Islam Mein Aurat Ke Huqooq In Urdu | Rights of Women In Islam | Islam Mein Khawateen Ke Huqooq | Aurat Ke Huqooq In Urdu
Islam Mein Aurat Ke Huqooq In Urdu
Rights of Women In Islam In Urdu
Islam Mein Khawateen Ke Huqooq
islam aurat ko bht ehem aur khas tarjeeh deta hy,
aurat na hoti na hoti to shyed ye duniya b na hoti ,humara culture tehzeb rehen sehen,khana peena uthna jagnna soona ,hata ke her amal hmare liye mkahsoos rakha hy ALLAH Ne .esitrha duniya k liye kya se kya behter aur ese kstrha qyem rkhna hy ye b ALLAH ne mukarer ker rakha hy,
hum sochnge to to aik gheri soch me doob jyenge magr jahan tak hmare soch pochn nahi skti ALLAH ne estrha apne takhliq ko barkarar rkaha hy
insan es duniya me sirf ibadt aur islam k banye hue usoolon per laya gya hy ta ke apne mailk (paida kerne wala ,ibadt k lyek ,aik hi rab)
ki ibadat ker ske..
esi liye ALLAH ne insan ko duniya me bheja hy,
ab chlte hian us manzar ki taraf jahan duniya me sabse pehli bibi HAZART BIBI HAWA A.S
ko duniya me bheja gya ,,
Allah pak Rahim Karim hain onko Hazrat Adam(a.s) ka ghamghin rehna passand na aya isliay Allah pak nay ilm ramal ka nokta bazariay Jibrael(a.s) hazrat Adam(a.s) ko dia.
Yeh Aak tarah say chupi paheli ya qudrat ka raaz samaya hoa math kay equation ki tarah ak equation tha jisay Adam(a.s) ko apni zahanat say solve karna tha aur isi kay zariay Bibi Hawa(a.s) ko dhondna tha, yeh aak mission tha jis main hazrat Adam(a.s) nay apnay aap ko busy kar lia is equation ko samajnay main Hazrat Adam(a.s) ko kafi arsa lag gaya aur isi arsay main Aap(a.s) qudrat kay kafi raaz samajnay lagay aur Aap(a.s) nay Apnay RAB e karim ki khudai ka moshaida kia aur jab Aap(a.s) pori kainat kay system ko samjha, ghor kia to sajday main gir gay aur ro kar ghir gara kar apnay Rab say Maafi mangi aur Allah pak nay onko maaf kardia, yeh ilm to aak bahana tha is ak ilm say hazrat Adam(a.s) nay kai oloom seekh liay, kainat kay nizam ko samjha, Khuda kay 99 sifat ka moshaida kia aur apnay Rab ko pehchana, isi ilm kay zariay aap nay Bibi Hawa(a.s) ko dhond lia aur dil main khof e khuda payda hoa aur ro kar gir gira kar apnay Rab say maafi mangi, Allah pak yehi chahatay thay kay woh meri kainat main ghor wa fikar karay meray nizam ko samjhay mujhay samjhay kay ,main kon hon isi liay yeh muqadas ilm ramal wahi kia gaya Hazrat Adam(a.s) par.
Hazrat Adam(a.s) nay ilm ramal ki rayt par bani 2 figures main kistarah ghor kia aur is ilm ko samja iski muktasir tashreh ko yahan share ker rhi hoon,
Hazrat Jibrael(a.s) nay jo 4 dots rayt par dalay thay in 4 dots ko hazrat Adam(a.s) nay 4 elements yehni anasir say mansob kia woh 4 elements hain: Fire, Air, Water, Earth,
isitarah hazrat Adam(a.s) nay is ilm par abhor hasil kar lia aur Hazrat Bibi Hawa(a.s) kay halat is ilm say malum kiay aur ak din on say ja milay, aur apnay ilm say khuda kay 99 mubarik isma al-hosna main ghor kia aur kainat kay nizam ko samjha aur khuda ki raza onko hasil hoi aur jannat kay darwazay onkay liay dobara khol gay,
sureh nisa ayat no 11 me farmaya gya hy k
"ALLAH tmhne tmhari aulad k bare me takedi hukum deta hy 'mard k liye do aurtonk k hisse k baraber hy,
phr agr aurtein do se uper hoon to'unke liye jo us ne chora uska do tehayi hy,aur agr wo aik hi aurat hy to uske liye nisf hy,
aur tmhare liye jo tmhari biwiyun ne chora uska nisf hy,agr unki aulad na ho.
