon key sath is wqt tum tinon Khan mein aage nazar aarahe ho us par kia kaho ge?

Aisa kuch nahi hai mein nahi jatna keh film kis tarah kamyab hoti hai mujh se bhi ghaltiyan ho sakti hain, mein aisi filmein kar raha hon jo guzashtah filmon key moqable mein bari hain aur itna janta hon keh audience inhein fazool nahi qarar dein gay lehaza film mein jazbaat aur kahani ki bari ahmiyat hai!

Tumhare walid Saleem Khan ne kayi super star takhleeq kiye lekin tum un ki likhi huyi film key beghir hi super star ban gaye?

Saleem khan ne apne qalam se super star takhleeq kiye lekin inhon ne mujhe paida kia, mein un ki pehli aulad hon, is liye un keh takhleeq kardah stars se kahin aage hon, saleem khan ne sirf mujhe paida hi nahi kia balkeh haqiqi zindagi mein meri rahnumayi bhi ki is lehaza woh mere real producer aur director hain!

Apni nojawani key zamana mein walid ka likha hua koi carector karne ki khuahish huyi?


Mujhe bare corrector karne mein 20 sal lag gaye jab MEIN NE PYAR KIA, mein Prem ka role play kar raha tha to kabhi socha bhi na tha keh action filmein kar sakon ga mein ne ibtada mein aisi koshish ki thi lekin apne aap ko qail na kar saka mein ne police man aur wakeel key kirdar bhi kiye lekin koi tasSur qaim na kar saka, yahan tak keh mohalle key dada ka role karne key bhi qabil na tha lekin ab mein puri sachayi key sath is tarah key role play kar sakta hon, mujhe apne paristaron se muhabbat aur izzat hasil karne mein 20 saal lag gaye, ab mein un key aitmad key sahare aage barhna chahta hon!

Tumhari kamyabi ka raaz kia hai?

Mein kabhi bhi kisi wajah key be ghair film sign nahi karta is key liye mujhe apne aap ko iklaqi tor par qail karne parta hai, is lehaz se mein aur director aik hi level par sonchte hain! Aaj kal ki filmon mein ziadah se ziadah 5 gane hote hain jo buhat ache hone chahiye! Screen play, editing, adakari sab ki ahmiyat apni jagah hai lekin asal cheez subject hai jis se log relate kar sakein aap ko audience key drmiyan baith kar film key bare mein sonchna chahiye keh jab woh kahani aap ko sunayi jaye to aap us se kis tarah enjoy karein gay.

Woh kon sa scene hai jo tum kabhi nahi karo gay?

Mein ne ohad kar rakha hai keh parde par kisi larki ko kis nahi karon ga, kiun keh khawateen bhi filmein dekhne aati hain aur doosri baat yeh key keh mard aurat key taluqaat ki noiyat intehayi zati hoti hai, use dooosron key sath share nahi kia ja sakta !

Lagta hai keh tum kaam key muamle mein pehle se ziadah sanjidah ho gaye ho?

Hona parta hai, aap jante hain keh log kitna menhga ticket kareed kar film dekhne aate hain aur inhein hum se buhat si tawaquat hoti hain is liye hum inhein mayoos nahi kar sakte.

Tum adakari key elawa film key doosre shobon mein bhi involve hote ho?

Ji han kabhi kabhi koi mokalmah ya comedy jumlah zuban par na aaye to writer aur director ki raza mandi se use tabdeel kar deta hon, is key elawa woh jab dhune compose jari hon to us se bhi enjoy karta hon meri koshish hoti hai keh doosre key kaam mein dakhal andazi na karon lekin baaz auqaat film ki behtari key liye aisa karna parta hai albattah jab apni ya bhayi ki production ho to aazadana tor par masware deta hon, is waqt yeh dar nahi hota keh koi meri mudakhlat ka bura maan jaye ga.

Tuhari film aur us key script par cha jati hai, kia tumhein yeh khof nahi keh is tarah type cast hone key sath sath apne aap ko duhra rahe ho?


