Exercise Tips
Exercise is equally
important for Men and Women. However, here we are talking about Women
exercise. You should exercise daily. It is very harmful for your health
and body. Exercise is a natural working. It may reduce extra calories
and depressive symptoms. Exercise is necessary and very harmful for
pregnant women also. They can do exercise daily. In this page, you will
find information about different tips of exercise. exercise tips warzish
In Urdu, and Roman Hindi.
Exercise Tips In Urdu
Warzish In Urdu
Exercise (warzish) ki
ahmiat jetni mardon ke liye hai utni khawateen ke liye bhi hai. Exercise
jism ki fazil charbi khatam kar ke isay mutanasib aur khubsorat banati
hai balke ye duniya ki behtareen khuwab awar dawa ka kaam bhi deti hai
aur bay khuabi se nejat delati hai. Aap ke mood ko bhi khushgawar banati
hai. Beshtar mahireen e qalb iss baat par mutafiq nazar aatay hain. ke
agar koye khatoon haftay mein teen din adhay gantay tak achi exercise
karay to usay dil ke doray ka khatra baqi nahi rehta, iss liye iss baat
ki bohat ahmiat hai ke 40 baras ke umar tak phuch ne se pehle hi
exercise (warzish) ka program tarteeb dailena chahiye.
Yeh baat har shakhs
bakhobi janta hai ke zindagi aur sehat ka choli daman ka sath hai. Is
baat ko sirf is had tak janna he kafi nahi, balke is ko samajhna bhi
bohat zaroori hai. Is ko samajhne ke liye is ki gehrai mein ja kar yeh
pata chalana hai ke wok on se usool hain jin ko apna kar hum sehat aur
zindagi ka meyar aala kar sakte hain. Qudrat ne insaan ke jism ko aik
machine ki manind banaya hai jo agar chalti rahe to apna kaam bakhobi
karti hai aur agar maheeno band parhi rahe to beykar ho jati hai. Ya
zang aalood ho jati hai. Sehatmand rehne ke liye rozana mushaqat ka kaam
zaroori hai. Kyun ke aaj kal jismani mushaqqat se ziyada zehni
mushaqqat hoti hai, is liye humen apne jism ko mazboot aur tawana banana
ke liye warzish ka sahara lena parhta hai.
Warzish na sirf jismani sehat aur
tandurusti ke liye zarori hai bal ke is se zehni nashonuma mein bhi
madad milti hai. Chehre ki shadabi ke liye subha sawere warzish aur
chehal qadmi karni chahiye, is se chehra gulabi ho jata hai. Warzish se
hamari sehat par masbat asraat murattab hote hain aur jism ka
dauran-e-khoon tez ho jata hai. Jism ki falto chiknaai kam ho jati hai.
Jism chust aur tawana rehta hai. Rozana subha chehal qadmi Karen, chehal
qadmi aesi warzish hai jo khusosan khuwateen bachpan se bhurapey tak
kar sakti hain. Warsish karne se insaan ka aesaabi dabao khatam ho jata
hai. Aur inseam mein masbat soch janam leti hai. Lihaza rozana thora
waqt apne jism ko sehatmand rakhne ke liye bhi nikalna chahiye.
Exercise Tips For Women
Musalsal exercise (warzish) karnay wali
khawateen achi jisamat aur roshion charay ki malik hoti hai. Warzish
(exercise) joroon kay dard say mehfooz rakhti hai aur joroon ko mazboot
banati hai. Khawateen (women) ko halki phulki ashan excercise (warzish)
karna chahiye. jo television daikhtay hoye, akhbar parhtay hoye aur
phone par baat kartay hoye anjaam daisakay. Ibteda panch say das minute
ka dauraniya rakhayein aur phir rafta rafta barhati chalijayein. warzish
kay liye kisi maksoos labaas ki zarorat nahi. koye bhi labas jo aaram
dai honay kay saath saath jism ko harkat denay ki aazadi daisakay.
