Tuesday, 10 December 2013

Shahid Afridi History In Urdu || Shahid Afridi Biography In Urdu || Shahid Afridi History In Cricket || Shahid Afridi In Urdu

Shahid Afridi History In Urdu || Shahid Afridi Biography In Urdu || Shahid Afridi History In Cricket || Shahid Afridi In Urdu 


Shahid Afridi


Shahid Afridi was born on 1st March 1980 in Khyber Agency. He entered the Pakistani cricket team in 1996. Shahid Afridi is the one of the best Cricketer of Pakistani Cricket Team. He is a right handed batsman. Shahid Khan Afridi is also known as Boom Boom Afridi. Shahid Afridi, Saeed Ajmal and Umar Akmal has permission from Pakistan Cricket Board ( PCB ) to play the Austrailian Big Bash T-Twenty. But Shahid Afridi said, i will not come in Big Bash series. I will perform the One Day National T-Twenty tournament on 2nd December. In this page you will read the Shahid Afridi biography and news in Urdu and Roman Urdu.

                                     Shahid Afridi In Urdu 
 

Shahid Afridi Photo

Shahid Afridi 1st March 1980 ko ( Kohat ) Khyber Agency mein paida hue October 1996 mein cricket mein aae aur boom boom Afridi ke naam se mashoor hue. In ko yeh naam 2005 mein Indian cricketer aur comintater Shastri ne diya. In ko Mushtaq Ahmed ( League Spinner ) ki jagah ke bataur bowler khilaya gaya. Magar 4 October 1996 ko Srilanka ke khilaf 34 balls par 102 score kar ke tez tareen century banane ka world record bana dala. 2011 mein Srilanka ke khilaf khelte huye One day ki 300 Wickets pori ki. One day cricket mein sab se ziyada Six marne ka record bhi unhi ke paas hai. Apni pehli century sirf 16 saal 217 din ki umar mein banane ka record 2007 mein Srilanka ke Bowler Linga ko aik over mein 32 Runs mare, yeh OD cricket ka dosra mehnga tareen over tha.

Cricket ke sirf teesre khiladi hain, jo 5000 runs aur 200 se zaiyd wicket le chuke, dosre do kiladi Jaisurya aur Jack Kallas the. January 2012 ke mutabiq 20/20 ke 45 matches mein 713 runs 54 wicket liye. OD ke 333 matches mein 6893 runs aur 333 wicket, test career mein 26 matches 1683 runs aur 47 wicket liye. 2009 to 2011 tak captain bhi rahe. Is waqt Karachi mein aik arsaa se muqeem hain. 2010 mein Pride of Performance award mila.

Shahid Afridi, Saeed Ajmal aur Umar Akmal ko Pakistan Cricket Board ( PCB ) ne Austrailian Big Bash Twenty20 league mein shirkat ki ijazat de di gaye hai. Pakistan Cricket board ( PCB ) ke tarjuman ka kehna hai ke Daura-e-Bharat ke baiys ibtedah mein teeno players ko injury se bachane ki gharz se ijazat nahi di gai thi. Lekin ab wo Big Bash T-Twenty league khel sakenge. Pakistan Cricket Board ( PCB ) ke mutabiq Indo Pak series ke liye lagae jane wale training camp mein tamam players shamil honge. Big Bash T-Twenty league 7th December se shuru ho rahi hai. All Rounder Shahid Afridi Sydney Thunders, 2nd specialist Saeed Ajmal Adelaide Strikers aur Umar Akmal Sydney Sixers ki Numaiyndegi karenge.

Magar Shahid Khan Afridi ka Big Bash mein shirkat se inkaar. Media se baat karte hue Shahid Afridi ne kaha ke Pakistan in ki pehli tarjeeh hai. Un ka kehna hai ke 2nd December se Karachi mein khele jane wale One day qaumi T-Twenty Cricket Tournament mein hissa lenge.

No comments:

Post a Comment