Meri har film mukhtalif hoti hai agar us mein meri shakhsiyat ka aks nazar aaye to kia kar sakta hon, lekin is ki bunyad bhi script hota hia! Veer ki kahani wanted se bilkul mukhtalif thi jabkeh wanted aur dabangg mein koi mamaslat nahi thi ! Body guard in tinon filmon se mukhtalif thi, isi tarah Ready mein bhi meri kisi doosri film ki mamaslta nazar nahi aati agar kuch log kehte hain keh mein puri film ko apne kandhon par le kar chalon to yeh bilkul ghalat hai. Dunya mein koi shaksh aisa nahi kar sakta baat sirf itni hai keh log mujhe aur meri filmon ko pasnd karte hain aur isi liye woh inhein dekhne key liye cinema hall ka rukh karte hain.

Tum mein aisi kia khas baat hai keh Katrina kaif tumhari dosti se mehroom hone key liye taiyar nahi?


Is liye keh mein us ka acha dost hon, is se ziadah aur kia keh sakta hon.

Tum kis wajah se apne aap ko is ka acha dost samajhte ho?

Kiun keh mein logon ko pasnd karta hon aur un key sath guzare huye waqt ki mujhe qadar hai hum pehle bhi dost the aur aisi koi wajah nahi keh ab dost na rah sakein agar mere aur us key beech koi maslah tha to mujhe so fisad yaqeen hai keh us mein meri hi ghalti hogi.

Tum shadi karne se kiun katra rahe ho, kia shadi par yaqeen nahi rakhte ya apne aap ko acha shohar nahi samajhte?


Shadi par mera pura yaqeen hai aur janta hon keh is ka aik waqt moqarrar hai lekin shayad abhi meri shadi ka waqt nahi aaya jab aisa hua to aap bhi mujhe apne bachon key sath khelta hua payein gay.

 

Aries Horoscope In Urdu || Burj Hamal In Urdu || Aries In Urdu || Aries Personality

Aries Horoscope In Urdu || Burj Hamal In Urdu || Aries In Urdu || Aries Personality 

                        Aries (Burj Hamal) 
Aries ( Burj hamal) man is dynamic. Aries man is optimistic. Aries man is clever in certain areas. Aries man do handwork for gain his aim. Aries woman is very big hearted and minded person. Aries woman is very romantic, intelligent and hard worker. Aries woman will do everything herself. Aries woman has a strong love with loved one’s. Here we are showing you about Aries diseases, jobs, personality, man and woman, Aries comp ability with other zodiac sign in Urdu and Roman Hindi.

 


Burj Hamal In Urdu


Aries Diseases


Bukhar, Asabi kharabiyaan, nizam e hazam ki bimariyaan, alsar, shadid sir dard, dant ka dard aur kai mukhtalif qisim ki bemariyaan hoti hain.

Aries Jobs


Tijarat, Salesmanship, foji Mulazmat, Muhim joie, Surgery, Engineering, Making, Dental Surgeon jobs, Pesha war khildhi, Siasat, Tasneef-o-ta'leef Sahaafat, Taluqat-e Aama k tamam shobay.

Aries Personality In Urdu


Marlon Brando, Bimark, Charlie Chaplin, Joan Crawford, Dorsday, Robert Frost, Davis Frost, Deni Grifti Jimmay,Thams Jafersan, Nikita Khrushchev, Edmund muskie, Norman porter, Gregori pack, Pal Roben Sunny, Carol Raberts, Roberts Sales, Umer Sharif .

Aries Man In Urdu


Aries logon mein phurti aur quwat-e amal kot kot kar bhari hoti hai aur her haal mein zindagi basar karnay ka dhang jantay hain. Ye lakeer k faqeer nahi hotay. Her kaam saliqe se kartay hain. Apna maqsad hasil karnay ke liye pori lagan aur mehnat se kaam kartay hain. Burj hamal se taluq rakhne wale afraad mein musbat zehen walay afraad ko agar koye kaam karnay mein mushkil paish arahi ho to wo himmat aur tahammul se is per qaabo panay ki koshish kartay hain. Aur agar yehi mushkil manfi zehen walay afraad ko arahi ho to wo himmat aur tahammul k bajaye dil chor bethtay hain ya yun kehna chahiye k wo shikast tasleem kar letay hain. Wo kaam chor detay hain. Musbat aur manfi dono afraad mein aik baat mushtarka hai ke ye afraad apni tareef pasand kartay hain. In mein baaz bohat ziyada khushamad pasand hotay hain.