Monasib rahey ga pharas par exercise (warzish) kartay waqt Kaleen ya
dari ka isstamaal karain. Jab bhi koye kaam karain jis mein jhuknay ki
zarorat ho jaysay necha say khuch uthana, darazain khulna, almari kay
nichlay khanoon mein kuch rakhna ya kuch talas karna wagayra. Aisi sorat
mein kamar say ghuknay kay bajaye ghutnoon ko jhukayein aur in ki
exercise (warzish) karain.
Peeth bulkul sidhi rakhay. TV daikhtay
waqt, mutalla kartay waqt, pait kay pathon ki exercise (warzish) karain.
Payroon ko zamin kay motwazi pheyladain. Aik tang sidhi kar kay isay
jitna bhi ho uncha kar lain. ye hi amal dosri tang kay sath bhi
dhorayain koi bhi aisa amal bheytareen warzish hai jis mein badan
khichao mehsos karta hai. Upar tak moun lay janay kay liye jism ka
nichla hisa andar ki taraf morain aur panjon kay bal upar uthain. iss
tarha poray jism mein khichao mehsos hoga . Farsh par jharow lagana aur
phocha lagana, hathoon, tangoon aur kamar ki behtareen exercise
(warzish) hai.
Women baqaidgi say exercise (warzish)
karain aur hamaisha sayhat mand rahain. Monasib jism ka hosol koi asan
kam nahi hai, isay hasil karna dushwar hai aur phir barqarar rakhna aur
bhi mushkil hai jismani fitness aik aysi halat hai jis kay tahat insan
apni tamam sargarmion mein bhar por hissa laynay kay baad bhi apnay aap
ko itna hi ziada faal mehsos karta hai kisi bhi fard ki jismani fitness
ka daro madar bahot si baton par hota hai jasay umar,wirrasat aur tarza e
zindai wagayra.Umar aur morosi bimarion ko tou control nahi kar sakta,
tahm tarzay zindagi bhi bohot farq dalti hai jismani tor par sahat mand
rhaynay ka aik bonyadi asol ye hai kay bakaidgi say warzish karay ziada
sakht wazish karnay kay bajaay halki phol ki wazish karayn,taham
bakaidgi zarori hai. Anfawan shabab say laykar adhir umar tak ka zamana
ammoman bhartrin jismani sayhat ka hasil hota hai, taham har umar kay
log sayhat mandana aadat aur bawaida warzish kay zariay say jismani
fitness qaim rakh saktay hain baz sayhatmandana aadat aysi hai jo insan
ko chakochoband rakti hai maslan, bharpor nind, monasib motwazan ghiza,
bhok say ziada na khana, bakaidgi say tabai moina aur datoon ka moina
aur nuzray sayhat ashia say parhayz waghayra.
Tips For Body Fitness
Insan ki jismani fitess ka inhesar iss
baat par hai kay wo kitni aur kis qisim ki exercise (warzish) karta hai.
Beshtar mahirin rozana 30 mint execise (warzish) karnay ka mashwara
datay hain. Ye exercise (warzish) asan honi chahiye jasay chahal qadmi,
koi pasand dida khail. App bakaidgi say exercise (warzish) issi waqt kar
sakti hain jab iss say lutf andoz hoon . Exercise (warzish)
ka phayla usool ye hai kay aap aisi execise (warzish) ka intaykhab
karayn jo app ko pur lutf mehsos ho khawateen amuman jism mein lachak
payda karnay wali exercise (warzish) karti hain .Ye halki wazish in
baton par mushtamil hai jhukna, gardish karna, morna aur jism ko morna
in say aza ko jornay wali nasay khaychti hain aur joro par mokhtalif
qisim ki harkatain amal mein ati hain. ye sada warzish mundarja zail
baton mein mustamil hoti hai. payoon kay angothay ko chona, kamar ko
gardish daina, bazuyoon ko gardish daina, garden mein loch peida karna,
ataraf mein jhukna wagaira.
