Saturday, 3 January 2015

Bodybuilding Tips In Urdu | Bodybuilding Tips For Men

Bodybuilding Tips In Urdu | Bodybuilding Tips For Men
 
 Bodybuilding Tips In Urdu
 
Bodybuilding Tips In Urdu
 

Bodybuilding Tips in Urdu

We considered body building is for men. Women in Western countries such as the body building, but they have adopted it as physical well-being. This healthy trend is visible in Pakistan. Now Pakistan is also increase body building club.

For losing excess fat from the tummy region and arms, general physical fitness training is required. Swimming, walking, running and hiking are considered as efficient exercises. Apart from that, you can do the following exercise: Lie on your back and place your palms against the floor next to your buttocks. Now bend your knees up wards and towards your chest. Slowly bring your legs to the original position. Control is the key here to give a great workout to your lower abdominal area. Doing this will bring you the benefits of sit ups without the additional strain on your neck and back. Start doing these exercises along with cardio training and a healthy diet, and you’ll start seeing your belly flab smaller and smaller. More over take a bowl of corn flakes with milk for breakfast. Vegetable curry along with some whole wheat product for lunch will be beneficial. Enjoy fresh fruits for snacks. More detail read in following in Urdu. You can read in this page bodybuilding tips in urdu, exercise in urdu, Warzish, fitness tips in urdu, fitness tips in hindi.
 

Exercise in Urdu (Warzish)

Hamare muashre mein body building pehlwani shumar hoti hai aur ise mardon ke liye makhsoos samjha jata hai jabkeh maghrabi mamalik mein khawateen bhi body building karti hain magar wo ise jismani sehat mand ke tor par manti hain. Yeh sehat mand rujhan Pakistan mein bhi nazar aaraha hai.

Ab yehan bhi sliming centre ki tarah body building clubs ki taadad mein izafah hua hai. Mard hazrat bhi yeh haqiqat jaan chuke hain keh dole shole banana se jismani khoobsurti barhane ke sath sehat ke buhat se masail makhsoos nahi na hi is mein khorak ke muamle mein kisi ahtiyat ya parheiz ki zaroorat hoti hai. Yeh tarz e zindagi insan ko ziadah fayal karta hai.

Exercise (warzish) sirf azlaat ko mazboot banana aur amraz e qalb se mehfooz karne ka kaam nahi karti balkeh nayi science yeh batati hai keh is se dimaghi quwat bhi paida hoti hai is nayi tehqeeq ne mukhtalif aasabi amraaz maslan alzheimer's se nimatne ki umeed bhi paida kar di hai exercise na sirf azlaat balkeh dimagh ko bhi tameer karti hai. Yeh dawa American neuroscientist Charlie Elman jinhon ne school ke 259 student ko aik tajurbe se guzara in ki bady mas index maalum kia aur rozmarrah ki exercise shuru kara dein in exercise mein buhat si aerobic exercise (warzish) shamil thi dekha yeh gia keh jo ache jismani tor par sab se ziadah fit the in ke dimagh bhi sab se ziadah ache the.

Ghalban haqiqat yeh hai keh sirf hard exercise ne hi student ki zehni salahiyat ko barha dia scientist ne yeh suragh lagaya hai keh be had hard exercise (warzish) se old age hote huye aasabi khalyat ko mazboot banaya ja sakta hai aur in ke bahimi connection bahal kiye ja sakte hain is se dimaghi salahiyat barh jati hai balkeh jismani sargarmi alzheimer's jaisi maazuri kar dene wali bimari ko rok skati hai tension aur degar dimaghi o aasabi amraz par bhi qaboo paya ja sakta hai is mein umer ki koi qaid nahi, nayi tehqeeq ne yeh bhi bata ya hai keh kisi bhi umer mein mazboot chust o fayal jism hasil kar ke mazboot aur chust dimagh ka malik bana jasakt hai.

Ab tak scientist ko is baat ka andaza to bakhubi tha keh warzish ka dimaghi quwat aur sehat se barah rast talluq hai magar wo ise sabit nahi kar sake the ab inhon ne ise sciency tor par bhi sabit kar dia hai.

Exercise Shuru Karne se Pehle:

1- Body building karne se pehle rozmarrah ke amoor par nazar doraiye keh aap kis tarh aur kon sa waqt is ke liye makhsoos kar sakte hain. Yeh bhi sonch lijye keh kahin yeh mashq aap ke degar muamlaat e zindagi ko mutasir to nai kar rahi .

2- Is zaman mein yeh wazah rahe keh yeh mashqein mahir ki nigrani mein ki jati hain. Aap ka mahir hi yah behter bata sakta hai keh aap ko kab aur kis qisam ki warzish karnti chahiye.

3- Agar aap kisi daimi marz ka shikar hain to yeh az had zaroori hai keh doctor ke mshware ke beghair body building ka faislah na karein.

4- Jism ke numayan hissay chest, arms, legs, shoulder aur wrist mein koi andarooni takleef na hone chahiye.

5- In mashqon se pehle Resisience training karwayi jati hai jis ka maqsad jism ke pathon ko fayal karna hota hai takeh body building ki nayi mashqon mein jism mein dard na ho.

6- Kisi bi qisam ki warzish se pehle jism ko warm up bhi kia jata hai. Yeni aik jagah khare ho kar jism ki bhagne ke andaz mein harkat di jati hai is tarah pasine ki surat mein ghair zaroori namkiyat kharij hote hain aur jism kisi bhi mashq ke liye taiyar ho jata hai aur kisi bhi tarah ki androoni chot ke imkanat nehayat kam rah jate hain.

7- Agar mashq pehli bar ki jarhi hai to is ka ibtedayi doranyah 5-10 bar rah jata hia aur yeh bhi majmuyi jismani sehat dekh kar tajweez ki jati hain.

8- Is doran pani wafer moqdar mein pina chahiye, sine mein 4 se 5 martabah dohrayi jati hain.



Exercise (Warzish) ke Faide:

1-Body building amra e qalb ke mawaqe kam karti hai.

2-Haddiyan mazboot hoti hain.

3-Yeh tarz e zindagi masbat tarz e fikar mutaruf karta hai. jis ki wajah se maamulat mein baqaidgi aati hai. sehat se mutalliq durust shaur uja gar hota hai.

4-Jism ki lachak aur pathon ki mazbooti barhne lagti hai

5- Diabetes ke sath zindagi guzarne ko aasan karti hai.

5-Aasabi nizam par bhi mufeed asrat murattab hote hian.

6- Mustqil thakan ki shkayat karne wale afrad body building ke zariya chaq o choband aur tawana rehte hain.

7-Smoking, paan, chalyah aur aisi degar buri lat se chutkara milta hai.

Tags: exercise in hindi, exercise in urdu for weighting loss, warzish ka tarika in urdu, warzish k faiday, warzish k fawaid
Warning: This site provides general information about your health. for more information and treatments please contact your doctor.

 

 

No comments:

Post a Comment