Aries Women In Urdu


Burj hamal (Aries) khawateen baray dil o dimagh ki maalik hoti hain aur romaan pasand bhi. Is burj ki khawateen bari zaheen aur mehanti hoti hein. Jaddo juhad aur koshish mein bara sukoon mehsoos karti hein. Aries khawateen ki aik eham khususiyat ye hai k sirf wo aik say muhabbat karti hein aur taa hayaat onhi ka dam bharti hein. Is burj ki khawateen ideal prast bhi hoti hein. Is k baayis baaz auqaat ye sadmay say bhi dochaar hoti hein.

Aries Life Partner


Aries Woman and Gemini Men


Aries aurat aur joza mard kamyaab jiven sathi sabit hotay hein. Dono baatoni hotay hein. Raat din baatoun mein masroof rehtay hein aur to ye hai ke sonay mein bhi bolnay say baaz nhi aatay. Dono mein takraar aur behas o mubahesa bhi hota rehta hai. Baaz auqaat dono mein ghalat fehmiyaan bhi paida hojati hein lekin zubaani had tak aur thori dair ke baad phir ye dono hansi khushi rehnay lagtay hein. Gharz Aries aurat aur joza mard aik dosray ke achay rafeeq-e zindagi saabit hotay hein.

Aries Woman and Cancer Men


Aries aourat ki taraf sartaan mard foran maayel hojata hai. Sartaan mard na sirf un k husn ki tareef karta hai un ki taazeem mein bhi koi kasar utha nhi rakhta wo apni pur mizaj baatoun say Aries aourat ko bohat hansata hai. Aur osay baawer karata hai k wo os say boht mutassir hai aur wo is baat ki kabhi parwa nhi karta k kisi moqay per kis baat mein pehal karni chahiye. Aries aurat mein aik baat hoti hai k ye kisi ka hukum nhi maanti balkay agar koi piyaar say ghalat kaam karnay ko kehay to foran raazi hojati hein.Sartaan mard ko bhi chahiye k wo Aries aourat say piyaar say baat kray. Is tarha dono ki zindagi misaali bun sakti hai. Warna !

Aries Woman and Leo Men


Burj hamal (Aries) aurat aur asad mard ki muhabbat agarchay pur josh aur ajeeb-o-ghareeb hoti hai taahum is mein baaz auqaat aik dosray k sard tarz-e amal k baayis jSazbaati talatum bhi barpaa hojata hai lekin jazbaati tufaan ka arsaa nihayat mukhtasir hota hai aur dono jald hi pur sukoon hojatay hein. Beher kaif asad mard aur Aries aourat aik dosray k achay jiven sathi saabit hotay hein.

Aries Woman and Scorpio Man


Burj hamal (Aries) aurat aur aqrab mard in dono ki izdiwaji zindagi nihayat kamyaab bhi hosakti hai aur be had nakaam sabhi aries aur aqrab dono baray taiz mizaaj k maalik hotay hein. Apni baat per adh janaa in ki aadat hoti hai. Dono ki apni koshish say ye rafaaqat kamyaab sabit osakti hai.

Other Stars In Urdu


Aries aurat aur qous mard acha jora saabit hota hai. Qous mard azaadi pasand hota hai aur Aries aurat bhi is nazarye ki haami hoti hai. Aries aurat aur mezaan mard ka jora kamyaab isi surat mein hosakta hai ke Aries aurat sabar o tahammul se kaam lay. Aries aurat aur hoot mard dono achay rafeeq hosaktay hein magar is surat mein k Aries aurat zindagi ko hoot mard ki ainak say dekhay.