Exercise Tips For Jogging
Jogging har umar kay logoon mein
maqbool hai. Iss mein aik khas muqarara raftar say muqarara waqt tak
bhagna hota hai. Raftaar ki sarah ka inhasaar fard par hota hai lakin
agar aap ko maloom nahi kay kis raftaar say dorna hai to aik asaan sa
test kar lain. Agar jogging kartay waqt aap ka saans nahi pholta to phir
aap sahi raftar say jogging kar rahi hain. Agar jogging kay doraan aap
ka saans pholta hai to pir aap taiz raftari say jarahe hain. Jogging kay
lia sirf dhelay dhalay lebas aur araamday jota hi kafi hai. jogging kay
kai fawaid hain. Maslan iss say pairoon kay phatay mazboot hojatay hain
aur wazan ko control karnay mein madad milti hai. Iss say zehni dabawo
bhi kam hota hai aur taza hawa mein saans lanay ka moqa bhi milta hai.
Jogging say bharpoor faida uthanay ki khatir iss ka program tarteeb dain
jiss mein haftay mein teen martaba jogging karain aur jogging ka fasla
do teen kilometer ho. 35 saal say ziada umar kay logoon ko chahiye kay
iss program par amal karnay say pehlay apnay doctor say zaroor mashwara
karlain. Exercise (warzish) kisi bhi sorat mein ki jaye
ye pathon ki taqat mein azafa karti aur qowat bardast ko barhati hai.
Exercise say zahan bhi taro taza hota hai tamaam jismani nazaam durust
kaam karta hai aur qowat mudafaat bhi bar jati hai. Khawateen kay lia
sada warzish behtar rehti hai, jasay chehal qadmi aur jogging jo jisim
ko mutahrik karnay aur mazboot bananay kay lia behtareen exercise hai.
Khawateen iss say lutf andoz bhi hosakti hain.
Summer Exercise Tips In English
8 Tips for Exercising in Summer Heat
Summer is the perfect time to go outside and have fun. It's one of my favorite times of year because there are so many outdoor activities to choose from. Everything is more fun outside, whether you're swimming, running or cycling.
But the summer heat can be a problem if you're not careful, particularly in areas with extreme heat and humidity.
After experiencing the Badwater Ultramarathon (a 135-mile run through
Death Valley) and the Marathon des Sables (a six-day, 152-mile endurance
race through the Sahara Desert), I've learned a few things about
exercising in the heat.
For me, the biggest problems were
staying hydrated and maintaining my body's electrolytes and salt. When
you sweat, your body loses not only water, but electrolytes and salt,
too. This delicate balance of water and electrolytes is crucial to keep
your body functioning properly.
If you don't drink enough
water, you can get dehydrated and suffer from light-headedness and
nausea. If not recognized, dehydration can even result in kidney failure
and or, in extreme cases, death. However, if you drink too much water
without replenishing your electrolytes, you can experience hyponatremia.
This can lead to confusion, nausea, muscle cramps, seizures or even
death in extreme cases.
You may not be racing in the desert, but there are some things to keep in mind when it comes to exercising in the heat:
- The time of day is important.
Unless you are training for an event that takes place in the daytime
heat, avoid exercising from 10 a.m. to 3 p.m. It's the hottest part of
day. Generally, the early morning is the best time to workout,
especially if it's going to be scorcher that day.
- Wear loose, light-colored.
The lighter color will help reflect heat, and cotton material will help
the evaporation of sweat. You may also want to try specially designed,
"hi-tech" running shirts and shorts. They are often made from material
meant to keep you cool.
- Sunscreen is a must.
I use SPF 45 just to be safe. It's important to protect your skin. You
can get burned and suffer sun damage to your skin even on cloudy days.
- Stay hydrated. Before you go out, drink a glass or two of water. Carry a bottle of water or even a hydration pack such as the CamelBak. Take a drink every 15 minutes, even when you're not thirsty. When you're done with your workout, have a few more glasses of water.
- Replenish your electrolyte and salt intake while exercising. I
like to use SUCCEED capsules--small, simple packs of sodium and
electrolytes that keep my system in check.
- If you can, choose shaded trails or pathways that keep you out of the sun.
- Check the weather forecast
before you start your workout. If there's a heat advisory, meaning high
ozone and air pollution, you might want to take your workout indoors.
These pollutants can damage your lungs.
- Most importantly, listen to your body. Stop immediately if you're feeling dizzy, faint or nauseous.
No comments:
Post a Comment