Abdul Sattar Edhi History In Urdu | Abdul Sattar Edhi In Urdu | Abdul Sattar Edhi Biography In Urdu | Abdul Sattar Edhi History In English
Abdul Sattar Edhi History In Urdu
“No religion is higher than humanity”
Abdul Sattar Edhi In Urdu
Abdul Sattar Edhi 1928 mein Bharat ki riyasat Gujrat
kay shehar Bantawa mein paida huye. Khidmat-e-khalq kay shube mein
Pakistan aur duniya ki jani mani shakhsiyat Abdul Sattar Edhi al maroof
moulana Edhi Pakistan mein Edhi Foundation kay sadar hain. Edhi
Foundation ki shakhein tamam duniya mein pheli hoye hai. In ki wife
mohtarma Bilquis Edhi Foundation ki sarbarah hain. Dono ko 1986 mein
awami khidmat kay shube mein saman maksa award say nawaza gaya.
Abdul Sattar Edhi ka walid kapray kay tajir
thay aur motawasit tabqon say taluq rakhtay thay. App paidaishi leder
thay aur shuro say hi apnay doston ki chote chote kamo aur khel tamashe
karne per hosla afzai karte thay. Jab in kay walida inhein school jate
waqt do pese dete to woh in mein say aik paisa kharch karlate the aur
aik paisa kisi zarurat mand ki zarurat puri karne kay liye de detay. 11
saal ki umar mein inhone apni maa ko dekh bhal ka kaam sambhala jo
shadeed qisim kay ziya diabetes mein mubtala thein. Choti umar mein hi
inhon nay apnay say phelay dusron ki madad karna sikh liya tha, jo agay
ki zindagi kay liye kamyabi ki kunji ban gaya.
1947 mein Taqseem-e-Hind kay baad in ka khandan
Bharat say hijrat kar kay Pakistan aya aur karachi mein abad huwa. 1951
mein app nay apni jama poungi say aik choti si dokan khareedi aur issi
dokan mein app nay aik doctor ki madad say choti si dispensary khuli
jinhone in ko tibi imdad ki mubadiyat sikhaye. Iss kay alawa app nay
yeaha apne dosto ko tadrees ki taraf bhi ragab kiya. App nay sada
tarz-e-zindagi apnaya aur dispensary kay samne bench per hi so late ta
kay bawaqt zarurat fouri tour per madad ko pohunch sake.
Edhi Foundation Pakistan
1957 mein Karachi mein bohot bare pemane per
flow ki wabah phali jis per Edhi sahab nay fouri tour per rade ammal
kiya. inhone nay shehar kay nowah mein khemey lagwaye aur muft madafati
adwaiyat farham kein. Mukhiyair hazrat nay in ki dil khul kar madad ki
aur in kay kamo ko dekhte huwe baqi Pakistan nay bhi imdadadi raqam say
inhone woh puri imarat kharedli jaha dispensary thein aur waha aik
zachgi kay liye center aur nurseon ki tarbiyat kay liye school khula
aur ye hi Edhi Foundation ka aghaz tha.
Anay wale salao mein Edhi Foundation Pakistan kay baqi elaqo tak
bhi phelti gai flu ki waba kay baad aik karobari shaksiyat nay Edhi ko
kafi bari raqam ki imdad di jis say inhone aik ambulance khareedi jis ko
woh khud chalate thay. Ajj Edhi foundation kay pass 600 say zada
ambulance hain jo mulk kay tool o arz mein pheli hoi hain.
Karachi aur undorene Sindh kay liye woh khud
rawana hote hain aur Edhi foundation ki hadsat per rade ammal ki raftar
aur khidmat municipal ki khidmaat ziada taiz behtar hain. Hospital aur
ambulance khidmaat kay alawa Edhi foundation nay clinic zachgi ghar
pagal khana mazoro kay liye ghar blood bank yateem khane lawaris bacho
ko goud lene kay marakaz panha hain aur school khule hai is kay elawa ye
foundation nursing aur ghardari kay cource bhi karwati hain... Edhi
marakazi aik khasiyat ye bhi hai kay Edhi marakz kay bahir bacha gari ka
ahtemam hai ta kay khawateen bache ki dekh bhal nahi kar sakti apne
bache ko yeaha chor kar ja sake is bache ko Edhi foundation apne yateem
khane mein panha deti hai aur isko muft taleem di jati hai.
Edhi International Ambulance ka qiyam
Foundation nay sirf Pakistan mein hi nahi bal
kay bain ul aqwami satah per bhi turraki ki hai. Islami duniya mein Edhi
foundation har musibat aur mushkil waqt mein aham imadad farham karti
hai. Jahaan imada aur nigrani Edhi bazat khud mutasira mumalik mein
jakar kartay hain. Pakistan kay elawa foundation jin mumalik mein kam
kar rahi hai in mein say chand naam Afghanistan,Iraq, Chechnya, Bosnia,
Sudan, Ethiopia aur qudrati afaat sonami say mutasira mumalik kay
hain.16 August 2006 ko Bilquis Edhi aur kubra Edhi ki janib say Edhi
international ambulance kay qayam kiya gaya jis kay tehat duniya kay
ameer gareeb ho ya diniya ka koi bhi mulk America,Uk, Israel, Shaam,
Iran Bharat, Bangladesh hon, mein ye ambulance batour atiya di jarahi
hain aur inhein hidiyat ki gaye hai kay woh ye ambulances ko 5 saal tak
istemal karne kay baad frokht kar kay iss ki raqam kherati kaamo mein
istemal karein.
Begum Bilquis Edhi aur Kubra Edhi nay is mouqe
per kaha kay woh duniya ka ameer ya ghareeb mulk ho wahaan mareez mareez
hi hota hai. ambulance ka maqsad insano ki jane bachana hota hai aur
humay iss baat ki khushi ho gi kay Edhi International Ambulance
Foundation ki ambulances duniya bhar mein insano ki janein bachayein
khwa woh London, New York , Tokyo, Tilabib, Beirut aur Damishq hoon.
inhon nay kaha kay insaniyat ki ban ul aqwami khidmat kay hawale say
hamara aik qadam aur age bhar raha hai. Ajj Pakistan kay alawa Islami
duniya mein bhi Edhi nay aik ghar khudgharz aur muhtarma shaks kay
tour sherat pai hai shurat aur izat kay bawud inhone apni sada zindagi
ko tarak nahi kiya woh sada rawati Pakistani libas pehante hain jo sirf
aik ya do din in ki mumlikat hai iske alawa in ki malkiyat khele joto
ka aik jora hai jis ko woh sabqa 20 sal say istemal kar rahe hain Aur ye
bhi haqiqat hai kay Edhi foundation ka begat aik caror ka hai jis mein
say woh apni zat per aik paisa bhi kharch nahi karte.
Edhi Foundation Ambulance Service
App kay beta Faisal batate hai jab Afghanistan
mein markaz ka iftetah kiya ja raha tha to amla mehmano aur sahafiuo
kay bethne kay liye kursiya kharedli jab Edhi wahan aye to woh is baat
say sakht khafa huwe khun kay in kay khayal mein ye raqam kisi zarurat
mand ki madad per kharch ki ja sakti thi. Iss raat clinic kay farash per
ambulance kay drivers kay sath soye. Ajj Edhi foundation taraqi ki rah
per gamazan hai. Edhi mustaqbil ki taraf dekhte huwe kahte hain, woh
Pakistan kay har alaqay mein per hospital tameer karna chahte hain.
Agar cheh in ko ahteram kay tour per moulana ka laqab diya gaya hai
lakin woh zati tour per is ko pasand nahi kartay. Inhone kabhi kisi
mazhabi school mein taleem hasil nahi ki. Woh apne app ko doctor
kehalwana pasand kartay hain. khun kay insaniyat ki khidmaat per
Pakistan mein Institute of Business Administration say doctorate ki
azarai digri di gai hai.
Genis Book of world Record
Woh iss baat ko bhi sakht napasand karte hain
jab log in ki ya in kay kam ki taref kartey hain. Woh hukumat ya sabqa
mazhabi jamaton say imdad bhi nahi latay khun kay woh samjhte hain kay
in ki imdad mashrot hoti hai. General zia ul huq aur atalvi hukumat ki
imdad inhone issi khayal say wapas kardi thi. 1996 mein in ki khudnost
sawane hayat “khuli kitab” shaya hoi 1997 ki Genis Book of world Record
kay mutabiq Edhi foundation ki ambulance service duniya ki sub say bari
falahi ambulance service hai. Edhi bazat khud bagair choti kiye taweel
tareen arse tak kam karne kay alami record kay hamil hain aur record
bane kay baad bhi abhi tak inhone nay chutti nahi li.
1988 mein inhe lenun aman inam mila. 1992 mein
Pal Hires Rotary International foundation ka felo banaya gaya 2000 mein
insaniyat, aman aur bhai charay ka International Balzan Prize mila aur
2005 mein almi Meman tanzeem ki taraf say life time achievement ka azaz
diya gaya.
Abdul Sattar Edhi History In English
Abdul Sattar Edhi is a philanthropist of Pakistan. He was born in 1928
in Bantva, a small village of Indian Province of Gujarat. His mother was
paralyzed and mentally ill, died when he was 19 years old. This
incident made him inclined to work for humanity like old, mentally ill
and poor people. In 1947, Edhi and his family migrated to Pakistan. In
order to earn his living Abdul Sattar Edhi initially started to work as a
peddler. After a couple of years, he with the support of some members
of his community decided to establish a free dispensary. Soon his
personal vision made him decide to establish a Welfare trust named as
“ABDUL SATTAR EDHI FOUNDATION”. A maternity home was also established
and emergency ambulance service was started in the city Karachi. Now,
his ambulance service is the world largest ambulance service. There are 8
hospitals and blood banks in Karachi. 50,000 orphans are in Edhi homes
and 1 million children are delivered to Edhi homes.
He got a lot of international and national awards for his services for mankind. International awards are:
- Ramon Magsaysay Award for Public Service in 1986.
- Lenin Peace Prize in 1988
- Paul Harris Fellow from Rotatory International Foundation in1993
- Largest Voluntary Ambulance Organization of the World – Guinness Book of World Records in 2000
- Hamden Award for volunteers in Humanitarian Medical Services in 2000, UAE
- International Balzan Prize in 2000 for Humanity, Peace and Brotherhood, Italy
- Honorary Doctorate degree from the Institute of Business Administration Karachi in 2006
- UNESCO-Madanjeet Singh Prize 2009
- Ahmadiyya Muslim Peace Prize in 2010
- Silver Jubilee Shield by College of Physicians and Surgeons, Pakistan, from 1962–1987.
- The Social Worker of Sub-Continent by Government of Sind, Pakistan in 1989.
- Nishan-e-Imtiaz, civil decoration from Government of Pakistan in 1989.
- Recognition of meritorious services to oppressed humanity during eighties by Ministry of Health and Social Welfare, Government of Pakistan in 1989.
- Pakistan Civic Award from the Pakistan Civic Society in 1992.
- Shield of Honor by Pakistan Army (E & C)
- Khidmat Award by Pakistan Academy of Medical Sciences
- Human Rights Award by Pakistan Human Rights Society