Saturday, 7 December 2013

Virgo Horoscope In Urdu || Sumbla Star In Urdu ||Virgo Star In Urdu || Virgo In Urdu || Virgo Personality

Virgo Horoscope In Urdu || Sumbla Star In Urdu ||Virgo Star In Urdu || Virgo In Urdu || Virgo Personality
                                                VIRGO

Virgo starts from 22 August until the end of 22 September. Virgo are strongly intelligent and be practical. They live successful in life. The positive Virgo has observant nature with strong power of organization. The negative Virgo examines others for their faults. It is base on reality. They are too smart and false promise in love. As a friend, Virgo is loyal and kind. Virgo takes his responsibilities to his family very seriously. Virgo is reserved in nature and it may take some time to build up confidence in your romantic affairs, but if Virgo were ever disappointed in love, you would not find it easy to get over it. In this page, you will find information about Virgo in Roman Urdu.

Burj Sumbla In Urdu

Virgo
22 August - 22 September

Nishan Kunwari Dosheeza
Ansar Mitti
Hakim Saiyarah Atarod
Khush Bakhti ka adad 5
Mawafiq rang Banafshi, Dhani, Sabz, Asmani

Saad Patthar Pukhraj



Sumbla Afrad Aur Gharelo Zindagi


Agar hum logon kay khandani halat per nazar dalain to hamain baz aisay joray nazar aingay jo khud to khushi aur musarat ki zindagi guzar rahay hain lakin un kay taluqat apnay hi khandan kay dusray afrad sey kashida hain. Burj sumbla sey taluq rakhnay walay afrad jin mein mard aur khawatin dono shamil hain, amuman iss khususiat kay hamil hotay hain. Sunbla mian biwi apnay rishtadaron sey door rah ker zindagi guzartay hain aur inko iss tarah ziada itmenan hasil hota hai. Ristadaron sey woh bohot ghabratay hain, inkay sath unkay taluqat bilamoom kashida rahtay hain, isi leye woh apnay rishtadaron sey dur rehnay mein hi afiat samajhtay hain. Sumbla Burj sey taluq rakhnay walay mard aur khawateen baz auqat apnay door kay kisi rishtadar sey shadi kerlatay hain lakin ye rishata inhain ras nahi ata aur iss qisim kay bohot kam Sumbla mian biwi kamyab zindagi guzartay hain.

Virgo Afrad


Khandani zindagi sey motaliq aik Sumbla fard ka taso`uar bohot buland hota hai. Woh iss baat per yaqen rakhtay hain zindagi ka bojh mian biwi mil kar uthana chahiye. Ye aik aisi zimmeydari hai jisay sirf aik fard pura kar sakta hai na aysa karna durust hai. khandani zindagi sey mutaliq inka ye tasauar iss leye hai kay woh har mamlay ki tarah khandani mamlat ko bhi ghair jazbati andaz mein dakhtay hain aur har kam kay leye aqli jawaz zaruri samajh tay hain aqal ki yahi rahnumai in kay leye aetamad aur quwat ka sar chashma hoti hai. Isi ki wajah sey who na sazgar halat mein bhi zindagi guzarnay ka dhang sekh latay hain. Agar paisay ki kami hui to kifayat shuari say kam latay hain aur agar unki mushkil mehnat aur jadoo jahad sey dur hosaktay to woh aurjadoo jahad ko ba raza aur ragibat apna latay hain Sunblah mian biwi ye sari moshaqat aur taklef kisi shikway aur shikaiat kay bagai bardasht ker saktay hain ye sahi hai kay aidilast yani tasaur parast honay ki wajah sey inn logon ko kuch mushkilat paish ati hain lakin woh haqaiqat ko taslem karnay sey guraiz nahi kertay jab zarurat parti hai to iss kay motabiq khud ko dhal latay hain.

