Saturday, 7 December 2013

Rang Gora Karne Ka Tarika In Urdu

           Rang Gora Karne Ka Tarika In Urdu

Har aurat ki khuwahish hoti hai keh is ka rung gora ho waise to har qisam ki rungat par make up ho jata hai aur agar dhang se kia jaya to kali jild bilkul saaf-o-shaffaf nazar aati hai. Aaj aap ko rung gora karne ke chand tareeqe batate hain jin se aap zarur faidah uthayain.

1-Milk mein badam pees kar malne se jild(skin) ki rungut saaf ho jati hai.

2-Pani mein lemon ka aurq aur namak mila kar ghusal (bath) karne se jild ka rung nikhar jata hai.  

 
3-Kaghzi lemon ke tukre jin mein rus nichor lia gia ho chehre(face) par malein zarur faidah hoga.

4-Milk mein jo aur gehon ka aata mila kar ubtan banaiye aur phir ise apne chehre par malye chand dinon mein hi farq mehsus ho ga.

5-Tazah garam doodh se munh done se bhi rungat saaf ho jata hai.

6-Thori si balayi mein chand qatre lemon ke daal kar chehre par malein jild hi asrat zahir ho.

7-Akhrot ke tail mein karwe badam pees kar badan par malne se jild saaf ho jati hai.

8-Do chamcha doodh mein aik chamcha pisa namak milayain aur ise sone ke waqt chere par malein. Subha thande pani se dho lein aap dekhein gi keh aap ke chehre par chamak aaye gi.

9-Glasreen mein lemon ka rus mila kar rakh lein. Har raat monh dho kar lemon mile glasreen ki monh par malish karein. Is se chehre nam ho ta hai rung nikharta hai chere ki rungut nikharne ke liye yeh aik behtareen lotion hai. chehre ki rungut nikharne ke liye jadu ka asar rakhta hian.

10-Chehre par lemon ke chilke ko pees kar arq-e-ghulab mein mila kar chehre par malne se chehre ki rung saaf hota hai. mahase chaiyan aur phunsiyan waghaira bhi chehre par hon to is ke malne se faida hota hai.

1 comment: