Fasting (Roza)
Fasting (Roza) means to give up once
desires, food and drink from dawn to sun set. Fasting (Roza) is also
called Saum in Arabic. It is the third pillar of Islam and compulsory
for all Muslims. It is in the month of Ramdan when our glorious Quran
started to be revealed . If we take alook for fasting (roza) before
Islam the fasts are very long and tough. People are not allowed to talk
to each others and not allowed to answer anyones questions. In fasting
every one should do-good works such as praying regularly, ricet Quran ,
always speak truth and always try not to harm other people, and make
sure that always follow Allah’s orders in this page you will read a
article Fastin in Urdu( Roza) .
Fasting In Urdu (Roza)
|
Ramzan ul Mubarak who mahe mukadas hai.
Jis mein Allha taala ne apne akhari rasol Hazrat Muhammad (S.A.W) par
apne akhri katab Quran majid nazil farmai. Ye ahal e zamin ke leye Allha
talla ki ata karda aik bohat bari nemat hai jis par wo sari zindagi bhi
Allha ke hozor sajada e shukar ada karyein to bhi is nemat ka haq ada
nahi kar sakte. Is pak kitab ko pak perwardigar ne apne akhiri tajdar
sarwar e alam (S.A.W) ke qalab e athar par nazil farmaya jo ap(S.A.W) ki
zaban e mubarak se Umat e Muslima tak phoncha aur hidayat o rhenumai ka
sabab bana. Ye Quran e hakim hi ka ijaz hai ke is ne pori duniya mein
tohid ka inqilab barpa kar deya. Quran e hakeem ki azmat ka andaza is
baat se lagaya jasakta hai ke Allah Rab ul Izaat ne is ba barkat mahine
mein ahel e iman ko roza rakhne ka hukum farmaya, warna ye hukum kisi
aur mahine ke leye bhi deya ja sakta tha. Lekin ramzan karim mein ye
hikum de kar is maha e azeem ki azmat Ka Allah Rab ul Izzat ne is ba
barkat mahine mein ahle iman ko roza rakhne ka hukum farmaya , warna ye
hukum kisi aur mahine ke leye bhi to deya ja sakta tha. Lekin Ramdan
karim mein ye hukum de kar is mahe azim ki azmat bhi waze ki aur ahle
iman ko ye bhi bata deya ke ye jashan e nazol e Quran ka mahina hai.
Isi leye ahle iman ko mazid pak aur saaf karne ke leye inhein isi mahine
ke shaya nishan mutaqi banae ke leye roza rakhne ka hukum farmaya.
Arshad e rabani ha “ ae iman walon ! tum par roze farz kiya gaye jase
tum se phele walo par faraz kiya gaye the. Ta ke tum parhezgar ban
sako.”
Taqwa Kiya Hai?
Taqwa har woh acha, bhala aur naik kaam
ha jo insaniyat ki bhalayi ke liye bhi acha aur mufeed ho aur jis se aam
insanon ka bhala ho, inhein rehnumai mile aur in ke leye bhtar aur pak
zindagi guzarna asan ho. Taqwa ka koi pemana nahi ha aur na asi koi
baat ha ke mutaqi bana bohat mushkil ho. Har shaks mutaqi ban sakta ha
,taqwa hasil kar sakta ha , bas is ke leye shart ye hai ke woh har aala
se aala aur adna se adan kaam mein bhi shariyat par amal kare aur
sharai usolon ki pasdari karye , is ka ihteram karye. Har kaam is
tarike se injam de jis tarha se Allah Ta,ala aur us ke Rasol (S.A.W) ne
hukum diya hai.Ye hi shariyat hai.
Ramzan Ke Roze Ki Ahmiyat In Urdu
Ramzan ul Mubarak ke pore mahine mein
roze rakhne ka waze hukum deya gaya ha aur sath hi ye bhi kaha gaya ha
ke agar safar mein hon to degar dinon mein in ka shumar pora kare aur
agar bemar ho tab bhi in rozon ki mafi nahiha, in ki ginti bhearhal pori
karni ha. Phair ye bhi irshad farmaya gaya ha ke :” Agar tum samjho to
isi mein tumhari bhalai ha.”
Yaha Allah taala ne kitni aham baat khe
dali jis se aik taraf to roze ki ahmeyat ka andaza ho raha ha aur dosri
taraf ye bhi malum ho raha ha ke is se Allah ki raza bhi mil sakti ha.
Yani roze rakh kar insan dohra faida utha sakta ha. Aik taraf wo kuda ko
razi kar sakta ha aur dosri taraf akhirat meinbare inamat ka mustahik
ban sakat ha. Malum hoa ke roza rakh kar insan apna bhala ziyada karta
ha. Ye theek ha ke pore mazhabi ahtiram ke sath rakha gaya roza Allah ki
bargah mein qabol ho ga aur Allah ki khushi ka sabab bane ga., lekin
agar koi insan assa nahi karta aurroza nahi rakhta to wo apna hai nuksan
karta ha. Agar kise ne bila azar sharai roza chora ke bad meinkise
waqat ya ache musam mein rakh le ga to degar dinon ke rozeis ka badal
harkiz nahi hosakte. Jab ke ramzan ke aik faraz rpze ke badle 60 rpze
rakhne ka hukum ha, tb bhi ramzan ki saadat hasil nahi ho sake gi.