Virgo Personality In Urdu


                                   Virgo Ki Khususiyat

Sumbla (Virgo) afrad mein apnay ghar chalanay ki fitri salahiyat hoti hai. Virgo ki Personality inn logon mein nahin hotay jin ko phohar aur bad saliqa kaha jata hai Virgo kay ghar mein har chez saf suthri aur saleqay ki milay gi. Har chez tarteb sey apni jaga per rakhi hogi. Virgo apnay ghar per fakhar aur naz kertay hain aur chahtay hain kay agar koi mehman unkay ghar mein aiye to usay kio shikayat har giz nah ho. Maiz kursi sofay qaleen takhat gadday saf suthray hon. Palango per palang posh paray hon aur chadron mein kahein silwat nazar na aye. Agar cha phohar pun, bay tartebi aur gandagi Burj Sumblah say taluq rakhtay walon kay mezaj sey mail nahi khatein lakin woh ghar ko saf sutra aur dhang sey rakhnay kay leye jo taklif uthatay hain iss ki waja sey unkay asab mitasir honay lagtay hain. Har kaam ko bay nuqs aur bay aib bana nay ka khabt unko januni kafiyat mein mubtala ker data hai aur ye kafiyat khas tour per in khawatin per tari rahti hai. Jo biwi ya maan ki hasiyat sey ghar ki zimmadar hoti hain aur jin ko apnay shauharon aur bachchon ka tawun hasil nahi hota hai.

Ye kay woh iss mamlay mein un per atammad nahi kar saktein. Aisi khawatin jab dakhti hain kay woh iss maiyar ko jo unhain matlob hai barqarar nahin rakh saktin to phir unka radday amal ye hota hai kay woh ghar ki taraf sey bay parwa ho jati hain aur “bhar mein jaye ye safai suthrai” kah kar har chez sey ghafil ho jati hain, jis ka natija ye nikalta hai kay aik misali ghar phohar khana ban jata hai jahan safai hoti hai nah saliqah nah qarena unka ye raddye amal fitri hota hai aur unko sahat kay leye zaruri bhi hai kiyoon kay agar woh iss radday amal ka izhar na karain to un kay aasab jawab day saktay hain. Burj Sumbla sey taluq rakhnay walay afrad yaksaniyat sey bohot jald ghabra jatay hain, agar che woh apni rahaish gah ko badalnay ka khail pasand nahi kartay kiyoon kay usay dilkash bananay aur sajanay mein pehlay hi bohot waqt sarf kar chukay hotay hain lakin jab woh aik makan chor kar dosray makan mein muntaqil honay per majbur hatya hain to ye muntaqli un kay leye bari dilchusp sabit hoti hai. Woh bari khushi say apna boria bister samait nay mein masrof ho jatay hain. Har chez ko qaiday sey jama kar aur tah kar kay pack kartay hain aur jab dusray ghar pahoch jatay hain to hasb sabiq apnay naie ghar ko arastah kernay aur sajanay mein masruf ho jatay hain. who ye kam aisi dilchaspi sey kertay hain kay goia ye un kay leye bari tafreh hai.
Sunbla afrad ko agar che apnay ghar sey gahri dilchspi hoti hai lakin unkay leye zaruri hai kay woh kuch waqt ghar sey bahar sair o tafreh mein bhi guzarain. Aisi Sumbla aurat ko jo khaton e khana ho aur ghar hi mein iss ki sab say bari zimmay dari ho khas taour per iss baat ka khayal rakhna chahiye kay agar kabhi who khud ko udas aur bay kaif mahsos karay aur iss ki tabyat mein chir chira pen paida ho jaye to isay samajh layna chahye kay woh ghar kay kamon sey thak gai hai aur usay tafreh ki zarurat hai. Aisi khawatin kay leye behter hai kay woh har haftah kahein bahar chali jaya karain. Hamari khawatin kay leye rishtadaron aur saheliyon sey mulaqat bhi aik bari tafreh hai iss tarah unko apnay dil ki bharas nikalnay ka moqa bhi mil jata hai. Sumbla afrad ko jo fitri tour per hasas tabiyat kay malik hotay hain ye baat achchi tarah zahan nashein ker lani chahiye kay agar unhon nay khud ko band jagahon mein ziada arsa mahsor rakha jaye to jald hi bad mezaj aur chir chiray ban jayein gay aur dosron per baat baat ataraz aur tanqeed kernay lagain gain












Rang Gora Karne Ka Tarika In Urdu

           Rang Gora Karne Ka Tarika In Urdu

Har aurat ki khuwahish hoti hai keh is ka rung gora ho waise to har qisam ki rungat par make up ho jata hai aur agar dhang se kia jaya to kali jild bilkul saaf-o-shaffaf nazar aati hai. Aaj aap ko rung gora karne ke chand tareeqe batate hain jin se aap zarur faidah uthayain.