phr agr unki aulad ho to tmhare liye jo unhon ne chora unka chotha hissa hy.ye wasiyat jo wo kren ya qarza ada kerne k bad(yani uske walden aur aulad na ho)magr uske koi bhai ya bhen hoon to un se her aik ka chata (6) hissa hoga
aur agr aurat jiska virsa liya jana hy kalala ho
aik aur ayata me farmya gya hy
aur agr tum aik biwi ki jaga dosri biwi badlna chaho to,aur tum un me se ksi ko soney k dhere de chukey ho to,b us me se kuch na lo,kya tum wo buhtan bandh ker khula gunnah ker k lo gey."? surhe nisa ayat no 20
ayat no 21 me batya gya hy k
"magr tum wo ekse leskte ho ,jab tum aik dsorey se suhbat ker chukey ho,aur wo tum se pukhta iqrara le chuki hy,un aurtaon se nikah na karo jnse tmahre baap nikah kerchukey hian,jo guzar chuka ,
beshak wo ye behayayi aur nafrt ki bat hy aur ye buri raah hy."
tum per haram ki jati hian tmhari mayen ,tmhari betiyan,tmhari behnetmhari bhanjyan,tmhari phuphyan,tmhari khalayen,tmhari bhanjyan ,aur bathijayn,jinho ne tmhaen doodh pilaya,tmhrae dodh shreek behne,tmhari biwiyn ki mayen,aur tmahri hifazat me tmhari soteli betyan,
jo tmhari un aurtaon me se hian jin se tum taluq qayen kerchuke ho,han agr tum ne taluq qyem nahi kiya to tum per koi gunnah nahi,
tmhare un beton ki biwyan jo tmhare pusht se hoon,aur ye k tum do behen jama kero,magr jo guzar chuka
beshk ALLAH rehm kerne wala bakhshne wala hy. sureh nissa ayat no 23
aur shadi shuda aurtein b siwaye unke j n per tum ne jung me qabza kiya ho(haram hian)
aur tmhare liye ALLAH ka hukum hy aur unke siwa jo b hianwo tmhare liye halal hian,
ta ke tum apne maal se khana abadi chaho na ke azad shehwat rani karo,
phr us fayede ki aewaz,jo tum unse hasil kerte ho,unke mukarar kerdo,mehir unhen ada kerdo,
magr mehir mukarer hojne ka bad tum js bat per b baham razi hojao,us per tmahre liye koi gunnah nahi (sureh nissa ayat no 24 )
sureh nissa ayat no 25
aur jo tum me itni gunjaish na rakhta ho k momin sharif zadyun se nikah kare wo tmhari un momin larkyun se nikah kerle jotmhare qabze me hian,
aur ALLAH tmhare eman ko khoob janta hy aur tum aik dosre se hi ho,esliye unse unke ghar walon ki ijazat se niakh kerlo,aur unheh dastoor ke mutabik unke mahir ada kerdo."