Ramzan ul Mubarak chun ke Quran ke nuzol
ka mahina ha is leye Allah rab ul izat ne ye hukum bhi farmya ke ramzan
mein apni raaton ko ntilawat e Quran aur kitab e mubin ki samaton se
sajao. Alhamdolilha hafiz akram ramzan ul Mubarak ki saadat raaton mein
tarahwi ki surat mein Quran e hakim ki tilawat farmate han aur degar
farzandane tohaid in ki samaat karne ki fazilat hasil karte han. Umat e
muslima par Allah rab ul izat ka kitna fazal aur kitna ahsan ha ke us
ne hume wo roze ata farmaye jin mein rahat bhi ha aur asani bhi. Roza
siraf mukarra uqat mein hi ha. Tuloye fajar se phele hum sabhi achi
tarhan kha pi lete han/Is ke bad siraf gorobe aftab tak hi khane pene ye
in umoor se ruke rahte han jo Allah taala ne roze ki halat mein mana
farmaye han. Is ke bad jab roza khol jata ha to pjair sab kuch khane
pana ki ijazat ha aurin umoor ko anjam dene ki ijazat mil jati ha
jinhein roze ki halat mein karne se mana kia gaya tha.
Lekin agar hum tulo e islam se phle ke
rozon par nazar dalen to us zamane ke roze bhoat lambe hote the aur
halat e roze mein mutadi kaam mana hate the. Misal ke tor par baz umaton
mein halate roza mein logon se milne june ki mumaniyat thi. Wo aik
dosre se baat cheet tak nahi karsakte the, bol nahi sakye the , kise ke
sawal ka jawab nhi desakte the. Is ke aik misal Hazrat e Issa (A.S) ki
ha, jab bibi Maryam Allah ke hukum se apni god mein nomulod le kar ayein
to degar logon ne bare tajasos aur heart ke alam mein inhein dekha. Wo
sab jante the ke bibi Maryam kawari han aur inhein kabi kise marad ne
nahi chowo ha, is leye wo heran the ke is suart mein ye bacha kahan e
agaya? Chunacha un sab hi ne bibi Maryam se is bache ke bare mein
sawalon ki barmar kar di. Is muqe par bibi Maryam ne apne mun par ungli
rakh karinhein ishare se ye bataya ke:” main roze se hun is leye bol
nahi sakta,” Lekin jab logon ke sawal bharte chale gaye to bibi Maryam
ne aik bar phair ishare se kaha ke jo kuch pochna ha, is bache se poch
lo. Is par wo sab hasne lage ke bhala itna chota bacha bhi bol sakta ha.
Lekin is muke par Allah taala ne apne nabi aur in ki walda majda ki
madad ki aur Allah ke hukum se nomulod ne kaha :” main Allah ka nbi hun
aur is ki kitab lekar aya hun.”
Mazkorah bala waqiye se malom hoa ke us
zamane ke rozon ki halat mein bolna ya zaban se kuch bhi khena mana
tha. Goya umat e muslima se phele wali umaton ke roze bohat sakhat the.
7,7 aur 8,8 din ke musalsal roze hoye the, darmiyan mein na kuch kha
sakte the ,na kuch pi sakte the, na kise se baat cheet kar sakte the
,aur na koi kaam karskte the. Jab is roze ki mudat mukamal ho jati thi
tab hi kha pi sakte the aur degar umoor anjam dete the. Jab ke aj ke
roze bohat asan han. Subha se raat tak hi ki topabandi ha. Subha se
phele sahari kar li, Is mein bhi baz log bohat daat kar khte han ji ki
wajha se din mein bhook lagti hi nahi. Ye tarika bhi ghalat ha . Sahari
mein siraf itna hi khana chiye ke sunat pori ho jaye aur rasol karim
(S.A.W) ke hukum ki tamil ho jaye. Bharahal aj ke rozon mein bohtat
saholat di gai ha. Roze ki halat mein roze dar baat cheet bhi kar sakta
ha , kaam kaj aur karobar bhi kar sakat ha, degar duniyawi umoor bhi
anjam de sakata ha, albita ye zaroriha ke roze dar halat e roza mein na
ghoot bole aur na kisi ki borai karay. Apni zaban ko har tarha ki
alodgi se pak rakhe, kise se koi ghalat baat na kahe, larayi jhaghra na
kare, aur koi is se ulhajne ki koshsh karye to ye khe kar kenara kar le
ke :” bhai main roze se hun.”Roze ki halat mein insan ko siraf ache
kaam karne chiyein, namazon ki pabandi kare, Quran hakeem ki tilawat bhi
kare aur samaat bhi. Sach bole jhoot se dor rahe. Boron ka adab kare,
Allah aur us ke rasol ke ahkamat ki pabandi kare aur khud ko pore saal
mutaqi banae ki tarbiyat hasil kare.
|
|