1-Milk mein badam pees kar malne se jild(skin) ki rungut saaf ho jati hai.

2-Pani mein lemon ka aurq aur namak mila kar ghusal (bath) karne se jild ka rung nikhar jata hai.  

 
3-Kaghzi lemon ke tukre jin mein rus nichor lia gia ho chehre(face) par malein zarur faidah hoga.

4-Milk mein jo aur gehon ka aata mila kar ubtan banaiye aur phir ise apne chehre par malye chand dinon mein hi farq mehsus ho ga.

5-Tazah garam doodh se munh done se bhi rungat saaf ho jata hai.

6-Thori si balayi mein chand qatre lemon ke daal kar chehre par malein jild hi asrat zahir ho.

7-Akhrot ke tail mein karwe badam pees kar badan par malne se jild saaf ho jati hai.

8-Do chamcha doodh mein aik chamcha pisa namak milayain aur ise sone ke waqt chere par malein. Subha thande pani se dho lein aap dekhein gi keh aap ke chehre par chamak aaye gi.

9-Glasreen mein lemon ka rus mila kar rakh lein. Har raat monh dho kar lemon mile glasreen ki monh par malish karein. Is se chehre nam ho ta hai rung nikharta hai chere ki rungut nikharne ke liye yeh aik behtareen lotion hai. chehre ki rungut nikharne ke liye jadu ka asar rakhta hian.

10-Chehre par lemon ke chilke ko pees kar arq-e-ghulab mein mila kar chehre par malne se chehre ki rung saaf hota hai. mahase chaiyan aur phunsiyan waghaira bhi chehre par hon to is ke malne se faida hota hai.

Friday, 6 December 2013

Fifa World Cup 2014 Schedule

Fifa World Cup 2014 Schedule || Fifa World Cup 2014 Fixtures

fixture schedule for the 2014 World Cup in Brazil.
Following Friday's draw in Salvador, Sky Sports brings you the full fixture schedule for the 2014 FIFA World Cup finals in Brazil, from the opener at the Arena de Sao Paulo on Thursday 12 June to the final in the Maracana in Rio on Sunday 13 July (kick-offs are UK times, BST).

GROUP A: BRAZIL, CAMEROON, MEXICO, CROATIA

Thursday, June 12: Brazil v Croatia in Sao Paulo at 2100
Friday, June 13: Mexico v Cameroon in Natal at 1700
Tuesday, June 17: Brazil v Mexico in Fortaleza at 2000
Wednesday, June 18: Cameroon v Croatia in Manaus at 2000
Monday, June 23: Cameroon v Brazil in Brasilia at 2100
Monday, June 23: Croatia v Mexico in Recife at 2100

GROUP B: SPAIN, CHILE, AUSTRALIA, HOLLAND

Friday, June 13: Spain v Holland in Salvador at 2000
Friday, June 13: Chile v Australia in Cuiaba at 2300
Wednesday, June 18: Spain v Chile in Rio at 2300
Wednesday, June 18: Australia v Holland in Porto Alegre at 1700
Monday, June 23: Australia v Spain in Curitiba at 1700
Monday, June 23: Holland v Chile in Sao Paulo at 1700

GROUP C: COLOMBIA, IVORY COAST, JAPAN, GREECE

Saturday, June 14: Colombia v Greece in Belo Horizonte at 1700
Saturday, June 14: Ivory Coast v Japan in Recife at 2300
Thursday, June 19: Colombia v Ivory Coast in Brasilia at 1700
Thursday, June 19: Japan v Greece in Natal at 2300
Tuesday, June 24: Japan v Colombia in Cuiaba at 2100
Tuesday, June 24: Greece v Ivory Coast in Fortaleza at 2100

GROUP D: URUGUAY, ITALY, COSTA RICA, ENGLAND

Saturday, June 14: Uruguay v Costa Rica in Fortaleza at 2000
Sunday, June 15: England v Italy in Manaus at 0200
Thursday, June 19: Uruguay v England in Sao Paulo at 2000
Friday, June 20: Italy v Costa Rica in Recife at 1700
Tuesday, June 24: Italy v Uruguay in Natal at 1700
Tuesday, June 24: Costa Rica v England in Belo Horizonte at 1700