ayat no 32 me farmya gya hy
"aur ALLAH ne tm se aik ko dosre per jo bartari di hy, uski tammana na kro,mard jo kamatey hian us me unka hissa hy,
aur jo aurat kamati hy,us me unka hisa hy,aur ALLAH se uska fazal mango, beshak wo dene wala hy
ye the kuch farman jo quran me wazih kiye aurton k mutabik ,
islam ne her mard chahe aurat k liye baraber hoqooq rkhey hian.beshak smjhne wala sirf insan aur hidayat dena wala sirf ALLAH hy,
duniay me jahan khawatein ka makam hy wo baizat tor per batane wala sirf hmara mahzhab islam hy jsne aurat k liye makhsoos izzat ka drja sunhere alfaon me diya hy ,
aj duniya bhr me agr dekha jaye to wo islam hi hy jahan aurat k liye anek naimatien rakhi gyi hian .aur zindagi serf kerne ka bht asan aur buland ,baizat tareek batya gya hy,
her aurat ,biwi bet bahu, wagera k apne apne makam diye gye hian ,ye sab batne wala seddah aur sacha rasta dikhne wala ALLAH hy .jahan islam me aurat pur aman aur izzat aur aram se zindgi basr ker skti hy,
" aurat pasli(bone) se paida hui hai, wah kisi tarah bhi (muqammal taur par) seedhi nahi ho sakti, agar tu usse fayeda uthaana chahe to is tedh ki maujodagi me hi faayeda utha sakta hai, aur agar tu use seedha karne lagega to use todh baithega, iske tootne se muraad talaaq hai"
( sahih muslim kitabur rijaa, baab wsaah bin-nisa hadith 1468)
ek dusri riwayat me hai
" main tumko wasiyat karta hun ki aurton se bhalaayi karte rahna, kyonki aurton ki paidaish pasli se hui hai, aur pasli uper ki taraf zyada tedhi hoti hai, agar tu use Seedha karna chahega to todh daalega, aur agar rahne dega to tedhi hi rahegi, main tumko wasiyat karta hun ki aurton ke saath bhalaayi ke rahna"
( sahih bukhari, kitabun nikaah, baab wasah bin nisa, h 4890)
Islam ne mard wa aurat ki zahni wa jismaani shakht aur banaawat ko madd'e nazar rakhte hue dono ke liye alag alag huqooq(rights) aur faraiz muqarrar kiye hain,
kuch umoor me dono ko baraabar ka darja diya gaya hai, kuch me kam aur kuch me zyada, jin umoor me baraabari ka darja diya gaya hai, uska tazkirah yahan munaasib hai
islam me izzat wa aabru ki hifaazat ke liye jo ahkaam mardon ke liye hain wahi ahkaam aurton ke liye hain,
izzat wa aabru ke taalluq se aurat ka maamla mard ki nisbat zyaada naazuk hai,
chunanche islam ne aurat ki izzat wa aabru ki hifaazat ke liye alag wa shakht ahkaam naazil farmaaye hain
allah taala farmata hai:
" jo log paak daaman , bholi bhaali, ba' imaan aurton par tohmat lagaata hai wah duniya wa aakhirat me maloon hai aur unke liye bada bhaari azaab hai"
(surah noor 23)
" ghafalaat" se muraad aisi bholi bhaali nek dil khwateen hain jinke zehan fahaashi ke kaamon aur cheezon se khaali hai, Aur is surah ki ayat no 4 me farmaya
" aur jo log paak daaman aurton par zina ki tohmat lagaayen phir 4 gawaah pesh na kar saken to unhe 80 kode lagaao, aur kabhi bhi unki gawaahi qubool na karo, yahi faasiq log hain"
yani is me qazaf (bohtaan taraashi) ki saza bayan ki gayi hai ke jo shakhs kisi paak daaman aurat ya mard par zina ki tohmat lagaaye ( isi tarah jo aurat kisi paak daman aurat ya mard par zina ki tohmat lagaaye) aur wah ba'taur saboot 4 gawaah pesh na kar sake to unke liye 3 ahkaam bayan kiye gaye hain
1- unhe 80 kode lagaao
2- unki gawaahi kabhi qubool na ki jaaye
3- wah faasiq hai
aur isi surah ayat no 20 me aurat ke liye saza ke taur par 100 kode bayaan kiye gaye hain aur agar koi unme se shadi shuda(married) hai to uski saza sang saari hai( yani pattar maar maar kar maut dena)
nabwi daur me ek aurat andhere me namaz ke liye nikli raaste me ek shakhs ne us aurat ko gira diya Aur zabardasti uski asmat dari ki, aurat ke shor machaane par log aagaye, aur zaani pakda gaya, rasool akram(sws) ne use sang saar karwa diya aur aurat ko chhod diya
(tirmizi, abu dawood)
aurat ki izzat wa aabru ke maamle me qaabil zikr aur aham baat ye hai ke shariat e islamiya ne uska koi maadi ya maali mu'aawza qubool karne ki izaazat nahi di
aik aur bat jo aik gehra sach hy wo me aap sbse se share kerna chahti hoon
aur ye baat bhi apni jagah musallam hai ke zamaana jahiliyat me aurton ki jaan ki koi keemat na thi, balke uski paidaish ko bahoosat ki alaamat tasawwur kiya jaata tha, isliye allah taala ne aurat ki jaan ki khaatir quraan kareem me bade ghazab naak lahze me aayat naazil farmayi
" aur jab zinda gaadi hui ladki se sawaal kiya jaayega ke kis gunaah ki wajah se wah qatl ki gayi"
(surah takweer ayat 9)
ye intehaai ghazab naak andaaz hai allah taala Zinda dafan karne waalon ko dekhna bhi pasand na karega aur us masoom se sawaal karega ke tum apna jurm bataao ke kis liye qatal ki gayi ho.