GROUP E: SWITZERLAND, ECUADOR, HONDURAS, FRANCE

Sunday, June 15: Switzerland v Ecuador in Brasilia at 1700
Sunday, June 15: France v Honduras in Porto Alegre at 2000
Friday, June 20: Switzerland v France in Salvador at 2000
Friday, June 20: Honduras v Ecuador in Curitiba at 2300
Wednesday, June 25: Honduras v Switzerland in Manaus at 2100
Wednesday, June 25: Ecuador v France in Rio at 2100

GROUP F: ARGENTINA, NIGERIA, IRAN, BOSNIA-HERZEGOVINA

Sunday, June 15: Argentina v Bosnia-Herzegovina in Rio at 2300
Monday, June 16: Iran v Nigeria in Curitiba at 2000
Saturday, June 21: Argentina v Iran in Belo Horizonte at 1700
Saturday, June 21: Nigeria v Bosnia-Herzegovina in Cuiaba at 2300
Wednesday, June 25: Nigeria v Argentina in Porto Alegre at 1700
Wednesday, June 25: Bosnia-Herzegovina v Iran in Salvador at 1700

GROUP G: GERMANY, GHANA, UNITED STATES, PORTUGAL

Monday, June 16: Germany v Portugal in Salvador at 1700
Monday, June 16: Ghana v United States in Natal at 2300
Saturday, June 21: Germany v Ghana in Fortaleza at 2000
Sunday, June 22: United States v Portugal in Manaus at 2000
Thursday, June 26: United States v Germany in Recife at 1700
Thursday, June 26: Portugal v Ghana in Brasilia at 1700

GROUP H: BELGIUM, ALGERIA, SOUTH KOREA, RUSSIA

Tuesday, June 17: Belgium v Algeria in Belo Horizonte at 1700
Tuesday, June 17: Russia v South Korea in Cuiaba at 2300
Sunday, June 22: Belgium v Russia in Rio at 2300
Sunday, June 22: South Korea v Algeria in Porto Alegre at 1700
Thursday, June 26: South Korea v Belgium in Sao Paulo at 2100
Thursday, June 26: Algeria v Russia in Curitiba at 2100

LAST 16
 
Saturday, June 28: Match 49 - Winner A v Runner-up B in Belo Horizonte at 1700
Saturday, June 28: Match 50 - Winner C v Runner-up D in Rio at 2100
Sunday, June 29: Match 51 - Winner B v Runner-up A in Fortaleza at 1700
Sunday, June 29: Match 52 - Winner D v Runner-up C in Recife at 2100
Monday, June 30: Match 53 - Winner E v Runner-up F in Brasilia at 1700
Monday, June 30: Match 54 - Winner G v Runner-up H in Porto Alegre at 2100
Tuesday, July 1: Match 55 - Winner F v Runner-up E in Sao Paulo at 1700
Tuesday, July 1: Match 56 - Winner H v Runner-up G in Salvador at 2100

QUARTER-FINALS

Friday, July 4: Match 57 - Winner Match 49 v Winner Match 50 in Fortaleza at 2100
Friday, July 4: Match 58 - Winner Match 53 v Winner Match 54 in Rio at 1700
Saturday, July 5: Match 59 - Winner Match 51 v Winner Match 52 in Salvador at 2100
Saturday, July 5: Match 60 - Winner Match 55 v Winner Match 56 in Brasilia at 1700

SEMI-FINALS

Tuesday, July 8: Winner QF1 v Winner QF2 in Belo Horizonte at 2100
Wednesday, July 9: Winner QF3 v Winner QF4 in Sao Paulo at 2100

THIRD-PLACE PLAY-OFF

Saturday, July 12 in Brasilia at 2100

FINAL

Sunday, July 13 in Rio de Janeiro at 2000
All times are listed as British Summer Time.


 
 
 

 


 

Fifa World Cup 2014 Groups

                        Fifa World Cup 2014 Groups