Ladki kahegi allah me jurm to bas itna tha ke tune mujhe ladki bana kar duniya ko raunak bakhsne ke liye bheja tha, magar insaaniyat se aari me walidain ne mere wajood ko tasleem nahi kiya
zamane jahiliyat ka yeh faal aaj bhi hamare culture me maujood hai jahan ladki ka pata chalte hi, uska maa ki god me hi qatl kar diya jaata hai,
jo family planning aur abortion ke naam se poori duniya me bade zor shor se jaari hai, kya kitab muqaddas par imaan rakhne waalon ki nigaahen quraan kareem ki tilaawat karte hue , is ayat kareema se nahi guzarti hain, jisme allah taala ne irshad farmaya
" aur (muflisi) ke khauf se apni awlaad ko qatl na karo, unhe aur tumhe bhi rizq ham hi dete hain,"
(surah bani israel 31)
yani gareebi ke khauf se aulaad ko qatal karna ye allah Taala ki razaqiyat par baraah raast hamla karna hai,
allah ham sabko is gunaah kabeera se bachne ki taufeeq bakhse...... Ameen
khawayein per wohi ehkam aur hoqoq banye gye hian jo mardon k liye banye gye hian,,
bazahir wo dekhne me mard se bilkul alag hy mgar wo b aik insan hy
jse es jahan me apne rab ki ibadat aur sunat e rasool s . a w k batye hue usoolon per amal kerne k liye bhjea gya hy..
Rights of Women In Islam In English
Exploitation of women rights is increasing day by day but at the
international level, media is only blaming Islamic society for the
suppression of the women rights. They never point out towards western
society and they are just busy in damaging the image of Islam. In fact,
Islam is the only religion which had defined the rights of women 1400
years ago. The reason behind writing this article is to guide those
people who are getting the wrong perception of Islam.
It is totally wrong that western culture
favors the rights of women. Actually, they are spoiling the actual image
of a woman. In Islam, there is no difference between the rights of men
and women. As it is said in Holy Quran, that women and men have got
equal rights. Men got preference only because they have to give
protection and respect to women.
But the women of this era made this a problematic point. It is
sufficient to read the translation of Holy Quran to clear all the
misconceptions about this war of rights. According to the western
society, Islam is a conservative religion but it is not a truth.
Western society has derided the femininity of women who are also
following the wrong ways. The so-called modern woman has lost herself in
the modernism of the west. All these things lead them towards
prostitution.
But we are Muslims and we should ponder that these things are against
the teachings of our religion. If we take an unbiased look on the
teachings of Islam, we will come to know that Islam is giving the proper
protection to the rights of a woman. It is Islam which has defined the
rights like:
- Spiritual rights
- Social rights
- Educational rights
- Legal rights
- Political rights
Religious and spiritual rights of women in Islam:
Islam considers a woman and a man
equally on religious and spiritual basis. They will get equal reward for
their good deeds and punishment for the wrong doings. There is no
difference between a man and a woman on the basis of wealth or beauty.
It is also said that everyone will get a partner according to his/her
nature i.e. noble persons will get noble wives and sinful individuals
will marry with bad persons. So it is not right to say that Islam is a
conservative religion without having knowledge of its teachings.